Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, September 7, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1216*❗

 ❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1216* ❗


✦ *Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek sahabi se sabse zyada Azmat wali Aayat ke mutalliq pucha aur uske baad uski azmat batatae huye ye bhi bataya ki wo aayat kaunse muqam par rahkar Allah ki hamd bayan karti hai* 

*Sawal 1 : Wo aayat kaunsi Surah mein hai ?*

A. Surah Baqarah
B. Surah Aal-e-Imran
C. Surah ikhlas
D. Surah Fatiha
E. Surah Hashr
F. Surah Al-Fath
G. inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma
(Eh Mere RABB mere ilm mein barkat de)


*Sawal 2 : Wo muqam kaunsa hai jaha wo aayat Allah ki hamd bayan karti hai ?*

A. Arsh ke paaye ke neeche
B. Jannat ke darwazo par
C. Sidratul Muntaha ke pass
D. Allah ke muqarrab farishton ke saath
E. Arsh ke dahini taraf
F. Al-Kauther ke pass
G. inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma
(Eh Mere RABB mere ilm mein barkat de)




❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1216*❗

✦ *Once Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked a sahabi about the verses which is highest in virtue and then he informed him about the virtue of that verse and also informed the place of that verse near Allah*


*Sawal 1 : That verse belongs to which surah ?*

A. Surah Baqarah
B. Surah Aal-e-Imran
C. Surah ikhlas
D. Surah Fatiha
E. Surah Hashr
F. Surah Al-Fath
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma
(Oh My Lord increase my Knowledge)



*Sawal 2 :  From which place that verse glorify Allah with the praise?*

A. Under the pillar of the throne
B. Near the door of paradise
C. Near the Sidratul Muntaha 
D.  With the nearest angels of Allah
E. The rigth side of the throne
F. Near the Al-Kauther
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma
(Oh My Lord increase my Knowledge)



*💐✅Sahih Jawab : AA💐✅*
-----
Uby ibn kaab Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne unse pucha Allah subhanahu ki kitab mein kounsi aayat sabse azmat wali hai unhone jawab diya ke Allah aur uske Rasool ( Sallallahu Alaihi wasallam)  hi behtar jante hain lakin jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne baar baar yahi sawal kiya to Uby ibn kaab Radi Allahu Anhu ne kaha wo Aayat ul kursi hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Abu Munzir tumhein ye ilm mubarak ho us zaat ki qasam jiske hath mein meri jaan hai iss aayat ki ek zuban aur do hont hain aur ye Allah subhanahu ke arsh ke paye ke qareeb Allah subhanahu ki taqdees aur paaki bayan karti hai 
Al-Silsila tus Sahiha - 2486

Note : Aayat Al Kursi Surah Al Baqrah ki Aayat number 255 hai


*💐✅ Answer : AA💐✅*
-----
Narrated by Uby ibn kaab Radi Allahu Anhu  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam asked him which verse have the highest virtue in the QUran , he said Allah and his Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam knows better but when the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam keep asking this question to him , Uby ibn kaab Radi Allahu Anhu said that verse is Aayat Al Kursi, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Oh Abu Munzir , COngratulation for this knowledge, By him in whose and my life is , this verse has a tongue and two lips and its glorify and praise Allah under the pillars of the throne 
Al-Silsila As Sahiha - 2486


No comments:

Post a Comment