Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, February 9, 2014

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jab witr padhte to (Dua e) Qunut ruku se pahle padhte.


Bismillahirrahmanirrahim

 Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  jab witr padhte to (Dua e) Qunut ruku se pahle padhte.
  
Ubay bin kaab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  3 rakaat witr padha kartey they pahli rakaat mein Surah Aala, dusri mein Surah Al-Kafirun aur teesri rakaat mein Surah Al-Ikhlas Tilawat farmate they,  phir ruku se pahle Dua-e-Qunut padhte they aur jab farig hote to 3 baar Subhan Al-Malik  Al Quddus padhte aur aakhri baar zara taweel padhte
SunanNasaii, Vol 1, 1702-Sahih

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam har do rakaat par salam pherte aur ek rakat witr padhte
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1177-Sahih

Hazrat Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  jab witr padhtey to (Dua e) Qunut ruku se pahley padhte.
Sunan ibn Majah : Vol. 1, Hadith 1182 – Sahih

Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se subah ki namaz mein Qunut ke baarey mein pucha gaya to unhone farmaya hum ruku se pahle aur ruku ke baad dono tarah se Qunut padh lete they
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1183 - Hasan

Abu Ayyub Al-Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Witr haq hai aur,  jo chahe 5 rakaat witr padhey , jo chahe 3 rakaat witr padhey aur  jo chahe 1 rakaat witr padhey
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1190 – Sahih

-------------------------------------------

It was narrated from Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu that The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to pray witr with three rakahs. In the first he would recite: “Sabbah ismi Rabbikal aala-Surah Aala” in the second: Surah Al kafirun , and in the third: Surah Al-ikhlas And he would say the Qunut before bowing, and when he finished he would say: Subhanal-Malikil-Quddus (Glory be to the Sovereign, the Most Holy) three times, elongating the words the last time.
Sunan Nasaii , Vol. 2, Book 20, 1700-Sahih

 It was narrated that Aishah Radi Allahu Anha said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  used to say Taslim after every two Rakah, and he would perform Witr with one Rakah.
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1177-Sahih

 It was narrated from Ubayy bin Ka’b that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam used to pray Witr and he would recite Qunut before Ruku.
Sunan ibn Majah : Vol. 1, Book 5, 1182 – Sahih
  
It was narrated that Anas bin Malik said: He was asked about Qunut in the Subh prayer, and he said: “We used to recite Qunut before Ruku and afterwards.
Sunan ibn Majah : Vol. 1, Book 5, 1183 – Hasan


It was narrated from Abu Ayyub Al-Ansari that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: “Witr is Haq Whoever wishes let him pray Witr with five (Rak’ah), and whoever wishes let him pray Witr with three (Rak’ah), and whoever wishes let him pray Witr with one (Rak’ah).
Sunan ibn Majah : Vol. 1, Book 5, 1190 – Sahih

No comments:

Post a Comment