Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, October 7, 2012

Mafhum-e-Hadith: Ek Gunaahgar aur Ek Ibadatguzar bandey ka ibratnaak Anjaam




Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith:  Ek Gunaahgar aur Ek Ibadatguzar bandey ka ibratnaak Anjaam

Narrated AbuHurairah Radi Allahu Anhu  I heard the Apostle of Allah (peace_be_upon_him) say: There were two men among Bani Israil, who were striving for the same goal. One of them would commit sin and the other would strive to do his best in the world. The man who exerted himself in worship continued to see the other in sin. He would say: Refrain from it. One day he found him in sin and said to him: Refrain from it. He said: Leave me alone with my Lord. Have you been sent as a watchman over me? He said: I swear by Allah, Allah will not forgive you, nor will he admit you to Paradise. Then their souls were taken back (by Allah), and they met together with the Lord of the worlds. He (Allah) said to this man who had striven hard in worship; Had you knowledge about Me or had you power over that which I had in My hand? He said to the man who sinned: Go and enter Paradise by My mercy. He said about the other: Take him to Hell. AbuHurayrah said: By Him in Whose hand my soul is, he spoke a word by which this world and the next world of his were destroyed.  
Sunan Abu Dawud, Book41, 4883

----------------------------------------------------------

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bani israil mein do shaksh they inmein se ek to Gunaahgar tha aur dusra Ibadat mein koshish karney wala tha , Ibadat ki koshish karney wala hamesha dusrey shaksh ko guaah karta hua hi dekhta tha aur us sey kahta tha ki in gunaaho se ruk ja. Ek roz usney (ibadat guzar ne) usey koi gunaah kartey huye paya  to us sey kaha ki is sey ruk ja to gunaahgar ne kaha ki mujhe mere RAB ke saath chorh de , kyat u mujh par Nigahban bana kar bheja gaya hai ? usney kaha ki Allah ki kasam Allah subhanahu teri maghfirat nahi karengey ya kaha ki Allah subhanahu tujhe jannat mein dakhil nahi karengey phir un dono ki rooh Qabz kar le gayee to dono ki roohain Rabbul Aalameen ke samney jama huyee  to Allah subhanahu ne Aabid ( ibadatguzar) se farmaya ki kya tu us cheez par Qadir hai jo mere qabzey kudrat mein hai, aur gunaahgar se farmaya ki ja jannat mein dakhil ho ja meri rahmat ke badaulat aur dusrey se farmaya ki usey jahannam kki taraf le jao, Abu Hurairah Radi allahu anhu farmatey hai ki Qasam hai us zaat ki us Aabid ( ibadatguzar) ne aisa kalma kah diya jisney uski duniya aur aakhirat dono tabah kar di
Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469



No comments:

Post a Comment