Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, September 24, 2019

❗ Only-Quran-Hadees Quiz 959 ❗

❗ Only-Quran-Hadees Quiz 959 ❗

Sawal 1 : Inmein se wo kaun hai jinko Allah subhanahu ne  100 saal Ke liye maut de di thi aur phir wapas zinda kar diya  ? 

A. Ashab Al Ukhdud
B. Ashab Al Qariya
C. Ashab Al Kahaf
D. Qaum e Tubba
E. Ashab Ar-Rass
F. Ashab Al-Aykah
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : US waqt unke saath kaunsa jaanwar tha ?

A. Ghoda (Horse)
B. Gadha (Donkey)
C. Kutta  (Dog)
D. Bakri (Goat)
E. Gaay (Cow)
F. Maindha (Sheep)
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 3 : Is waqiye ka Zikr Quran ki kaunsi surah mein aaya hai  ? 

A. Surah Qaf
B. Surah Baqarah
C. Surah Al-Kahaf
D. Surah Waqia
E. Surah Ibrahim
F. Surah Nooh
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

! Only-Quran-Hadees Quiz ! 

Quiz 1 : To whom Allah subhanahu caused to die for a hundred years then raised up (again) ?

A. Ashab Al Ukhdud
B. Ashab Al Qariya
C. Ashab Al Kahaf
D. Qaum e Tubba
E. Ashab Ar-Rass
F. Ashab Al-Aykah
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 2 : That time which animal was with them/him ?

A. Horse
B. Donkey
C. Dog
D. Goat
E. Cow
F. Sheep
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 3 : In whch surah of Quran this incident  has been mentioned ?

A. Surah Qaf
B. Surah Baqarah
C. Surah Al-Kahaf
D. Surah Waqia
E. Surah Ibrahim
F. Surah Nooh
G. None of the above
H. I want to know


Answer GBB
------
Al Quran : Or like the one who passed by a town while it had tumbled over its roofs. He said: "Oh! How will Allah ever bring it to life after its death?" So Allah caused him to die for a hundred years, then raised him up (again). He said: "How long did you remain (dead)?" He (the man) said: "(Perhaps) I remained (dead) a day or part of a day". He said: "Nay, you have remained (dead) for a hundred years, look at your food and your drink, they show no change; and look at your donkey! And thus We have made of you a sign for the people. Look at the bones, how We bring them together and clothe them with flesh". When this was clearly shown to him, he said, "I know (now) that Allah is Able to do all things."
Al-Baqara, 2:259

Tafsir : Ibn Abi Hatim recorded that Ali bin Abi Talib said that the Ayah 2:259 meant *Uzayr Alaihi salam*. 
This explanation was also reported by Ibn Jarir and Ibn Abi Hatim from Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma

Sahi Jawab GBB
-------
Al Quran : Tumne Us Shaks ko Nahi dekha jo ek shahar par se guzra aur wo apni chato par gira padha hua tha, usne kaha ke Allah iss ke bashindon ko marne ke baad kaise zinda karega toh Allah ne unki rooh qabz kar li aur sao (100) saal tak (unko murda rakha ) phir unko uthaya aur pucha tum kitne Saal (mare) rahe ho unhone jawab diya ke ek din ya us se bhi kam Allah be farmaya Nahi balke Sao (100) saal ( mare) rahe ho aur apne khaane peene ki cheezon ko Dekho ke (itni muddat mai mutlaq) sadi basi nahi aur apne gadhe ko bhi dekho (Jo mara pada hai) garz inn baaton se ye hai ke ham tumko logo ke liye (apni Qudrat ki nishani ) banaye aur (haan gadhe) ki haddiyon ko dekhon ke ham unko kaise jode dete hain aur un par kis tarha gosht chada dete hai jab ye waqiyat Uske mushahde mai aaye toh bol Uthe ke mein yaqeen karta hu ke Allah har Cheez par Qadir hai.

Ibn Abi Hatim rivayat karte hain ki Ali Radi Allahu ne farmaya is aayat (2:259) mein jinka zikr hua hai wo Uzair Alaihi salam hai aur Ibn jarir ne bhi Ibn Abbas radi Allahu anhuma se yahi rivayat kiya hai
Tafseer Ibn kathir, 2 :259

No comments:

Post a Comment