Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, September 29, 2020

Hadith: Hamara Rab har raat farmata hai kaun hai jo mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu


 

 

 

 *Bismillahirahmanirraheem*

*✦ Hadith: Hamara Rab har raat farmata hai kaun hai jo mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu*
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab raat ka aakhri tihayee hissa baqi rah jata hai to hamara Rabb jo barkat wala aur paak hai har raat Aasman-e-duniya ki taraf nuzul farmata hai aur farmata hai, kaun hai jo mujhse Dua karey ki main uski Dua Qubul karu , Kaun hai jo mujhse maange  ki main use du , kaun hai jo mujhse bakhshish talab karey ki main uski bakshish karu
Sahih Bukhari 6321

-----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जब रात का आखरी तिहाई हिस्सा बाक़ी रह जाता है तो हमारा रब्ब जो बरकत वाला और पाक है हर रात आसमान-ए-दुनिया की तरफ नुज़ूल फरमाता है  और फरमाता है, कौन है जो मुझसे दुआ करे है की मैं उसकी दुआ क़ुबूल करूँ , कौन है जो मुझसे मांगे है की मैं उसे दूँ  , कौन है जो मुझसे बखशीश तलब करे  की मैं उसकी बखशीश करूँ
सही बुखारी 6321

-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہمارا رب جو برکت والا اور پاک ہے  ہر رات آسمان دنیا کی طرف نزول فرماتا ہے ، اس وقت جب رات کا آخری تہائی حصہ باقی رہ جاتا ہے اور فرماتا  ہے کون ہے جو مجھ سے دعا کرتا ہے کہ میں اس کی دعا قبول کروں ، کون ہے جو مجھ سے مانگتا ہے کہ میں اسے دوں ، کون ہے جو مجھ سے بخشش طلب کرتا ہے کہ میں اس کی بخشش کروں
صحیح بخاری، ٦٣٢١
-----
✦ RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said  When it is the last third of the night, our Lord, the Blessed, the Superior, descends every night to the heaven of the world and says, 'Is there anyone who invokes Me (demand anything from Me), that I may respond to his invocation; Is there anyone who asks Me for something that I may give (it to) him; Is there anyone who asks My forgiveness that I may forgive him?
Sahih Bukhari Book 75, 333

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1232 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1232*❗

*Neeche diye gayee fazilaton ko unke Azkar se milan kijiye*

A. Salatul Khalaeeq

B. Allah ne jisko apne farishto ke liye aur bando ke liye chun liya

C. Zameen aur aasman ke khala ko bharne wala

D. Afzal Zikr

E. Jiski wajah se makhluq ko rizq diya jata hai

F. Allah subhanahu ko sabse zyada pasand 

G. Jiska sawab likhne ke liye farishte daud padhte hain

H. Rabbi zidni ilman 

------------

1. SubhanAllah

2. Alhamdulillah

3. La ilaha illAllah

4. Allahu Akbar

5. La hawla wa la Quwwata illa billah

6. SubhanAllahi wa bihamdihi

7. SubhanAllah walhamdulillah wa la ilaha illAllah wallahu Akbar

8. Inmein se koi nahi


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1232*❗

*Match the following virtue with their Azkar*

A. Salatul Khalaeeq

B. Chosen by Allah for His Angels and His servants

C. Fill the gap between earth and the heaven

D. The best of remembrance

E. By it the creation is given its provision 

F. The dearest phrases to Allah 

G. Angels rush to take these words up near Allah

H. Rabbi zidni ilman  (Oh Allah increase myknowledge)

------------

1. SubhanAllah

2. Alhamdulillah

3. La ilaha illAllah

4. Allahu Akbar

5. La hawla wa la Quwwata illa billah

6. SubhanAllahi wa bihamdihi

7. SubhanAllah walhamdulillah wa la ilaha illAllah wallahu Akbar

8. None of the above


*💐✅ Sahih Jawab : 16 43 678💐✅*

-----

1.✦ Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai SubhanAllah Salatul Khalaeeq (صَلَاةُ الْخَلَائِقِ) hai yani makhluq ki ibadat hai,  Alhamdulillah kalma e shukar hai Laa illaha IllAllah  kalma e ikhlas hai aur Allah hu Akbar  zameen aur asman ke khala ko bhar deta hai 
Mishkat ul Masabeeh- 2322-Sahih
----
2.✦  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Subhan Allahi Wa bihamdihi Salatu Kulli Shayeen (صَلَاةُ كُلِّ شَيْءٍ) hai yani har makhluq ki dua hai aur isee ke zariye sabko rizq diya jata hai 
Al-Silsila-As-Sahiha 3130
----

3.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki kaunsa kalam afzal hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmya wo jo Allah subhanahu ne apne farishto ke liye aur bando ke liye chun liya hai wo ye hai 
SubhanAllahi wa Bihamdehi
Sahih Muslim,  6925
----

4. ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Afzal Zikr La ilaha illAllah hai aur afzal dua Alhamdulillah hai

Sunan ibn Majah, Jild 1, 681-Hasan
----

5.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ko sabse zyada ye 4 kalme pasand hain SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa La ilaha ilAllahu Wa Allahu Akbar.

Sahih Muslim, Jild 6, 5601

----

6.✦ Abdullah bin Umar radi Allahu anhu se rivayat hai ki hum log Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam ke saath mashgul they ki us dauran ek shakhs ne kaha

✦ Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila

Aap Sal-Alalahu Alaihi Wasallam ne farmaya kis shakhs ne ye kalimat padhe hain us shakhs ne kaha ki maine padhe hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki is kalme ke liye 12 farishte daud padhe (yani is kalme ko sunne ke baad 12 farishte ne ye khwahish zahir ki ke is kalme ko wo baargah e ilahi mein pesh kare)
Sunan Nasaii, Jild 1, 888-Sahih


*💐✅ Answer : 16 43 678💐✅*
------

1.✦ Narrated by Ibn Umar Radi Allahu Anhu that  SubhanAllah is the Salatul Khalaeeq (صَلَاةُ الْخَلَائِقِ) it means its a worship of creations, and saying Alhamdulillah is the word of thanks and  Laa illaha IllAllah is the word of sincerity and Allahu Akabr fill the gap between earth 

Mishkat ul Masabeeh- 2322-Sahih

----
2.✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said  Subhana Allaahi wa bihamdihi  is a supplication for everything, and by it thecreation is given its provision 

Al Silsila As Sahiha, 3130
----
3.✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  was asked which words are the best. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Those which are chosen by Allah for His Angels and His servants (and the words are) SubhanAllahi Wa Bihamdehi
Sahih Muslim,  6586
----
4.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said The best of remembrance is La ilaha illallah (None has the right to be worshipped but Allah), and the best of supplication is Al-Hamdu Lillah (praise is to Allah)
Sunan ibn maja, Book 33, 3800-Hasan
----
5.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said "The dearest phrases to Allah are four: Subhan Allah (Glory be to Allah), Al-Hamdulillah (Praise be to Allah), La ilaha illa-Allah (There is no God but Allah), Allahu Akbar (Allah is Greatest)

Sahih Muslim,Book 25, Hadith 5329
----
6.✦ It was narrated from Abdullah bin Umar that: A man stood behind the Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam  and said: 
✦ Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa-Asila 

Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam  said: "Who spoke these words?" A man said: "I did, Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam  said Twelve angels rushed (to take these words up near Allah).

Sunan Nasaii, Book 11, 886-Sahih

Monday, September 28, 2020

Hadith Qudsi : Allah subhanahu ne farmaya Mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge

 


 


*Bismillahirahmanirraheem*

*✦ Hadith Qudsi : Allah subhanahu ne farmaya Mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge*
-------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge jin par Anbiya aur shohda (Shaheed) bhi rashk karenge
Jamia Tirmidhi 2390-Sahih
-----
رسول اللہ صلى الله عليه وسلم نے فرمایا اللہ سبحانہو فرماتا ہے میرے لئے آپس میں محبّت کرنے والو کے لئے نور کے منبر ہونگے  جن پر انبیاء اور شہدا بھی رشک کرینگے
جامہ ترمیزی ٢٣٩٠-صحیح 
-----
✦ रसूलल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहू फरमाता है 
मेरे लिए आपस में मुहब्बत करने वालों के लिए नूर के मिम्बर होंगे जिन पर
 अम्बिया (नबी) और शोहदा (शहीद) भी रश्क करेंगे
जामेअ तिरमिज़ी 2390-सही 
 -----
✦ RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Allah, the Mighty and Sublime, said Those who love each other for the sake of My Majesty shall be upon podiums of light, and they will be admired (desired ) by the Prophets and the martyrs.
Jamia Tirmidhi,  2390-Sahih

Sunday, September 27, 2020

Hadith : Mujhe Dozakh dikhlayee gayee to usmein ziyadatar aurtein thi Jo shohar ki nashukri karti hain

 

 


 

 *Bismillahirahmanirraheem*

✦ *Hadith : Mujhe Dozakh dikhlayee gayee to usmein ziyadatar aurtein thi Jo shohar ki nashukri karti hain*
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya Mujhe Dozakh dikhlayee gayee to usmein ziyadatar aurtein thi Jo kufr karti hain pucha Gaya ki Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam kya wo Allah ke saath kufr karti hain?  Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Shohar (Husband) ki nashukri karti hain, agar tum umar bhar unmein se Kisi ke saath ehsaan karte raho phir tumhari taraf se kabhi koi inke khayal mein nagawari (napasand) ki baat ho jaye to kahegi ki maine kabhi bhi tujhse koi bhalaii nahi dekhi.
Sahih Bukhari-29
-----

صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مجھے دوزخ دکھلائی گئی تو اس میں زیادہ تر عورتیں تھیں جو کفر کرتی ہیں ۔ کہا گیا حضور کیا وہ اللہ کے ساتھ کفر کرتی ہیں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ خاوند کی ناشکری کرتی ہیں ۔ اور احسان کی ناشکری کرتی ہیں ۔ اگر تم عمر بھر ان میں سے کسی کے ساتھ احسان کرتے رہو ۔ پھر تمہاری طرف سے کبھی کوئی ان کے خیال میں ناگواری کی بات ہو جائے تو فوراً کہہ اٹھے گی کہ میں نے کبھی بھی تجھ سے کوئی بھلائی نہیں دیکھی ۔
صحیح بخاری ، ٢٩
----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मुझे दोज़ख़ दिखलाई गयी तो उसमें ज़्यादातर औरतें थी जो कुफ्र करती हैं पूछा गया की आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  क्या वो अल्लाह के साथ कुफ्र करती हैं?  आप सलअल्लाहू  अलैही वसल्लम  ने फरमाया की  वो शोहर की नशुकरी करती हैं, अगर तुम उमर भर उनमें से किसी के साथ एहसान करते रहो फिर तुम्हारी तरफ से कभी कोई इनके ख़याल में नापसंदकी बात हो जाए तो कहेगी की मैने कभी भी तुझसे कोई भलाइ ही नही देखी
सही बुखारी - 29
----

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih wasallam said: I was shown the Hell-fire and that the majority of its dwellers were women who were ungrateful. It was asked, Do they disbelieve in Allah ?  He Sal-Allahu Alaihi Wasallam replied, They are ungrateful to their husbands and are ungrateful for the favors and the good (charitable deeds) done to them. If you have always been good
(benevolent) to one of them and then she sees something in you (not of her liking), she will say, 'I have never received any good
from you.
Sahih Bukhari-29

Only-Quran-Hadith Quiz 1231

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1231*❗


*Sawal : Kinke bete ki wafat par Aap  SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Jannat mein unke liye ek doodh pilane wali hai ?*

A. Ali Radi Allahu Anhu

B. Abu Talha Radi Allahu Anhu

C. Maria Radi Allahu Anha

D. Umm Sulaim Radi Allahu Anha

E. Jafer Radi Allahu Anhu

F. Umm Salma Radi Allahu Anha

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1231*❗

*Quiz :  On the death of whose son the Prophet  SallAllahu Alaihi Wasallam said that in the paradise there is a wet nurse for him?*

A. Ali Radi Allahu Anhu

B. Abu Talha Radi Allahu Anhu

C. Maria Radi Allahu Anha

D. Umm Sulaim Radi Allahu Anha

E. Jafer Radi Allahu Anhu

F. Umm Salma Radi Allahu Anha

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma


*💐✅ Sahih Jawab : C💐✅*

-----

Al-Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab RasoolAllah Sallallahu Alahih wasallam ke bete Ibrahim Radi Allahu Anhu ki wafat huyee to Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya ki Jannat mein unke liye ek doodh pilane wali hai 

Sahih Bukhari 3255


*Note : Ibrahim Radi Allahu Anhu ki Maa ka naam Maria Radi Allahu Anha tha*


*💐✅ Answer : C💐✅*

-----

Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu After the death of his son Ibrahim Prophet SallAllahu Alaihi Wasallam said There is a wet-nurse for him in Paradise.

Sahih Bukhari, Book 54, 477

*Note : Maria Radi Allahu Anha was the mother of Ibrahim*

Only-Quran-Hadith Quiz 1230

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1230* ❗

*Quran ke in lafzo ko unke mayno se milan kijiye - Match the following (Refer : Surah Yaseen)*


A. الْأَجْدَاثِ - Al-Ajdath

B. يَا وَيْلَنَا- Yawaylana

C. صَيْحَةً - Sayhatan

D. ظِلَالٍ - Zilalin

E. فَاكِهَةٌ  - Fakihatun

F. الْأَزْوَاجَ - Al-Azwaj

G. الْقَدِيمِ - Al Qadeem

H. Rabbi Zidni ilman

----------

1. Jode (Pairs)

2. Qabrein

3. Ham par Afsos hai

4. Qayamat

5. Saaye

6. Mewe (fruits)

7. Purani

8. Zor ki aawaz

9. Inmein se koi nahi


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1230*❗


*Match the following Quraic words with their meanings ( Refer : Surah Yaseen)*


A. الْأَجْدَاثِ - Al-Ajdath

B. يَا وَيْلَنَا- Yawaylana

C. صَيْحَةً - Sayhatan

D. ظِلَالٍ - Zilalin

E. فَاكِهَةٌ  - Fakihatun

F. الْأَزْوَاجَ - Al-Azwaj

G. الْقَدِيمِ - Al Qadeem

H. Rabbi Zidni ilman

----------

1. Pairs

2. The Graves

3. Woe to us

4. Qayamah

5. Shades

6. Fruits

7. Old

8. A shout

9. None of the above


💐✅Sahih Jawab : 2385617💐✅*

-----

وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَإِذَا هُم مِّنَ *الْأَجْدَاثِ* إِلَىٰ رَبِّهِمْ يَنسِلُونَ

Aur (jis waqt) soor phunka jayega ye *Qabron* se (nikal kar) apne Rabb ki taraf daud padenge

*Surah Yaseen - 36:51*

-----

قَالُوا *يَا وَيْلَنَا* مَن بَعَثَنَا مِن مَّرْقَدِنَا

Kahenge *Haay ham par Afsos*  hume Humari khwaabgaahon se kisne (jaga) uthaya

*Surah Yaseen - 36:52*

-----

إِن كَانَتْ إِلَّا *صَيْحَةً* وَاحِدَةً فَإِذَا هُمْ جَمِيعٌ لَّدَيْنَا مُحْضَرُونَ

Sirf ek *Zor ki Awaaz* ka hona hoga ke sab ke sab humare rubaru Aaa hazir honge

*Surah Yaseen - 36:53*

-----

 هُمْ وَأَزْوَاجُهُمْ فِي *ظِلَالٍ* عَلَى الْأَرَائِكِ مُتَّكِئُونَ

Wo bhi aur unki Biwiyaan bhi *Saayon* me takhton par takiya lagaye baithe honge

*Surah Yaseen - 36:56*

-----

لَهُمْ فِيهَا *فَاكِهَةٌ* وَلَهُم مَّا يَدَّعُونَ

Wahan unke liye *Mewe* aur jo chahenge (moujood hoga)

*Surah Yaseen - 36:57*

-----

سُبْحَانَ الَّذِي خَلَقَ *الْأَزْوَاجَ* كُلَّهَا مِمَّا تُنبِتُ الْأَرْضُ وَمِنْ أَنفُسِهِمْ وَمِمَّا لَا يَعْلَمُونَ

Wo Allah Paak hai jisne Zameen ki Nabaataat ke aur khud unke aur jin Cheezoun ki unko Khabar nahi sabke *Jode* banaye

*Surah Yaseen - 36:37*

-----

*وَالْقَمَرَ* قَدَّرْنَاهُ مَنَازِلَ حَتَّىٰ عَادَ كَالْعُرْجُونِ الْقَدِيمِ

Aur Chand ki bhi hum ne Manzilen Muqarrar kardi yahan tak ke (ghathte ghathte) khajoor ki *Purani* shaakh ki tarah hojaata hai

*Surah Yaseen - 36:39*


💐✅Correct Answer : 2385617💐✅

-----

وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَإِذَا هُم مِّنَ الْأَجْدَاثِ إِلَىٰ رَبِّهِمْ يَنسِلُونَ

And the Horn will be blown; and at once from the graves to their Lord they will hasten.

Surah Yaseen - 36:51

-----

قَالُوا يَا وَيْلَنَا مَن بَعَثَنَا مِن مَّرْقَدِنَا

They will say, "O woe to us!*  Who has raised us up from our sleeping place?"

Surah Yaseen - 36:52

-----

إِن كَانَتْ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً فَإِذَا هُمْ جَمِيعٌ لَّدَيْنَا مُحْضَرُونَ

 It will not be but one Blast , and at once they are all brought present before Us.

Surah Yaseen - 36:53

-----

 هُمْ وَأَزْوَاجُهُمْ فِي ظِلَالٍ عَلَى الْأَرَائِكِ مُتَّكِئُونَ

They and their spouses - in Shade , reclining on adorned couches

Surah Yaseen - 36:56

-----

لَهُمْ فِيهَا فَاكِهَةٌ وَلَهُم مَّا يَدَّعُونَ

For them therein is Fruit , and for them is whatever they request [or wish]

Surah Yaseen - 36:57

-----

سُبْحَانَ الَّذِي خَلَقَ الْأَزْوَاجَ كُلَّهَا مِمَّا تُنبِتُ الْأَرْضُ وَمِنْ أَنفُسِهِمْ وَمِمَّا لَا يَعْلَمُونَ

Exalted is He who created all Pairs - from what the earth grows and from themselves and from that which they do not know.

Surah Yaseen - 36:36

-----

وَالْقَمَرَ قَدَّرْنَاهُ مَنَازِلَ حَتَّىٰ عَادَ كَالْعُرْجُونِ الْقَدِيمِ

And the moon - We have determined for it phases, until it returns [appearing] like the Old date stalk.

Surah Yaseen - 36:39

Thursday, September 24, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1229* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1229* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Wo kaun kaun se sahabi hain jinki wafat RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam se pahle huyee thi ?*

A. Zaid bin Harithah

B. Abu Salma

C. Ammar 

bin Yasir

D. Abdullah bin Rawaha

E. Saad bin Muadh

F. Jabir bin Abdullah 

G. Musaib bin Umair

(Radi Allahu Anhuma)

H. Rabbi Zidni ilma


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1229* ❗

*Answer are more than one*

*Which Sahabi died before the RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ?*

A. Zaid bin Harithah

B. Abu Salma

C. Ammar 

bin Yasir

D. Abdullah bin Rawaha

E. Saad bin Muadh

F. Jabir bin Abdullah 

G. Musaib bin Umair

(Radi Allahu Anhuma)

H. Rabbi Zidni ilma


*💐✅ Sahih Jawab : ABDEG💐✅*

-----

✦ Anas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne(tha Ghazwa e Muta ke din) *Zaid bin haritha , Jafar aur Abdullah Ibn Rawaha Radi Allahu Anhuma* ki shahdat ki khabar us waqt hi de di thi jabki unki koi khabar bhi nahi aayee thi Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate ja rahe they Ab Zaid Radi allahu anhu jhanda uthaye huye hain aur ab unhe shaheed kar diya gaya hai , ab jafar Radi allahu anhu ne jhanda utha liya hai aur ab unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab ibn rawaha Radi allahu anhu ne jhanda utha liya aur unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki ankho se aansoo jari ho gaye aur phir farmaya ab Allah ki talwaro mein se ek talwar Khalid bin waleed Radi allahu anhu ne jhanda apne haath mein le liya hai aur Allah ne unke haath par fateh ata farma di hai ( Allahu Akbar)
Sahih Bukhari, Jild 5,4262


✦  Rasool-Allah Sal-Alalhu alaihi wasallam ne farmaya *Saad bin Muadh Radi allahu anhu* ki maut par Allah ka arsh bhi hilne laga tha , |
Sahih Bukhari, Jild 5, 3803

✦ Umm salma Radi Allahu Anha farmati hain ki jab (unke shohar) *Abu Salma Radi Allahu Anhu* ki wafat ho gayee to  maine (dil mein) socha ki kaunsa musalman Abu Salma Radi Allahu Anhu se behtar ho sakta hai wo pahla gharana hai jisne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki taraf hijrat ki phir maine ye dua padhi 

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا

inna lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha to Allah subhanahu ne mujhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki surat mein us naimat ka badal ata farmaya aur *Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Hatib bin Abu batla Radi Allahu Anhu ko mere paas unke nikah ka paigam dekar bheja*
Sahih Muslim, 2126

✦ Khabba Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhone bayan kiya ke humne Nabi Sallallahu Alahih Wasallam ke sath Allah subhanahu ki raza hasil karne ke liye hijrat ki to hamara ajar Allah subhanahu ke zimme raha hum mein se to koi guzar gaya aur apna ajar ( iss Duniya mein)  nahi liya *Musaib bin Umair Radi Allahu Anhu* unhi mein se they wo jang e uhad ke din shaheed ho gaye they aur ek chadar chorh di thi ( us chadar ka unko kafan diya gaya tha)  us chadar se hum agar unka sir dhakte to unke pair khul jate aur pair dhakte to sir khul jata to Aap Sallallahu Alahih wasallam ne hume humkum diya ke unka sir dhak do aur pair par idhkir ghas dal do
Sahih Bukhari - 6448



*💐✅ Answer : ABDEG💐✅*

-----

✦ Narrated Anas Radi allahu anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam had informed the people of the martyrdom of Zaid, Jafar and Ibn Rawaha before the news of their death reached.( on the day of Ghazwa e Muta) The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) said, "Zaid took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then Ja`far took it and was martyred, and then Ibn Rawaha took it and was martyred." At that time the Prophet's eyes were shedding tears. He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e. Khalid) and Allah made them ( the Muslims) victorious. (Allahu Akbar)
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 561

✦ Narrated Jabir radi allahu anhu: I heard the Prophet Sal-Alalhu alaihi wasallam saying, "The Throne (of Allah) shook at the death of Sad bin Muadh Radi Allahu Anhu
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 147

✦  Umm Salama (Hind bint Abu Umayya) reported Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi wasallam  as saying: If any Muslim who suffers some calamity says, what Allah has commanded him,

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏

We belong to Allah and to Him shall we return; O Allah, reward me for my affliction and give me something better than it in exchange for it,Allah will give him something better than it in exchange. When Abu Salama died she said: What Muslim is better than Abu Salama whose family was the first to emigrate to the Messenger of Allah (ﷺ). I then said the words, and Allah gave me God's Messenger (ﷺ) in exchange.The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam sent Hatib bin Abu Balta Radi Allahu Anhu to deliver me the message of marriage with him.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1999

✦ Narrated Abu Wail:We paid a visit to Khabbab who was sick, and he said, "We migrated with the Prophet (ﷺ) for Allah's Sake and our wages became due on Allah. Some of us died without having received anything of the wages, and one of them was Musab bin Umar, who was martyred on the day of the battle of Uhud, leaving only one sheet (to shroud him in). If we covered his head with it, his feet became uncovered, and if we covered his feet with it, his head became uncovered. So the Prophet (ﷺ) ordered us to cover his head with it and put some Idhkhir (a kind of grass) over his feet.
Sahih Bukhari,Book 76, Hadith 455

Wednesday, September 23, 2020

❗ Only-Quran-Hadith Quiz- 1228 ❗

 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1228* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Shaitan kis waqt rota hai ya roya tha ?*


A. Jab Adam Alaihi Salam ki takhleeq huyee

B. Jab koi Namaz ke liye khada hota hai

C. Jab Azan di jati hai

D. Jab makka fateh hua tha

E. Jab badr mein farishte nazil huye they

F. Jab koi Sazda e tilawat karta hai

G. Jab Ramzan ka mahina aata hai

H. Rabbi Zidni ilma

(Eh Mere RABB mere ilm mein barkat de)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1228* ❗

*Answer are more than one*

*Quiz : When shaitan (devil) cry or  cried ?*


A. When Adam Alaihi salam was created

B. When somebody stand up for prayer

C. When Adhan pronounced

D. On the Conquest of Mecca

E. When the Angel came down in badr 

F. When somebody do the prostration of recitation

G. When the month of Ramadan comes

H. Rabbi Zidni ilma

(Oh My Lord increase my Knowledge)


*💐✅Sahi Jawab : DF 💐✅*

-----

RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ne faramya jab Ibn e aadam sajde ki aayat tilawat karke sajda karta hai to Shaitaan rote hue wahan se hat jata hai, woh kahta hai Haaye iski halakaat  (Aur abu kuraib ki riwayat mein hai, Haye meri halakaat!) Ibn e aadam ko sajde ka hukum mila to isne sajda kiya, is par ise Jannat mil gayi aur mujhe sajde ka hukm mila to maine inkaar  kiya, so mere liye aag (Jahannum) hai

Sahih Muslim - 224


✦ Abdullah bin Abbas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wasallam ne jab makka fateh kiya to iblis bahut zor zor se rone laga uske chele apne lashkaro ke saath uske charo aur jama ho gaye , Shaitan ne us waqt kaha ki ab tum is baat se na ummed ho jao ki hum is din ke baad ummat e Muhammed Sal-Allahu alaihi Wasallam ko shirk par dekhenge lekin unhe unke deen mein fitne mein daal do aur unmein Noha (matam) karna aam kar do
Al-Silsila-tus-Sahiha, 1078


*💐✅ Answer : DF💐✅*

-----

It is narrated on the authority of Abu Huraira that when, the son of Adam recites the Ayat of Sajdah (prostration) and then falls

down in prostration, the Satan goes into seclusion and weeps and says: Alas, and in the narration of Abu Kuraib the words are: 

Woe unto me, the son of Adam was commanded to prostrate, and he prostrated and Paradise was entitled to him and I was 

commanded to prostrate, but I refused and am doomed to Hell.

Sahih Muslim, Book 1, 144


✦  It was narrated from Abdullah bin Abbas Radi Allahu anhu when The Makka was conquered by the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam, Iblis was crying loudly , his disciples stood round about him, he said, now lost all your hopes that the nation of Muhammed Sal-Allahu alaihi Wasallam would ever worship other than Allah, but now you put trials(fitan) in their religion and spread the wailing among them

Al-Silsila-tus-Sahiha, 1078

Tuesday, September 22, 2020

Jo din mein 100 baar SubhanAllahi wa Bihamdehi padhega uske gunah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho

 

 

 


 





*Bismilahirrahmanirraheem*
-----------
✦  *Jo din mein 100 baar SubhanAllahi wa Bihamdehi  padhega uske gunah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho*
-----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs SubhanAllahi wa Bihamdehi din mein 100 baar kahega uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.
Sahih Muslim,  6842
-----------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جو شخص سبحان الله وبحمده  ایک دن میں سو مرتبہ کہیگا تو اس کے تمام گناہ معاف کر دیےجاینگے   چاہے وہ سمندر کے جھاگ کے برابر ہوں
صحیح مسلم ٦٨٤٢
----------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स दिन में 100 बार सुबहान अल्लाहि वा बिहम्दिही कहेगा उसके सारे गुनाह मिटा दिए जायेगे चाहे वो समुन्दर के झाग के बराबर ही क्यों ना हों
सही मुस्लिम,6842

https://youtu.be/Sf0YFcTxzoo

✦  Anybody say SubhanAllahi Wa Bihamdehi 100 times a day, his sins will be removed, even if they are equal to the extent of,  the foam of the ocean
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Anybody say SubhanAllahi Wa Bihamdehi 100 times a day, his sins will be removed, even if they are equal to the extent of,  the foam of the ocean.
Sahih Muslim,  Book 35, 6508

https://youtu.be/NQYY1YHK_n8




Subah ke sare azkars mein se meezan par sabse bhari azkar






Bismillahirrahmanirraheem

✦ Subah ke sare azkars mein se meezan par sabse bhari azkar
--------
✦ Ummul Momineen Juwairiyah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam subah ko unke pass se nikle , wo apni namaz ki jagah mein subah ki namaz ada kar rahi thi, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha ji haan.
Aapne farmaya maine tumhare baad chaar kalme 3 baar padhe , agar in kalmo ka wajan kiya jaye un kalmo ke saath jo tumne aaj abhi tak padhe hain to yahi bhari rahnege wo kalimat ye hain

‎*سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه*
‎*وَرِضـا نَفْسِـه*
‎*وَزِنَـةَ عَـرْشِـه*
‎*وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه*

Subhaanallaahi wa bihamdihi Adada khalqihi
Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi
Wa Midaada Kalimaatihi

tarjuma : Main Allah subhanahu ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, Aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.
Sahih Muslim, Jild 6, 6913


------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم صبح (فجر) کے وقت یا صبح کے بعد ان کے پاس سے گزرے، اور وہ اللہ تعالیٰ کا ذکر کر رہی تھیں، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم اس وقت لوٹے جب دن چڑھ آیا، یا انہوں نے کہا: دوپہر ہو گئی اور وہ اسی حال میں تھیں (یعنی ذکر میں مشغول تھیں) تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں جب سے تمہارے پاس سے اٹھا ہوں یہ چار کلمے تین مرتبہ پڑھے ہیں، یہ چاروں کلمے (ثواب میں) زیادہ اور وزن میں بھاری ہیں، اس ذکر سے جو تم نے کئے ہیں، (وہ چار کلمے یہ ہیں) «سبحان الله عدد خلقه سبحان الله رضا نفسه سبحان الله زنة عرشه سبحان الله مداد كلماته» میں اللہ کی پاکی بیان کرتا ہوں، اس کی مخلوق کی تعداد کے برابر، اس کی مرضی کے مطابق، اس کے عرش کے وزن، اور لامحدود کلمے کے برابر اس کی حمد و ثناء بیان کرتا ہوں ۔
صحیح مسلم جلد ٦- ٦٩١٣
-------
✦ उम्मुल मोमीनीन जुवेरियाह रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम सुबह को उनके पास से निकले , वो अपनी नमाज़ की जगह में सुबह की नमाज़ अदा कर रही थी, आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम वापस चाश्त के वक़्त लौटे तो देखा की वो वही बैठी हुई हैं , आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने पूछा की जब से मैं तुम्हे छोड़ कर गया था तब से क्या तुम इसी हाल में रही ? उन्होने कहा जी हाँ आपने फरमाया मैने तुम्हारे बाद चार कलमे 3 बार पढ़े , अगर इन कलमों का वजन किया जाए उन कलमों के साथ जो तुमने आज अभी तक पढ़े हैं तो यही भारी रहेंगे वो कलमे ये हैं

सुबहान अल्लाहि वा बि हमदिही अददा खलक़ीही
वा रिदा नफसिही, वा ज़िनाता अरशिही
वा मीदादा कालिमातीही

तर्जुमा : मैं अल्लाह सुबहानहु की पाकी बयान करता हूँ उसकी मख्लुकात की तादाद के बराबर,और उसकी खुशी के बराबर, और उसके अर्श के वज़न के बराबर, और उसके कालीमत की सियाही (ink) के बराबर.
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6913


https://youtu.be/eHaHGSThoAw

✦ The Heaviest azkar among all morning azkars
---------
✦ Hadith : Juwairiya Radi Allahu Anha reported that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam came out from (her apartment) in the morning as she was busy in observing her dawn prayer in her place of worship. He came back in the forenoon and she was still sitting there. He (the Holy Prophet) said to her:
You have been in the same seat since I left you. She said: Yes. Thereupon Allah's Apostle (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) said: I recited four words
3 times after I left you and if these are to be weighed against what you have recited since morning these would outweigh them and (these words) are:
سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ
عَدَدَ خَلْـقِه ،
وَرِضـا نَفْسِـه ،
وَزِنَـةَ عَـرْشِـه ،
وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه
✦ Subhaanallaahi wa bihamdihi.
✦ Adada khalqihi Wa ridhaa nafsihi,
✦ Wa zinata Arshihi Wa Midaada Kalimaatihi

Glory is to Allaah and praise is to Him, according to the number of His creation and according to the pleasure of His Self and according to the weight of His Throne and according to the ink (used in recording) words (for His Praise)."
Sahih Muslim, Book 35, Hadith 6575

https://youtu.be/NRBH8AddWDg

✦ Ye Azkar Sadqat ke darwaze hain - yani in ko padhne par sadqe ka sawab mlta hai

 

 


 

 


 





*Bismillahirrahmanirraheem*

*✦ Ye Azkar Sadqat ke darwaze hain - yani in ko padhne par sadqe ka sawab mlta hai *
-------
Abu Zarr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya rozana apne upar sadqa karo to maine kaha Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam main sadqa kaise karu mere paas to maal bhi nahi hai , ye sunkar RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak sadqaat ke darwaze ye hain Allahu Akbar Wa SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa  La ilaha illaaha Wa Astagfirullah ( yani in azkar ko padhne par sadqe ka sawab milta hai)
Masnad Ahmed 3614-Sahih
----
سیدنا ابوذر ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے روایات ہیں کی آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا روزانہ اپنے اوپر صدقہ کروں تو میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! میں صدقہ کیسے کروں، میرے  پاس تو مال ہی نہیں ہے۔  آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا بیشک صدقات کے دروازے یہ ہیں   اَللّٰہُ اَکْبَرُ، سُبْحَانَ اللّٰہِ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، لَا إِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ اور اَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ
(یعنی ان اذکار کو پڑھنے پر صدقے کا ثواب ملتاے)
مسند احمد ٣٦١٤
-----
✦ अबू ज़र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की ऱसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया रोज़ाना अपने ऊपर सदक़ा करो तो मैने कहा या ऱसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम मैं सदक़ा कैसे करू मेरे पास तो माल भी नही है , ये सुनकर ऱसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बेशक सद्क़ात के दरवाज़े ये हैं अल्लाहू अकबर वा सुबहानअल्लाह वा अलहम्दुलिल्लाह वा ला ईलाहा ईलअल्लाह  वा अस्तगफीरुल्लाह ( यानी इन अज़कार को पढ़ने पर सदक़े का सवाब मिलता है)
मसनद अहमद 3614-सही

https://youtu.be/FDi8_jNu-5I

*✦ Azkar which are the doors of the charity, (if you say these words you will get the rewards of the charity)*
------
Narrated By Abu Dharr Radi Allahu anhu  that RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said A charity is due for each person on every day I said Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam How can I give charity , I dont have any wealth, RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said The doors of the charity are Allahu Akbar Wa SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa  La ilaha illaaha Wa Astagfirullah ( it means if you say these words you will get the rewards of the charity)
Masnad Ahmed -3614 Sahih

https://youtu.be/MauacBOih6g


Maa baap ke liye Qurani dua - Qurani Dua for the parents

 




 


 


 

*Bismillahirrahmanirraheem*

✦ *Maa baap ke liye Qurani dua*
-------
*رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ*
رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا**
-------
✦ RabbanaAgfirlee Waliwalidaeeya Wa lilmumeenina Yauma  Yaqaumul hisab
✦ Rabbirhamhuma Kama Rabbayanee Sagiraa

-------
✦ Al Quran : Eh hamare RABB mujhko aur mere waldein (parents) ko aur momeeno ko hisab wale din baksh dena.
Surah Ibrahim 14:41
✦ Eh Mere Rabb jis tarah unhone (mere maap baap ne) mujhe bachpan me pala hai usi tarah tu bhi un par Rahem farma
Surah Al-Isra  17:24
-------

اے پروردگار حساب (کتاب) کے دن مجھ کو اور میرے ماں باپ کو اور مومنوں کوبخش دینا
سورة ابراهيم ١٤:٤١

اے میرے رب جس طرح انہوں نے مجھے بچپن سےپالا ہے اسی طرح تو بھی ان پر رحم فرما
 سورة الإسراء ١٧: ٢٤  
-------
✦ एह हमारे रब मुझको और मेरे वालदेन को (माँ बाप को) और मोमीनों को हिसाब वाले दिन बख्श देना
सुरह इब्राहीम (14) , आयत 41

✦ एह मेरे रब्ब जिस तरह उन्होंने (मेरे माँ बाप ने) मुझे बचपन में पाला है उसी तरह तू भी उन पर  रहम फरमा
सुरह ईसरा (17) आयत 24
-------


https://youtu.be/GGbKd2QC8Fo

✦ *Qurani Dua for the parents*
-------
*رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ*
*رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا*
-------
✦ RabbanaAgfirlee Waliwalidaeeya Wa lilmumeenina Yauma  Yaqaumul hisab
✦ Rabbirhamhuma Kama Rabbayanee Sagiraa
-------
✦ Al Quran : Our Lord ! Forgive me and my parents, and (All) the believers on the Day when the reckoning will be established.
Surah Ibrahim (14) , Verse 41

✦ Al Quran : My Lord, have mercy upon them as they brought me up [when I was] small.
Surah Al-Isra  17:24

https://youtu.be/Khuf4fEUdtw

 

✦ Hadith : Jo bhi ek baar Allahu Akbar kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur...

 

 



 

 

 


*Bismillahirahmanirraheem*

*✦ Hadith : Jo bhi ek baar Allahu Akbar kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur...*
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) Allahu Akbar kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 5450-Sahih

---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو بھی (ایک بار) الله اکبر  کہےگا  اس کے لئے ٢٠ نیکیاں لکھی جائے گی اور ٢٠ گناہ مٹا دیے جاینگے
مسند احمد ٥٤٥٠ -صحیح
-------
✦  रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फ़रमाया जो भी (एक बार) अल्लाहु अकबर कहेगा उसके लिए 20 नेकिया लिखी जाएगी और 20 गुनाह मिटा दिए जाएँगे,
मसनद अहमद . 5450 - सही


https://youtu.be/dx1DWwI6UvY


*✦ Say Allahu Akbar One time and get 20 good deeds and remove 20 Sins from your record*
-----
.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said whoever says Allahu Akbar twenty good deeds will be recorded for him and twenty sins will be removed from him
Masnad Ahmed, 5450-Sahih

https://youtu.be/WFmEv-tg-d0

Hadith : Jo bhi ek baar SubhanAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur...


 

 


 

 


 

*Bismillahirahmanirraheem*

*✦ Hadith : Jo bhi ek baar SubhanAllah  kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur...*
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) SubhanAllah  kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 5450-Sahih
---------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو بھی (ایک بار) سبحان اللہ  کہےگا  اس کے لئے ٢٠ نیکیاں لکھی جائے گی اور ٢٠ گناہ مٹا دیے جاینگے
مسند احمد ٥٤٥٠ -صحیح
-------
✦  रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फ़रमाया जो भी (एक बार) सुबहानअल्लाह कहेगा उसके लिए 20 नेकिया लिखी जाएगी और 20 गुनाह मिटा दिए जाएँगे,
मसनद अहमद . 5450 - सही

https://youtu.be/PtZad7enpZM


*✦ Say SubhanAllah One time and get 20 good deeds and remove 20 Sins from your record*
-----
.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said whoever says SubhanAllah  twenty good deeds will be recorded for him and twenty sins will be removed from him
Masnad Ahmed, 5450-Sahih

https://youtu.be/pbneaWNZHCc

Kisi cheez ya naimat ke chale jane par ye dua padhne se wahi ya us se behhatar naimat milti hai

 

 


 


 


 

 *Bismilahirrahmanirrahim*

✦  *Kisi cheez ya naimat ke chale jane par ye dua padhne se wahi ya us se behhatar naimat milti hai*

-------------------------
✦ Umm Salma (Hind bint Abu Umayya) Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Agar koi musalman jisko koi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
✦ inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
Tarjuma : Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf laut kar jane wale hain ,Eh Allah mujhe meri museebat par ajar de aur mujhe is se behtar naimat ata farma to Allah subhanahu usko (zaya naimat se) behtar naimat ata farma dega  Umm salma Radi Allahu Anha farmati hain ki jab (unke shohar) Abu Salma Radi Allahu Anhu ki wafat ho gayee to maine (dil mein) socha ki kaunsa musalman Abu Salma Radi Allahu Anhu se behtar ho sakta hai wo pahla gharana hai jisne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki taraf hijrat ki phir maine ye dua padhi to Allah subhanahu ne mujhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki surat mein us naimat ka badal ata farmaya aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Hatib bin Abu batla Radi Allahu Anhu ko mere paas unke nikah ka paigam dekar bheja
Sahih Muslim, 2126

Note : Ulmao ka kahna hai ki ye dua kise cheez ke ghum jaane par , ya job chale jaane par ya karobar mein nuqsan hone par ya kisi rishte ke tut jaane par padhna se is se bahut fayda hota hai

-------------------------
حضرت ام سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا سے روایت کی،انھوں نے کہا:میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: کوئی مسلمان جسے مصیبت پہنچے اور وہ ( وہی کچھ ) کہے جس کا اللہ نے اسے حکم دیا ہے:
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
بےشک ہم اللہ کے ہیں اور اسی کی طرف لوٹنے والے ہیں،اے اللہ!مجھے میری مصیبت پر اجر دے اور مجھے ( اس کا ) اس سے بہتر بدل عطا فرما
تو اللہ تعالیٰ اسے اس ( ضائع شدہ چیز ) کا بہتر بدل عطا فرمادیتا ہے۔

( ام سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا نے ) کہا:جب ( میرے خاوند ) ابو سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ فوت ہوگئے تو میں نے ( دل میں ) کہا:کون سا مسلمان ابو سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے بہتر ( ہوسکتا ) ہے!وہ پہلا گھرانہ ہے جس نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی طرف ہجرت کی۔پھر میں نے وہ ( کلمات ) کہےتو اللہ تعالیٰ نے مجھے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی صورت میں اس کا بدل عطا فرمادیا
،کہا:رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے لئے نکاح کا پیغام دیتے ہوئے حاطب بن ابی بلتعہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ کو میرے پا س بھیجا ۔
صحیح مسلم  ٢١٢٦
-------------------------
✦ उम्म सलमा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अगर कोई मुसलमान जिसको कोई मुसीबत पहुचे और वो ये कहे जिसका अल्लाह सुबहानहु ने उसको हुक्म फरमाया
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏

इन्नालिल्लाहि वा इन्ना ईलयही राजिऊन ,अल्लाहुम्मा अजुरनी फ़ि मुसीबाती वा अखलिफली खैरम मिन्हा
बेशक हम अल्लाह के हैं और उसी की तरफ लौट कर जाने वाले हैं ,एह अल्लाह मुझे मेरी मुसीबत पर अजर दे और मुझे इस से बेहतर नैमत आता फरमा
तो अल्लाह सुबहानहु उसको (ज़ाया नैमत से) बेहतर नैमत अता फरमा देगा
उम्म सलमा रदी अल्लाहू अन्हा फरमाती है की जब (उनके शोहर) अबू सलमा रदी अल्लाहू अन्हु की वफात हो गयी तो मैने (दिल में) सोचा की कौनसा मुसलमान अबू सलमा रदी अल्लाहू अन्हु से बेहतर हो सकता है वो पहला घराना है जिसने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की तरफ हिजरत की फिर मैने ये दुआ पढ़ी तो अल्लाह सुबहानहु ने मुझे रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की सूरत में उस नैमत का बदल अता फरमाया और रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने हतिब बिन अबू बतला रदी अल्लाहू अन्हु को मेरे पास उनके निकाह का पैगाम देकर भेजा
सही मुस्लिम,  2126

https://youtu.be/Ia4eE_QJI2U



✦ *If anybody recite this dua at the time of any lost or damage he will get the same or better thing or blessings*
------------------------------------------
✦ Umm Salama (Hind bint Abu Umayya) Radi Allahu Anh reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying:
If any Muslim who suffers some calamity says, what Allah has commanded him,"
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
✦ inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
We belong to Allah and to Him shall we return; O Allah, reward me for my affliction and give me something better than it in exchange for it,"
Allah will give him something better than it in exchange. When Abu Salama died she said: What Muslim is better than Abu Salama whose family was the first to emigrate to the Messenger of Allah (ﷺ). I then said the words, and Allah gave me God's Messenger (ﷺ) in exchange.
The Messenger of Allah (ﷺ) sent Hatib b. Abu Balta'a to deliver me the message of marriage with him.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1999   

Note : Scholars said if anybody recites this dua in case of any lose in the business or job or in case of any break up in the relation he will get better thing or person than the previous one in sha Allah

https://youtu.be/r4nedpHFZ08



❗ Only-Quran-Hadith Quiz- 1227 ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1227* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Waldein ki wafat ke baad wo kaun kaun se kaam hai jo unki auald ko unke liye karne ka hukm diya gaya hai ?*

A. Unke liye Astagfar karna

B. Unki Qaza huyee Farz Namazo ko pura karna

C. Apne bhai bahan ka nikah karwana

D. Unke wado ko pura karna

E. Unke dosto ki ezzat karna

F. Unke rishtedaro ko jod kar rakhna

G. Unke janaze ki namaz padhna

H. Rabbi Zidni ilma

(Eh Mere RABB mere ilm mein barkat de)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz- 1227* ❗

*Answer are more than one*

*Quiz : Which deeds the children can perform to benefit the parents after their death?*

A. Praying for forgiveness for them

B. Performing the obligatory prayer which they left

C. Perform the marriage of their younger brothers and sisters

D. Fulfilling their promises

E. Honoring their freinds

F. Upholding the ties of kinship

G. Offering the funeral prayer for them

H. Rabbi Zidni ilma

(Oh My Lord increase my Knowledge)


*💐✅Sahi Jawab : ADEFG 💐✅*

-----

Abu Usaid, Malik bin Rabi'ah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Hum RasoolAllah SallAllahu Alaihi Waslalam  ke paas Moujood they itne me Qabeela e Bani Salma ka ek shakhs haazir huaa, aur usne arz kiya Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi Waslalam Kya mere walidain ke Nekiyon me se koi Neki aisee baaqi hai ke unki wafat ke baad mai unke liye kar saku ? Toh Aap SallAllahu Alaihi Waslalam ne farmaya Haan unke janaze ki namaz padhna , unke liye Dua aur Astagfar karna, aur unki wafat ke baad unke wadon ko pura karna, aur unke doston ki ezzat o takreem karna, aur unke rishton ko jodna jinka talluq unhi ki wajeh se hai
Sunan Ibn e Maja-3664-Hasan


*💐✅ Answer : ADEFG💐✅*

-----

It was narrated that Abu Usaid, Malik bin Rabi'ah, said: "While we were with the Prophet(ﷺ), a man from the Banu Salamah came to him and said: " O messenger of Allah, is there anyway of honoring my parents that I can still do for them after they die?' He said: "Yes offering the funeral prayer for them, praying for forgiveness for them, fulfilling their promises after their death, honoring their freinds and upholding the ties of kinship which you would not have were it nor for them.'"

Sunan Ibn Majah 3664-Hasan

Aayat Al-Kursi Urdu and english translation

 

 

 





Bismillahirrahmanirrahim

✦ Aayat- al-Kursi Urdu tarjumah
-------------------------

✦اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاواتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
-----------
✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum , 
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum, 
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard) 
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, 
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, 
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa, 
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard) 
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) 
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
----------------------------------------
✦ Tarjuma Aayat Al-Kursi
ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi,
Zinda hamesha rahne wala,
use na ungh aati hai na neend,
jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai,
kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,
jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai
aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe,
uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai
aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi
wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
-------------------------------------------
القرآن ترجمہ آیت لکرسی

اﷲ اس کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں ،  ہمیشہ زندہ رہنے والا ہے  ( سارے عالم کو اپنی تدبیر سے )  قائم رکھنے والا ہے ،  نہ اس کو اُونگھ آتی ہے اور نہ نیند جو کچھ آسمانوں میں ہے اور جو کچھ زمین میں ہے سب اسی کا ہے ،  کون ایسا شخص ہے جو اس کے حضور اس کے اِذن کے بغیر سفارش کر سکے ،  جو کچھ مخلوقات کے سامنے  ( ہو رہا ہے یا ہو چکا )  ہے اور جو کچھ ان کے بعد  ( ہونے والا )  ہے  ( وہ )  سب جانتا ہے ،  اور وہ اس کی معلومات میں سے کسی چیز کا بھی احاطہ نہیں کر سکتے مگر جس قدر وہ چاہے ،  اس کی کرسیء  ( سلطنت و قدرت )  تمام آسمانوں اور زمین کو محیط ہے ،  اور اس پر ان دونوں  ( یعنی زمین و آسمان )  کی حفاظت ہرگز دشوار نہیں ،  وہی سب سے بلند رتبہ بڑی عظمت والا ہے 
القرآن سورة البقرہ ۲  ۲۲۵
----------
✦ अल-कुरान: ( तर्जुमा : आयत-अल-कुर्सी )
-------------
अल्लाह के सिवा कोई इबादत के लायक नहीं , जिंदा हमेशा रहने वाला ,
उसको ना ऊंघ आती है ना नींद ,
जो कुछ आसमानों में और जो कुछ ज़मीन में है सब उसी का है ,
कौन है जो उसकी इजाज़त के बगैर उस से सिफारिश कर सके,
जो कुछ लोगों के रूबरू (सामने) हो रहा है और जो कुछ उनके पीछे हो चूका है उसे सब मालूम है ,
और वो उसके मालूमात में से किसी चीज़ पर दस्तरस हासिल नहीं कर सकते मगर जितना के वो चाहे ,
उसकी बादशाहत आसमान और ज़मीन सब पर हावी है ,
और उसे उनकी हिफाज़त कुछ भी दुशवार नहीं ,
वो बड़ा आली रुतबा और जलील और क़दर है
अल-कुरान , सुरह अल-बक़रा (2) , आयत : 255


✦ Aayat- al-Kursi
-------------------------

✦اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاواتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
-----------
✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum , 
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum, 
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard) 
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, 
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, 
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa, 
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard) 
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) 
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
----------------------------------
✦ English Translation:( Ayat Al Kursi) 
ALLAH! La ilaha illa Huwa (none has the right to be worshipped but He), 
Al-Hayyul-Qayyum (the Ever Living,
the One Who sustains and protects all that exists). 
Neither slumber nor sleep overtakes Him. 
To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. 
Who is he that can intercede with Him except with His Permission? 
He knows what happens to them (His creatures) in this world, and what will happen to them in the Hereafter. 
And they will never compass anything of His Knowledge except that which He wills. 
His Kursi extends over the heavens and the earth, 
and He feels no fatigue in guarding and preserving them. 
And He is the Most High, the Most Great.
✦ Surah Al Baqara(2), Verse 255