Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Hadith: wo
(Fitney) baarish ke qatron ki tarah
tumharey gharon mein dakhil ho rahey hain
Ma'qil bin Yasar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Nabee
Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya Fasaad aur fitney ke waqt Ibaadat karney
ka sawab aisa hai jaisey mere paaas(meri taraf) Hijrat karney ka.
Sahih Muslim, 7400
Sahih Muslim, 7400
Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main fitno ko dekhta hu ki wo baarish ke qatron ki tarah tumharey gharon mein dakhil ho rahey hain
Sahih Bukhari, 7060
اللَّهُمَّ إِنِّي
َأَعُوذ بِك مِنْ فِتْنَة الْمَحْيَا وَالْمَمَات
“Allahumma inni Awuzubika min fitnatil mahya wal mamaat”
“Allahumma inni Awuzubika min fitnatil mahya wal mamaat”
Ya Allah main teri panaah chahta hu
Zindagi aur maut ke fitno se.
___________________________
آ پ صلی الله علیه وسلم نے فرمایا: فساد اور فتنہ کے دوران میں عبادت ( پر توجہ مرکوز ) کرنا،میری طرف ہجرت کرنے کی طرح ہے۔
صحیح مسلم ۷۴۰۰
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم مدینہ کے ٹیلوں میں سے ایک ٹیلے پر چڑھے پھر فرمایا کہ میں جو کچھ دیکھتا ہوں تم بھی دیکھتے ہو؟ لوگوں نے کہا کہ نہیں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں فتنوں کو دیکھتا ہوں کہ وہ بارش کے قطروں کی طرح تمہارے گھروں میں داخل ہو رہے ہیں۔
صحیح بخاری ۷۰۶۰
No comments:
Post a Comment