❗
Only-Quran-Hadith Quiz-341 ❗
Dono sawal ke jawab saath mein dijiye
✦ Ek baar ek
chor chori kar raha tha aur ek Nabee (Alaihi Salam) ne usko dekh liya , magar
us chor ne aisa kaam kiya ki un Nabee ne usko jaane diya ?
✦ Sawal 1 : Us
chor ne aisa kya kiya ki un nabee ne usko jaane diya ?
A. Wo Allah aur uske Rasool par imaan le aaya aur maafi maang li
B. Usne Allah ki kasam lekar kaha ki usne chori nahi ki
C. Usne chori ka maal wapas de diya aur isko raaz rakhne ko kaha
D. Wo chor unke khauff se khudkushi karne wala tha
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
✦ Sawal 2 : Wo
Nabee kaun they ?
A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Musa Alaihi Salam
D. Isa Alaihi Salam
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
❗
Only-Quran-Hadith Quiz ❗
✦ Kindlly reply
both quiz together
✦ Once A Prophet saw a man he was stealing
something but that man did something and that prophet let him go ?
✦ Quiz 1 : What that thief did and prophet let him go ?
A. He reverted to Islam and ask forgiveness
B. He took oath of Allah and said he didnt steal
C. He gave back the stolen things and requested not to disclose
D. He was about to commit suicde from his fear
E. None of the above
F. I want to know
✦ Quiz 2 : Who
was that prophet ?
A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Musa Alaihi Salam
D. Isa Alaihi Salam
E. None of the above
F. I want to know
🌹 Sahi jawab BD ✔
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eesa Alaihi Salam ne ek
shaksh ko chori karte huye dekha phir us se pucha ki kya tune chori ki hai ?
usne kaha hargiz nahi , us zaat ki kasam jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi
hai. is par hazrat Eesa Alaihi salam ne farmaya ki main Allah par imaan laya hu
, meri aankho ko dhokha hua hai
Sahih Bukhari 3444
-----------
Note : is hadith se ye sabaq milta hai ki agar aapke paas koi gawha na ho
aur koi insan Allah ki kasam le le uski baat par yakeen dilaye to uska peecha
chorh dena chahiye, phir uska gunah uske aur Allah subhanahu ke supurd ho gaya.
-----------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Alahu
The Prophet (ﷺ) said, "Isa Alaihi Salam (jesus), seeing a man stealing,
he asked him, 'Did you steal?, He said, 'No, by Allah, except Whom there is
None who has the right to be worshipped' Jesus said, 'I believe in Allah and
suspect my eye
Sahi Bukhari,Book 55, Hadith 653
No comments:
Post a Comment