Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, February 3, 2015

Hadith : Banda Ek aisa Kalma zuban se nikalta hai jo Allah ki Narazgi ka Sabab hota hai




Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith : Banda Ek aisa Kalma zuban se nikalta hai jo Allah ki Narazgi ka Sabab hota hai

Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek banda Allah ki razamandi ke liye ek baat zuban se nikalta hai usey wo koi ahmiyat bhi nahi deta magar uski wajah se Allah uskey darjey buland kar deta hai aur ek dusra Banda Ek aisa qalma zuban se nikalta hai jo Allah ki Narazgi ka Sabab hota hai usey wo koi ahmiyat nahi deta lekin uski wajah se wo Jahannam mein chala jata hai
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6478}

Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tum Mein se jo shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo shaksh (zimmey se) bari ho gaya, agar usmein itni taqat na ho aur wo zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi taqat na ho to wo Dil se bura samjhey to wo bari ho gaya , ye imaan ka sabse kam darja hai.
{Sunan Nasaii, Vol 3, 1310 Sahih}
----------------------------------
English translation:

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam ; said, "A slave (of Allah) may utter a word which pleases Allah without giving it much importance, and because of that Allah will raise him to degrees (of reward): a slave (of Allah) may utter a word (carelessly) which displeases Allah without thinking of its gravity and because of that he will be thrown into the Hell-Fire."
{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 485}

Abu Sa'eed Al-Khudri Radi allahu anhu said: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever among you sees an evil and changes it with his hand, then he has done his duty. Whoever is unable to do that, but changes it with his tongue, then he has done his duty. Whoever is unable to do that, but changes it with his heart then he has done his duty, and that is the weakest of Faith.
{Sunan Nasai Vol 6, Book 47, #5012 - Sahih}

No comments:

Post a Comment