1. sirf ALLAH subhanahu Aalimul Gaib hai (jo apney aap sab kuch jaan leta)
وَعِندَهُ مَفَاتِحُ الْغَيْبِ لَا يَعْلَمُهَا إِلَّا هُوَ ۚ وَيَعْلَمُ مَا فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ ۚ وَمَا تَسْقُطُ مِن وَرَقَةٍ إِلَّا يَعْلَمُهَا وَلَا حَبَّةٍ فِي ظُلُمَاتِ الْأَرْضِ وَلَا رَطْبٍ وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَابٍ مُّبِينٍ
Aur usi ke paas Gaib ki kunjiyah hain jinhey uskey siwa koi nahi janta jo kuch jungle aur dariya mein hai wo sab janta hai aur koi patta nahi girta magar wo usey bhi janta hai aur koi Daana zameen ke tariq hisson mein nahi parta aur na koi tar ( fresh) aur khushk ( dry) cheej hai , magar sab kuch kitab roshan mein hai
Al Quran, Al-Anaam, Chapter #6, Verse #59
قُل لَّا أَقُولُ لَكُمْ عِندِي خَزَائِنُ اللَّهِ وَلَا أَعْلَمُ الْغَيْبَ وَلَا أَقُولُ لَكُمْ إِنِّي مَلَكٌ ۖ إِنْ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰ إِلَيَّ ۚ
Kah do Main tumse ye nahi kahta ki mere paas Allah ke khazaney hain aur na main Gaib ka ilm janta rakhta hu aur na ye kahta hu ki main farishta hu
main to sirf us wahi ki pairwi karta hu jo mujh par nazil ki jati hai
Al Quran , Al-Anaam, Chapter #6, Verse #50
قُل لَّا يَعْلَمُ مَن فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ الْغَيْبَ إِلَّا اللَّهُ ۚ وَمَا يَشْعُرُونَ أَيَّانَ يُبْعَثُونَ
Kah do ki Allah ke siwa Aasmano aur Zameeno mein koi bhi gaib ki baat nahi janta aur unhey uski bhi khabar nahi ki kab uthaye jaynegey
Al Quran , An-Naml, Chapter #27, Verse #65
2. ALLAH subhanahu ne wahi ke jariye usmey se kuch ilm Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ko bhi diya tha
ذَٰلِكَ مِنْ أَنبَاءِ الْغَيْبِ نُوحِيهِ إِلَيْكَ ۖ وَمَا كُنتَ لَدَيْهِمْ إِذْ أَجْمَعُوا أَمْرَهُمْ وَهُمْ يَمْكُرُونَ
(Eh Paighmbar) Ye Gaib ki khabrey hain jo hum Aap tak pahuchatey hain, aur Aap unkey paas nahi they jab ki unhoney apna irada pakka kar liya aur wo tadbeerein kar rahey they
Al Quran , Suraah Yusuf, Chapter 12, Verse 102
ذَٰلِكَ مِنْ أَنبَاءِ الْغَيْبِ نُوحِيهِ إِلَيْكَ ۚ وَمَا كُنتَ لَدَيْهِمْ إِذْ يُلْقُونَ أَقْلَامَهُمْ أَيُّهُمْ يَكْفُلُ مَرْيَمَ وَمَا كُنتَ لَدَيْهِمْ إِذْ يَخْتَصِمُونَ
Ye baatein Gaib ki khabron mein se hain jo tumhaarey paaas bhejtey hain aur jab wo log apni Qalam daal rahey they ki mariyam ka kafil kaun banega
to tum unkey paas nahi they aur na us waqt bhi unkey paas they jab wo aapas mein jhagad rahey they
Al Quran, Aal-e-Imran, Chapter 3, Verse 44
تِلْكَ مِنْ أَنبَاءِ الْغَيْبِ نُوحِيهَا إِلَيْكَ ۖ مَا كُنتَ تَعْلَمُهَا أَنتَ وَلَا قَوْمُكَ مِن قَبْلِ هَـٰذَا ۖ
Ye Gaib ki khabrein hai jinhey hum Aapki taraf wahi kar raahey hain is sey pahley na to Aap ye jantey they na aapki Qaum janti thi
Al Quran, Hud, Chapter #11, Verse #49
قُلْ إِنْ أَدْرِي أَقَرِيبٌ مَّا تُوعَدُونَ أَمْ يَجْعَلُ لَهُ رَبِّي أَمَدً عَالِمُ الْغَيْبِ فَلَا يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَدًا إِلَّا مَنِ ارْتَضَىٰ مِن رَّسُولٍ فَإِنَّهُ يَسْلُكُ مِن بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ رَصَدًا
Kah do mujhe khabar nahi jiska tumse wa'ada kiya gaya hai wo kareeb hai ya uskey liye mera Rab koi Muddat thahrata hai ,
wo gaib janney wala hai apni gaib ki baaaton par kisi ko waqif nahi karta , magar apney pasandeeda Rasool ko,
phir uskey aagey aur peechey muhafiz muqarrar kar deta hai.
Al Quran,Al Jinn, Chapter #72, Verse #25-27
Hadith: Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Gaib ki Kunjiyan 5 hain jisey Allah subhanahu ke siwa koi nahi janta
1. Allah ke siwa Koi Nahi Jaanta ki Maan ke raham (womb) mein kya hai (hamal rukne ke foran baad)
2. Allah ke siwa Kisi ko nahi malum ki kal kya honey wala hai
3. Allah ke siwa koi nahi janta ki Baarish kab aayegi
4. Allah ke siwa koi nahi janta ki usey maut kaha aayegi
5. Allah ke siwa koi nahi janta ki Qayamat kab aayegi
Sahih Bukhari, Vol 8, 7379
Summary : Allah ke pass sabse ziyada Gaib ka ilm hai, wo hi Aalimul Gaib hai, us sey badkar ya uskey barabar koi nahi,
magar Allah ne Huzur Sallallahu Alalihi wasallam ko wahi ke jariye Gaib ki khabrei di thi
----------------------------------------------