Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, March 12, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-337 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-337 ❗

Dono sawalo ke jawab saath mein de

Sawal1 : Wo kaunse sahabi hain jinhone Rasool Allah Sal Allahu Alaihi wasallam se Salat At tauba(Allah se gunaho ki maafi maangne ki namaz) ki hadith suni ?

A. Abu bakr radi Allahu anhu
B. Umar Radi Allahu anhu
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E. Inme se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 - Un sahabi ne jab Salat al tawbah ki hadith dusre sahabi ko sunayee to uske baad uski dalil mein Quran ki kaunsi surah ki aayat tilawat
farmayee ?

A. Surah Nisa
B. Surah Aal-e-Imran
C. Surah Tawba
D. Surah Maida
E. Surah Hashr
F. Sahi jawab ka intezar hai
Only-Quran-Hadith Quiz

Reply both quiz together

Quiz 1: What is the name of that sahabi who listened the Hadith of the Salat At tawba (the prayer of repetence) from the Prophet Sal Allahu alihi wasallam?

A. Abu bakr radi Allahu anhu
B. Umar Radi Allahu anhu
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E.  None of the above
F.  I wantvto know


Quiz 2: When that sahabi narrated the method of the prayer of repentance (Salaat Al-tawba ) to another sahabi , in support of that , he recited a verse from Quran , that verse belong to which surah ?

A. Surah Nisa
B. Surah Aal-e-Imran
C. Surah Tawba
D. Surah Maida
E. Surah Hashr
F.I want to know


Sahi Jawab AB
 ----------
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne farmaya ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi banda gunah kar baithe phir wuzu kare aur khoob achchi tarah wuzu kare uske baad 2 rakaat namaz padhe aur Allah subhanahu se apne us gunah ki maafi mange to Allah subhanahu uske gunah ko yaqeenan maaf farma dega phir unhone ye aayat tilwat farmayee

 وَالَّذِينَ إِذَا فَعَلُوا فَاحِشَةً أَوْ ظَلَمُوا أَنفُسَهُمْ ذَكَرُوا اللَّهَ فَاسْتَغْفَرُوا لِذُنُوبِهِمْ وَمَن يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا اللَّهُ وَلَمْ يُصِرُّوا عَلَىٰ مَا فَعَلُوا وَهُمْ يَعْلَمُونَ (Al Quran 3:135)

Tarjuma: Aur wo log jo koi khula gunah (fahisha , zina) kar baithte hain ya apne haq mein koi aur burayee kar baithte hain to Allah subhanahu ko yaad karte hain aur apne gunaho ki bakhshis maangte hain , Aur Allah subhanahu ke siwa kaun gunah bakhsh sakta hai, aur wo jana bujh kar apne kiye par ade nahi rahte, aur jabke wo jante hain.
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1508-Sahih
------------------
Narrated Ali Radi Allahu Ahnhu that Abu bakr siddiq Radi Allahu Anhu said that The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said When a servant (of Allah) commits a sin, and he performs ablution well, and then stands and prays two rak'ahs, and asks pardon of Allah, Allah pardons him. He then recited this verse:

 وَالَّذِينَ إِذَا فَعَلُوا فَاحِشَةً أَوْ ظَلَمُوا أَنفُسَهُمْ ذَكَرُوا اللَّهَ فَاسْتَغْفَرُوا لِذُنُوبِهِمْ وَمَن يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا اللَّهُ وَلَمْ يُصِرُّوا عَلَىٰ مَا فَعَلُوا وَهُمْ يَعْلَمُونَ
And those who, when they have committed Fahishah (illegal sexual intercourse) or wronged themselves with evil, remember Allah and ask forgiveness for their sins; - and none can forgive sins but Allah - and do not persist in what (wrong) they have done, while they know. (Al-Qur'an 3:135).
Sunan Abu Dawud, Book 8, 1516-Sahih

No comments:

Post a Comment