Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, September 24, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1229* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1229* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Wo kaun kaun se sahabi hain jinki wafat RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam se pahle huyee thi ?*

A. Zaid bin Harithah

B. Abu Salma

C. Ammar 

bin Yasir

D. Abdullah bin Rawaha

E. Saad bin Muadh

F. Jabir bin Abdullah 

G. Musaib bin Umair

(Radi Allahu Anhuma)

H. Rabbi Zidni ilma


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1229* ❗

*Answer are more than one*

*Which Sahabi died before the RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ?*

A. Zaid bin Harithah

B. Abu Salma

C. Ammar 

bin Yasir

D. Abdullah bin Rawaha

E. Saad bin Muadh

F. Jabir bin Abdullah 

G. Musaib bin Umair

(Radi Allahu Anhuma)

H. Rabbi Zidni ilma


*💐✅ Sahih Jawab : ABDEG💐✅*

-----

✦ Anas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne(tha Ghazwa e Muta ke din) *Zaid bin haritha , Jafar aur Abdullah Ibn Rawaha Radi Allahu Anhuma* ki shahdat ki khabar us waqt hi de di thi jabki unki koi khabar bhi nahi aayee thi Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate ja rahe they Ab Zaid Radi allahu anhu jhanda uthaye huye hain aur ab unhe shaheed kar diya gaya hai , ab jafar Radi allahu anhu ne jhanda utha liya hai aur ab unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab ibn rawaha Radi allahu anhu ne jhanda utha liya aur unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki ankho se aansoo jari ho gaye aur phir farmaya ab Allah ki talwaro mein se ek talwar Khalid bin waleed Radi allahu anhu ne jhanda apne haath mein le liya hai aur Allah ne unke haath par fateh ata farma di hai ( Allahu Akbar)
Sahih Bukhari, Jild 5,4262


✦  Rasool-Allah Sal-Alalhu alaihi wasallam ne farmaya *Saad bin Muadh Radi allahu anhu* ki maut par Allah ka arsh bhi hilne laga tha , |
Sahih Bukhari, Jild 5, 3803

✦ Umm salma Radi Allahu Anha farmati hain ki jab (unke shohar) *Abu Salma Radi Allahu Anhu* ki wafat ho gayee to  maine (dil mein) socha ki kaunsa musalman Abu Salma Radi Allahu Anhu se behtar ho sakta hai wo pahla gharana hai jisne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki taraf hijrat ki phir maine ye dua padhi 

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا

inna lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha to Allah subhanahu ne mujhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki surat mein us naimat ka badal ata farmaya aur *Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Hatib bin Abu batla Radi Allahu Anhu ko mere paas unke nikah ka paigam dekar bheja*
Sahih Muslim, 2126

✦ Khabba Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhone bayan kiya ke humne Nabi Sallallahu Alahih Wasallam ke sath Allah subhanahu ki raza hasil karne ke liye hijrat ki to hamara ajar Allah subhanahu ke zimme raha hum mein se to koi guzar gaya aur apna ajar ( iss Duniya mein)  nahi liya *Musaib bin Umair Radi Allahu Anhu* unhi mein se they wo jang e uhad ke din shaheed ho gaye they aur ek chadar chorh di thi ( us chadar ka unko kafan diya gaya tha)  us chadar se hum agar unka sir dhakte to unke pair khul jate aur pair dhakte to sir khul jata to Aap Sallallahu Alahih wasallam ne hume humkum diya ke unka sir dhak do aur pair par idhkir ghas dal do
Sahih Bukhari - 6448



*💐✅ Answer : ABDEG💐✅*

-----

✦ Narrated Anas Radi allahu anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam had informed the people of the martyrdom of Zaid, Jafar and Ibn Rawaha before the news of their death reached.( on the day of Ghazwa e Muta) The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) said, "Zaid took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then Ja`far took it and was martyred, and then Ibn Rawaha took it and was martyred." At that time the Prophet's eyes were shedding tears. He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e. Khalid) and Allah made them ( the Muslims) victorious. (Allahu Akbar)
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 561

✦ Narrated Jabir radi allahu anhu: I heard the Prophet Sal-Alalhu alaihi wasallam saying, "The Throne (of Allah) shook at the death of Sad bin Muadh Radi Allahu Anhu
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 147

✦  Umm Salama (Hind bint Abu Umayya) reported Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi wasallam  as saying: If any Muslim who suffers some calamity says, what Allah has commanded him,

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏

We belong to Allah and to Him shall we return; O Allah, reward me for my affliction and give me something better than it in exchange for it,Allah will give him something better than it in exchange. When Abu Salama died she said: What Muslim is better than Abu Salama whose family was the first to emigrate to the Messenger of Allah (ﷺ). I then said the words, and Allah gave me God's Messenger (ﷺ) in exchange.The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam sent Hatib bin Abu Balta Radi Allahu Anhu to deliver me the message of marriage with him.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1999

✦ Narrated Abu Wail:We paid a visit to Khabbab who was sick, and he said, "We migrated with the Prophet (ﷺ) for Allah's Sake and our wages became due on Allah. Some of us died without having received anything of the wages, and one of them was Musab bin Umar, who was martyred on the day of the battle of Uhud, leaving only one sheet (to shroud him in). If we covered his head with it, his feet became uncovered, and if we covered his feet with it, his head became uncovered. So the Prophet (ﷺ) ordered us to cover his head with it and put some Idhkhir (a kind of grass) over his feet.
Sahih Bukhari,Book 76, Hadith 455

No comments:

Post a Comment