Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, February 12, 2015

Mafhum-e-Hadith: Eh Bilal, Maine jannat mein apney aagey tumharey juto ki aawaz suni hai



Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Eh Bilal, Maine jannat mein apney aagey tumharey juto ki aawaz suni hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne hazrat bilal radi allahu anhu se fajar ke waqt pucha ki eh bilal mujhe apna sabse zyada ummed wala neik kaam batao jisey tumney islam laney ke baad kiya hai kyunki mainey jannat mein apney aagey tumharey juto ki chaap (aawaz) suni hai , hazrat bilal ne arz kiya main to apney nazdeek is sey zyada ummed ka koi kaam nahi kiya ki jab mainey raat ya din mein kisi waqt bhi wudhu karta to main us wudhu se nawafil namaz padta rahta jitni meri taqdeer mein likhi gayee hai 
{Sahih Bukhari, Vol 2, 1149} 

Hazrat tameem dari Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga 
{Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 - Sahih}
-------------------------------------------
English translation:

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu At the time of the Fajr prayer the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam asked Bilal radi allahu anhu, Tell me of the best deed you did after embracing Islam, for I heard your footsteps in front of me in Paradise.
Bilal Radi Allahu Anhu replied, "I did not do anything worth mentioning except that whenever I performed ablution during the day or night, I prayed after that ablution as much as was written for me.
{Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 21, Hadith 250}

It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then Allah will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner
{Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 -Sahih}

No comments:

Post a Comment