Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, March 1, 2018

Mix Azkar - Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega






Bismillahirrahmanirrahim
-------------
✦ Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega

-------------
✦ Ashhadu Alla ilaha illAllahu,
Wa Ash-hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh 

-------------
✦ Alhamdulillahi Kathira
-------------
✦ SubhanAllahi Wa Bihamdihi SubhanAllahil Azeem 
-------------
✦ Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan 
-------------
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Ala Aali Muhammed
-------------
✦ Hadith 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis nafs ko bhi is haal mein maut aaye ki wo is baat ki gawahi deta ho ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur main (Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ka rasool hu aur ye gawahi dil ke yakeen se ho to Allah subhanahu uski maghfirat farma denga
*أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ*
Ashhadu Alla ilaha illAllahu, Wa Ash-hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh 

✦ Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke bande aur Rasool hain
Sunan ibn Majah, Jild 1, 677-Hasan
-------------
✦ Hadith 2 :Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shakhs ne kaha
*الْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا*
Alhamdulillahi Kathira 

✦ Allah ke liye bahut zyada tarifein hain, to farishte ko ye likhna bhari mehsus hua to usne us baare mein Allah Subhanahu se ruju kiya to us se kaha gaya ki usko (uske sawab ko) usee tarah likho jis tarah mere bande ne kaha kathira (yani bahut zyada)
Al Silsila As Sahiha, 2868-Sahih
-------------
✦ Hadith 3 : RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Kalme jo Zuban par halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain aur Rahmaan ko bahut pyare hain
*سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ*
SubhanAllahi wa biHamdihi Subhan-Allahil-Azeem

✦ Allah ki zaat paak hai aur tamam tarife usee ke liye hai Allah ki zaat paak hai aur wo sabse buland hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 6406
-------------
✦ Hadith 4 : 
*رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا*
Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya

✦ Main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh subah ke waqt ye alfaz kahe to main uske liye iss baat ka zimmedar hu ki uska haath tab tak pakde rakhunga jab tak usko jannat mein dakhil na karwa du
Al-Silsila As-Sahiha-2963
-------------
✦ Hadith 5 : 
*اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ*
Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed 

✦ Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par aur Aal-e-Muhammad Sallallaahu Alaihi Wasallam par,
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland honge
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih

No comments:

Post a Comment