Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, September 8, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1217*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1217*❗


*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Janaze ke mutalliq kaun kaun see baate sahi hain ?*

A. Janaze ke peeche chalne ka sawab aage chalne se zyada hai
B. Neik janaza kahta hai mujhe jaldi le chalo
C. Kisi Gair muslim ka janaza dekh kar khade ho jana chahiye
D. Jo kisi musalman ke janaze ko kafan de usko Qayamt ke din Resham pahanaya jayega
E. Janaze ki aawaz agar insan sun le to behosh ho jaye
F. Jo janaza Neik nahi hota wo kahta hai tum sab barbad ho jao , mujhe mat le jao
G. Jab koi janaze ke saath jaye to jab tak usko dafan na kar diya jaye tab tak baithna nahi chahiye
H. Rabbi Zidni ilma
(Eh Mere RABB mere ilm mein barkat de)



❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1217*❗

*Answers are more than one*

*Sawal : Choose the true lines regrding the funeral ?*

A. The one who walk after the funerel is superior than the one who walk before it
B. If the deceased was righteous it will say, Present me (hurriedly)
C. Whenever you see a funeral procession, you should stand up  even its for Non Muslim
D. The one who shroud a believer Allah will provide him a thin fine silk to wear on the day of resurrection
E. if man heard the voice of funerel he would fall unconscious
F. If the funerel is not righteous  he say , Cursed be on you, dont take me 
G. Whoever accompanies with funeral , should not sit before the burial
H. Rabbi Zidni ilma
(Oh My Lord increase my Knowledge)



*💐✅Sahih Jawab : ABCDE💐✅*
-----
✦ Saydna Amr Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhone Ali Radi Allahu Anhu se janaze ke aagye ya peeche chalne ke bare mein pucha Ali Radi Allahu Anhu ne kaha janaze ke peeche chalne walo ko aage chalne wale par iss tarha fazilat hasil hai jaise ba jamat namaz padhne wale ko akele padhne wale par hai 
Musnad Ahmed - 3209-Sahih

✦ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai humare samne se Ek janaza guzra to Nabi Sallallahu Alaihi wasallam khade ho gaye aur hum bhi khade ho gaye phir humne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ye yahudi ka janaza tha Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Ke jab tum janaza dekho to khade ho jaya karo 
Sahih Bukhari - 1311

✦ RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Jis Shaks ne Mayyat ko gusal diya aur uski parda poshi ki to Allah Subhanahu uske Gunaho par parda dalega aur jis Shaks ne Kisi Muslman ko kafan diya Allah Subhanahu usay Qayamat ke din Resham pehnaega 
Al-Silsila-As-Sahiha 3313

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki jab Mayyat charpayee (janaze) par rakhi jati hai aur mard ise kandho par uthate hai to agAr wo neik ho to kahta hai ki mujhe jaldi le chalo, lekin ager neik nahi ho to kahta hai haay barbadi mujhe kaha liye ja rahe ho, us aawaz ko insan ke siwa tamam Allah ki makhluq sunti hai, ager insan use sune to behosh ho jaye.
Sahih Bukhari 1314

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum janaza dekho to khade ho jaya karo aur jo shaksh janaze ke saath jaaye wo us waqt tak na baithe jab tak janaza zameen par rakh na diya jaye
Sahih Bukhari 1310





*💐✅ Answer: ABCDE💐✅*
-----
✦ Narrated by Amr raid allahu anhu he asked to Ali Radi Allahu Anhu regarding walking before funeral or after funeral, Ali radi Allahu anhu said , the one who walk after the funerel is superior than the one who walk before it,  same like the the one who pray with congretion is superior than the one who pray alone
Musnad Ahmed - 3209-Sahih

✦ Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, When the funeral is ready and the men carry it on their shoulders, if the deceased was righteous it will say, 'Present me (hurriedly),' and if he was not righteous, it will say, 'Woe to it (me)! Where are they taking it (me)?' Its voice is heard by everything except man and if he heard it he would fall unconscious.
Sahih Bukhari  Book 23, 400

✦ RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam said Whoever washed a dead person and keep his faults secret , Allah will hide his sins on the day of resurrection and the one who shroud a believer Allah subhanahu will provide him a thin fine silk to wear on the day of resurrection
Al-Silsila-tus-Sahiha 3313

✦ A funeral procession passed in front of us and the Prophet (ﷺ) stood up and we too stood up. We said, 'O Allah's Messenger (ﷺ)! This is the funeral procession of a Jew. He said, Whenever you see a funeral procession, you should stand up."
Sahih Bukhari, Book 23, 398

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said When you see a funeral procession, you should stand up, and whoever accompanies it should not sit till it is put down
Sahih Bukhari, Book 23, 397

No comments:

Post a Comment