Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, February 9, 2014

Hadith: Ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uskey pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi




Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uskey pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi

Usama bin zaid radi allahu anhu ne kaha ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uskey pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi, wo unko liye huye gadhey ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega aur jahannam waley uskey paas ekaththey hongey us sey puchengey ki Eh falah kya tu achchi baaat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se manaa nahi karta tha ? wo kahega main to aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud (us par amal ) nahi karta aur dusron ko buri baat se manaa karta tha lekin khud us sey baaz na rahta tha.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7098

English Translation:
Usama Radi Allahu Anhu said The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, A man will be brought and put in Hell (Fire) and he will circumambulate (go around and round) in Hell (Fire) like a donkey of a (flour) grinding mill, and all the people of Hell (Fire) will gather around him and will say to him, O so-and-so! Didn't you use to order others for good and forbid them from evil?' That man will say, 'I used to order others to do good but I myself never used to do it, and I used to forbid others from evil while I myself used to do evil.' "
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 218

No comments:

Post a Comment