Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, June 17, 2017

❗ Only-Quran-Hadith Quiz -159❗


 Only-Quran-Hadith Quiz -159

Sawal: Mairaj ki raat Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki mulaqat dusre aaasman par kaunse nabi se huyee ?

A. Eesa Alaihi salam
B. Ibrahim Alaihi salam
C. Musa alaihi salam
D. Nooh alaihi salam
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------
Quiz : What is the name of that prophet who met On the night of mairaj (Journey ), to prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam on second heaven (sky)
A. Eesa Alaihi salam
B. Ibrahim Alaihi salam
C. Musa alaihi salam
D. Nooh alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know



Sahih jawab A

Abbas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Malik bin Sasaa Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse mairaj ka waqya bayan karte huye farmaya ………………………uske baad Jibril alaihi salam (pahle aasman se) upar ki tarah chade aur mujhe dusre aasman par le gaye Waha bhi darwaza khulwaya aur aawaz aayee kaun sahib hain bataya gaya ki jibril alaihi salam) pucha gaya ki aapke saath koi aur sahab bhi hain kaha Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam, pucha gaya kya aapko unhe bulane ke liye bheja gaya tha ? unhone jawab diya haan phir aawaz aayee unhe khush aamdeed , kitne achche aane wale hain wo phir darwaza khula aur main andar gaya waha Yahya aur Eesa alaihi salam mojud they, ye dono khala zaad bhai hain, Jibril alaihi salam ne farmaya ye Eesa alaihi salam aur yahya alaihi salam hain inhe salam kijiye maine salam kiya aur unhone mere salam ka jawab diya aur farmaya khush aamdeed neik nabi aur neik bhai ………………
Sahih Bukhari, Jild 5, 3887 (part)
-----------------------
Narrated `Abbas bin Malik: Malik bin Sasaa said that Allah's Messenger (
) described to them his Night Journey saying, …………………Then Gabriel ascended with me till we reached the second heaven. Gabriel asked for the gate to be opened. It was asked, 'Who is it?' Gabriel answered, 'Gabriel.' It was asked, 'Who is accompanying you?' Gabriel replied, 'Muhammad.' It was asked, 'Has he been called?' Gabriel answered in the affirmative. Then it was said, 'He is welcomed. What an excellent visit his is!' The gate was opened. When I went over the second heaven, there I saw Yahya (i.e. John) and `Isa (i.e. Jesus) who are cousins (both’s mother are sisters of each other) ( of each other. Gabriel said (to me), 'These are John and Jesus; pay them your greetings.' So I greeted them and both of them returned my greetings to me and said, 'You are welcomed, O pious brother and pious Prophet.' Then Gabriel ascended with me to the third heaven
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 227 (Part)

Complete Hadith 
http://sunnah.com/bukhari/63/113

No comments:

Post a Comment