Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, February 9, 2014

Hadith: Jab imam baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar namaz padho



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jab imam baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar namaz padho

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jab beemar huye to kuch sahaba Radi Allahu Anhuma ayadat ke liye hazir huye aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne baith kar namaz padhayee to sahaba khadey hokar aapkey peechey namaz padhney lage to Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko ishare se farmaya ki baith jao aur salam pherney ke baad farmaya imam isee liye banaya jata hai ki uski pairwi ki jaye isliye jab wo ruku karey to tum bhi ruku karo aur jab wo sir uthaye to tum bhi sir uthao aur jab wo baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar namaz padho - Sunan ibn Majah, Vol 1, 1237-Sahih

(comments : agar is hadith par koi gaur karey to kuch hadd tak rafa yadein ka masla hal ho sakta hai yani jab imam rafa yadein karey to tum bhi kar sakte ho aur jab imam rafa yadein na karey to tum bhi nahi kar sakte ho kyunki imam isliye banaya jata hai ki uski pairwi ki jaye- Allah knows best)

English Translation:
It was narrated that Aishah Radi Allahu Anhu said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam fell ill and some of his Companions came to visit him. The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam performed prayer while sitting down, and they prayed behind him standing up. He gestured them to sit down, and when he finished he said: ‘The Imam is appointed to be followed. When he bows, then bow; when he stands up again, then stand up, and if he prays sitting down the pray sitting down.
Sunan ibn Majah, Book 5, 1237-Sahih

No comments:

Post a Comment