❗ Only-Quran-Hadith
Quiz-335❗
Sawal : Hadith ke hisab se Inmein se Kaunsi Fazilat kaunse Sahaba ki hai ?
jawab is tarah dijiyega..1A 2C 3D 4G 5E 6F
1. Jinki Maut se rahman ka arsh hil gaya
2. Zu-l-Janahain yani Do paro (pankh) wale
3. Farishte jinke janaze ko uthaye huye they
4. Jinke liye Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya Tum par mere Maa baap Qurban
5. Ghazwa e uhad ke moqe par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki dhaal (sheild) banne wale
6. Jinko Jannat mein Farishto ke saath udte huye dekha
A.Jafar radi allahu anhu
B.Saad bin Muadh radi allahu anhu
C.Maaz bin jabal radi allahu anhu
D.Saad bin Abi waqas radi allahu anhu
E.Hanzala Radi allahu anhu
F.Khalid bin walid Radi allahu anhu
H. Abu talha Radi allahu anhu
I.Sahi jawab ka intezar hai
***********************
Quiz : According Hadith , Which Characteristic belong to which sahaba ?
Kindly reply like this 1A 2C 3D 4G 5E 6F?
1. The Throne of the Beneficent shook because of his death
2. Zu-l-Janahain - The two-winged person
3. The angels carried his funeral
4. The Prophet Sal-Allahu Alaihi
wasallam sai to him : Let my father and mother be sacrificed for you
5. Shielding the Prophet ﷺ in the battle of Uhud,
6. The Prophet ﷺ Say that he was Flying in Paradise with
the angels
---------------------------------
A.Jafar radi allahu anhu
B.Saad bin Muadh radi allahu anhu
C.Maaz bin jabal radi allahu anhu
D.Saad bin Abi waqas radi allahu anhu
E.Hanzala Radi allahu anhu
F.Khalid bin walid Radi allahu anhu
H.Abu talha Radi allahu anhu
I.I want to know
Sahi Jawab
1B
2A
3B
4D
5H
6A
-----------------
1. Jabir radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Alalhu alaihi
wasallam ne farmaya Saad bin Muadh radi allahu anhu ki maut par Allah ka arsh
bhi hilne laga tha , aur ek dusri rivayat mein Jabir radi allahu anhu ne kaha
ki maine Rasool-Allah Sal-Alalhu alaihi wasallam se suna ki Saad bin Muadh radi
allahu anhu ki maut par Rahman ka arsh hilne laga tha
Sahih Bukhari, Jild 5, 3803
2. Ash-Shu`bi Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hazrat Abdullah bin umar
Radi Allahu Anhuma jab bhi hazrat jafar Radi Allahu Anhu ko salam karte to unse
ye kahte ki As salamu alaika Ya ibn Zu-l-Janahain yani eh do paro (pankh) wale
buzurg ke sahebzade
Sahih Bukhari, Vol 5, 3709
3. Anas bin Malik radi allahu anhu se rivayat hai ki jab Saad bin Muadh
radi allahu anhu ka janaza uthaya gaya to muafiqeen kahne lage iska janaza
kitna halka hai , kyunki unhone banu Quraiza ka ( yani unke jawano ko qatl ka)
faisla diya tha , ye khabar jab Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko mili
to farmaya ki unke janaze ko farishte uyhaye huye they ( isliye janaza halka
tha)
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1781 -Sahih
4. Hazrat Ali Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
alaihi wasallam ko kisi ke liye apne maa baap ko Qurban karne ka lafz nahi suna
siwaye saad bin abi waqas radi allahu anhu ke , maine Rasool-Allah Sal-Allahu
alaihi wasallam se suna aap farma rahe they Eh Saad , Teer chalao tum par mere
maa baap Qurban ho aur mera khayal hai ki ye Ghazwa e uhad ke moqe par farmaya
Sahih Bukhari, Jild 7, 6184
5. Anas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Ghzwa e Uhad ke din jab log radi
allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko chorh kar idhar udhar
jaane lage to Abu talha Radi allahu anhu us waqt apni ek dhaal (shield) se Aap
Sal-Allahu alaihi wasallam ki hifazat kar rahe they , Hazrat Abu talha radi
allahu anhu bade teerandaaz they aur khub achchi tarah teer chalaya karte they
,us din unhone do ya teen kamanein (bows) tod di us waqt agar koi shaksh
tarkash liye huye guzarta to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam farmate ke iske
teer Abu talha ko de do, Jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam jung ka haal maloom
karne ke liye thoda upar uth kar dekhte to Abu talha radi allahu anhu arz karte
Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere maa baap aap par Qurban ho is
tarah aap upar uth kar mulahiza na farmaye kahi koi teer aapko na lag jaye ,
mera seena Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ke seene ki dhaal bana raha
Sahih Al-Bukhari, Jild 5, 3811
6. Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu
alaihi wasallam ne farmaya ki maine jafar (Radi Allahu Anhu) ko jannat mein
farishto ke saath udte huye dekha
Jamia Tirmizi, Vol 2, 1697-Hasan
1. Narrated Jabir radi allahu anhu: I heard the Prophet Sal-Alalhu alaihi
wasallam saying, "The Throne (of Allah) shook at the death of Sa`d bin
Mu`adh Radi Allahu anhu, Through another group of narrators, Jabir added,
"I heard the Prophet Sal-Alalhu alaihi wasallam : saying, 'The Throne of
the Beneficent shook because of the death of Sa`d bin Mu`adh."
Sahih Bukhari, Book 58, 147
2. Narrated Ash-Shu`bi Radi Allahu Anhu Whenever Ibn Umar Radi Allahu Anhu
greeted Ibn Jafar Radi Allahu Anhu he used to say: "As-salamu-'Alaika
(i.e. Peace be on you) O son of Dhu-l-Janahain (son of the two-winged person).
Sahih Bukhari, Book 57, Hadith 58
3. Narrated Anas bin Malik radi allahu anhu "When the funeral of Sa'd
bin Mu'adh was carried, the hypocrites said: 'How light his funeral is.' And
this was due to his judgment concerning Banu Quraizah. So this reached the
Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam and he said: 'Indeed, the angels were
carrying him.'"
Jamia Tirmizi, Book 46, 3849-Sahih
4. Narrated Ali radi allahu anhu I never heard Allah's Messenger Sal-Allahu
alaihi wasallam saying, "Let my father and mother be sacrificed for
you," except for Sa`d (bin Abi Waqqas). I heard him saying, "Throw!
(arrows), Let my father and mother be sacrificed for you !" (The
sub-narrator added, "I think that was in the battle of Uhud.")
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 203
5.
Narrated Anas Radi Allahu anhu On the day of the battle of Uhud, the people
ran away, leaving the Prophet (ﷺ) , but Abu- Talha Radi Allahu anhu was
shielding the Prophet (ﷺ) with his shield in front of him. Abu
Talha was a strong, experienced archer who used to keep his arrow bow strong
and well stretched. On that day he broke two or three arrow bows. If any man
passed by carrying a quiver full of arrows, the Prophet (ﷺ) would say to him, "Empty it in front
of Abu Talha. When the Prophet (ﷺ) stated looking at the enemy by raising
his head, Abu Talha said, "O Allah's Prophet! Let my parents be sacrificed
for your sake! Please don't raise your head and make it visible, lest an arrow
of the enemy should hit you. Let my chest be wounded instead of
yours.
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 156
6.
Narrated Abu Hurairah radi allahu anhu that the Messenger of Allah
Sal-Allahu alaihi wasallam said: "I saw Ja'far flying in Paradise with the
angels."
Jami Tirmizi, Book 46, Hadith 3763-Hasan
Note: According scholars,during the battle of Muta the jafar Radi Allahu
Anhu lost his two arms and got martyr, that’s why he has been provided two
wings with these he fly in paradise and he got the name as jafar Al tayyar,
Al-tayyar means the one who fly
No comments:
Post a Comment