Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, June 17, 2017

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-166 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz-166 

Sawal : Wo shaitan jo namaz mein waswase daalta hai uska kya naam hai ?

Quiz : What is the name of that shaitan who intervenes between the prayers ?

A. Hinzab
B. Yagus
C. Manat
D. Khinzab
E. None of the above
F. I want to know


Correct answer is D ✔✔ KHINZAB 
---------------------------

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Namaz mein Quran bhula dene wale shaitan ka naam khinzab hai…

Uthman bin Abu Al As Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass aaye aur arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam shaitan meri namaz mein hayal ho jata hai aur mujhko Quran bhula deta hai Aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya us shaitan ka naam khinzab hai aur jab tumhe us shaitan ka asar malum ho to Allah subhanahu ki panah mein aa us se, aur bahine taraf (left side) 3 baar thook ( namaz ke dauran bahini taraf dheere se 3 baar thoo kar) Uthman Radi Allahu Anhu ne kaha maine aisa hi kiya aur Allah subhanahu ne us shaitan ko mujhse dur kar diya
Sahih Muslim, Vol 6, 5738
---------------
Uthman bin Abu al-As reported that he came to Allah's Messenger Sallallahu alaihi wasallam and said:Allah's Messenger, the Satan intervenes between me and my prayer and my reciting of the Qur'an and he confounds me. Thereupon Allah's Messenger Sallallahu alaihi wasallam said:, That is (the doing of a) Satan (devil) who is known as Khinzab, and when you perceive its effect, seek refuge with Allah from it and spit three times to your left. I did that and Allah dispelled that from me.
Sahih Muslim, Book 26, Hadith 5463

No comments:

Post a Comment