Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, June 17, 2017

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-164 ❗

  Only-Quran-Hadith Quiz-164 

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne kinke liye ye farmaya ki unko kabhi maaf nhi kiya jayega ?
A. Zina karne walo ko
B. Bidat karne walo ko
C. Gunaho ko khule aam karne walo ko
D. Namaz jaanbujh kar chorhne walo ko
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------------
Quiz : For whom the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said that those people will not be forgiven ?
A. Those who commit zina
B. Those who do bidah (innovation)
C. Those who commit a sin openly
D. The one who leave Salah intentionally
E. None of the above
F. I want to know



 Sahi jawab C ✔✔

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Gunaaho ko khullam khulla (openly) karne walo ko maaf nahi kiya jayega
-------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri tamam ummat ko maaf kiya jayega siwa gunaaho ko khullam khulla (openly) karne walo ke aur ismein ye bhi shamil hai ki Ek shaksh raat ko koi (gunaah ka) kaam kare
aur iske bawjud ALLAH subhananhu ne usko chupa diya hai magar subah uth kar wo kahne lage ki Eh Falah maine kal raat ko ye ye bura kaam kiya tha , Raat guzar gayee thi aur uske Rab ne uska gunaah chupaye rakha lekin jab subah huyee to wo khud ALLAH ke parde ko kholne laga.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6069
----------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people). An example of such disclosure is that a person commits a sin at night and though ALLAH screens it from the public, then he comes in the morning, and says, 'O so-and-so, I did such-and-such (evil) deed yesterday,' though he spent his night screened by his Lord (none knowing about his sin) and in the morning he removes ALLAH's screen from himself." 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 95

No comments:

Post a Comment