Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, March 13, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-349❗



Only-Quran-Hadith Quiz-349

Dono sawalo ke jawab is tarah dijiyega AB / CD

Sawal : Ek Sahabi aise they jo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke liye khana tayyar karte they, jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam usmein se kha lete aur bacha hua khana wapas jata to wo puchte ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam  ki ungliyan khane mein kaunsi jagah lagi huyee hain aur wo wahi se barkat ke liye khate, un sahabi ka kya naam hai ?

 A. Anas Radi allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Aby Ayyub Ansari Radi Allahu anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Un sahabi ne ek baar khana banaya magar usmein ek cheez hone ki wajah se Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne usko nahi khaya wo cheez kya thi ?

A. Pyaz
B. Lahsun
C. Pyaj aur lahsun dono
D. Machli
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
 ----------
  Only-Quran-Hadith Quiz
  
Kindly reply both quiz together like this CD / BA

 Quiz 1 : One of the Sahabi used to prepare food for the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam and when it was brought back to him he asked to locate the part, where his fingers had touched the food, and he followed his fingers on that part where the fingers of the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam had touched it.
What is the name of that sahabi ?


A. Anas Radi Allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Aby Ayyub Ansari Radi Allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know


Quiz 2 :  Once that sahabi prepared a food for the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam but there was some thing inside that's why the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam did not eat what was that thing ?

A. Garlic
B. Onion
C. Garlic and Onion both
D. Fish
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab DA
Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
 ----------
 Abu Ayyub Radi allahu anhu Rasool-Allah Sal-allahu Alaihi wasllam ke liye khana tayyar karte they phir jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam usmein se khaa lete aur  bacha hua khana wapas jata to Abu Ayyub Ansari aadmi se puchte Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki ungliyan khane mein kaunsi jagah lagi huyee hain aur wo wahi se barkat ke liye khate.

Ek baar Abu ayyub radi allahu anhu ne khana pakaya jismein lahsun tha jab khana wapas gaya to abu ayyb ne pucha ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasllam ki ungliyan kaunsi jagah lagi hain logon ne kaha ki Aap sal-allahu alaihi wasallam ne nahi khaya ye sunkar Abu ayyub ghabra gaye aur upar gaye aur pucha ki kya Lahsun haram  hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya nahi lekin mujhe bura malum hota hai Abu ayyub ne kaha jo cheez aapko bura malum hoti hai mujhe bhi buri lagti hai Abu ayyub ne kaha Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke paas farishte aate aur farishto ko lahsun ki boo se takleef hoti hai isliye aap sal-allahu alaihi wasallam nahi khate
Sahih Muslim, Jild 5 , 5358
-----------------
Abu Ayyub Ansari used to prepare food for Allah's Apostle () ; and when it was brought (back) to him he asked (to locate) the part, where his fingers had touched (the food), and he followed his fingers on that part where his fingers (those of the Holy Prophet) had touched it.
(One day) he prepared food which contained garlic, and when it was returned to him he asked (to locate) the part which the fingers of Allah's Apostle () had touched. It was said to him that he had not eaten (the food). He (Abd Ayyub Ansari) was distressed and went up to him (to the Holy Prophet) and said: Is it forbidden? But Allah's Messenger () said: No, (it is not forbidden), but I do not like it. and he (Abu Ayyub Ansari) said: I also do not like what you do not like or which you did not like. He (Abu Ayyub Ansari) said: (The Prophet did not eat garlic) as Allah's Apostle () was visited (by angels) and brought him the message of Allah.
Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5099

No comments:

Post a Comment