❗ Only-Quran-Hadith Quiz-348❗
Sawal : Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi wasallam jis kamre mein rahte they uske upar ke kamre mein
chalna phirna bhi ek sahabi Be-Adbi samajhte they aur usee wajah se unhone apna
kamra Aap Sal-alalahu alaihi wasallam ke kamre ke neeche le liya un Sahabi ka
kya naam hai ?
A. Bilal Radi allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
Quiz : One of the Sahabi used to live in upper room of a house where
Prophet sal-allahu alaihi wasallam used to live in lower room , one day he got
up and said How unfortunate it is that we walk above the head of Allah's
Messenger (ﷺ) and afer that he started to live in lower room of that home ,
What is the name of that Sahabi (companion) ?
A. Bilal Radi Allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know
Sahi Jawab E
Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
----------
Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ke aazad karda gulam Aflah rivayat karte
hain ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam jab unke ghar tashreef laye to
Aap salallahu alaihi wasallam neeche ke kamre mein rahe aur Abu ayyub ansari
radi allahu anhu upar ke kamre mein , ek baar Abu ayyub raat ko jaage aur kaha
ki hum Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke sir ke upar chala karte hain
, phir hat kar raat ko hi ek kone mein ho gaye aur wahi raat guzari , uske baad
Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ne Aap
sal-allahu alahi wasallam ko upar jaane ke liye kaha to Aapne farmaya ki neeche
ka kamra bhi aaram ka hai to Abu ayyub ansari radi allahu anhu ne kaha main us
chat (ya kamre) mein nahi rah sakta jiske neeche Aap Sal-Allahau alaihi
wasallam hon (kyunki ye gustakhi hogi)
ye sunkar Aap Sallallahu alaihi wasallam upar ke kamre mein tashreef e
gaye aur Abu ayyub ansari neeche wale kamre mein rahne lage.
Sahih Muslim, Jild 5 , 5358
❗Ans is E
---------------------
Aflah, the freed slave of Abu Ayyub Ansari Radi Allahu anhu , reported
Allah's Messnger (ﷺ) had alighted in his house (of Abu Ayyub Ansari at the time of
his emigration to Medina) and he occupied the lower storey, whereas Abu Ayyub
Ansari lived in the upper storey. One night, Abu Ayyub Ansari got up and said
(to himself): (How unfortunate it is) that we walk above the head of Allah's
Messenger (ﷺ), so they went aside and spent the night in a nook and then
told Allah's Apostle (ﷺ) about it whereupon Allah's Apostle (ﷺ) said: The lower storey is more
comfortable (for me). but he (Abu Ayyub Ansari) said: We (would not live) over
the roof under which you live. ( it may be disrespect) So Allah's Messenger (ﷺ) shifted to the upper storey, whereas Abu
Ayyub Ansari shifted to the lower storey;
Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5099
No comments:
Post a Comment