❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1232*❗
*Neeche diye gayee fazilaton ko unke Azkar se milan kijiye*
A. Salatul Khalaeeq
B. Allah ne jisko apne farishto ke liye aur bando ke liye chun liya
C. Zameen aur aasman ke khala ko bharne wala
D. Afzal Zikr
E. Jiski wajah se makhluq ko rizq diya jata hai
F. Allah subhanahu ko sabse zyada pasand
G. Jiska sawab likhne ke liye farishte daud padhte hain
H. Rabbi zidni ilman
------------
1. SubhanAllah
2. Alhamdulillah
3. La ilaha illAllah
4. Allahu Akbar
5. La hawla wa la Quwwata illa billah
6. SubhanAllahi wa bihamdihi
7. SubhanAllah walhamdulillah wa la ilaha illAllah wallahu Akbar
8. Inmein se koi nahi
❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1232*❗
*Match the following virtue with their Azkar*
A. Salatul Khalaeeq
B. Chosen by Allah for His Angels and His servants
C. Fill the gap between earth and the heaven
D. The best of remembrance
E. By it the creation is given its provision
F. The dearest phrases to Allah
G. Angels rush to take these words up near Allah
H. Rabbi zidni ilman (Oh Allah increase myknowledge)
------------
1. SubhanAllah
2. Alhamdulillah
3. La ilaha illAllah
4. Allahu Akbar
5. La hawla wa la Quwwata illa billah
6. SubhanAllahi wa bihamdihi
7. SubhanAllah walhamdulillah wa la ilaha illAllah wallahu Akbar
8. None of the above
*💐✅ Sahih Jawab : 16 43 678💐✅*
-----
1.✦ Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai SubhanAllah Salatul Khalaeeq (صَلَاةُ الْخَلَائِقِ) hai yani makhluq ki ibadat hai, Alhamdulillah kalma e shukar hai Laa illaha IllAllah kalma e ikhlas hai aur Allah hu Akbar zameen aur asman ke khala ko bhar deta hai
Mishkat ul Masabeeh- 2322-Sahih
----
2.✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Subhan Allahi Wa bihamdihi Salatu Kulli Shayeen (صَلَاةُ كُلِّ شَيْءٍ) hai yani har makhluq ki dua hai aur isee ke zariye sabko rizq diya jata hai
Al-Silsila-As-Sahiha 3130
----
3.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki kaunsa kalam afzal hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmya wo jo Allah subhanahu ne apne farishto ke liye aur bando ke liye chun liya hai wo ye hai
SubhanAllahi wa Bihamdehi
Sahih Muslim, 6925
----
4. ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Afzal Zikr La ilaha illAllah hai aur afzal dua Alhamdulillah hai
Sunan ibn Majah, Jild 1, 681-Hasan
----
5.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ko sabse zyada ye 4 kalme pasand hain SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa La ilaha ilAllahu Wa Allahu Akbar.
Sahih Muslim, Jild 6, 5601
----
6.✦ Abdullah bin Umar radi Allahu anhu se rivayat hai ki hum log Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam ke saath mashgul they ki us dauran ek shakhs ne kaha
✦ Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila
Aap Sal-Alalahu Alaihi Wasallam ne farmaya kis shakhs ne ye kalimat padhe hain us shakhs ne kaha ki maine padhe hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki is kalme ke liye 12 farishte daud padhe (yani is kalme ko sunne ke baad 12 farishte ne ye khwahish zahir ki ke is kalme ko wo baargah e ilahi mein pesh kare)
Sunan Nasaii, Jild 1, 888-Sahih
------
Mishkat ul Masabeeh- 2322-Sahih
Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam said: "Who spoke these words?" A man said: "I did, Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam said Twelve angels rushed (to take these words up near Allah).
Sunan Nasaii, Book 11, 886-Sahih
No comments:
Post a Comment