Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, April 12, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1137*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1137*❗

*Sawal 1 : Wo kaunsa amal hai jiske liye Allah Subhanahu ne farmaya ki usko karoge to tumhari faqeeri dur ho jayegi ?*

*Sawal 2 : Wo kaunsa amal hai jiske liye farmaya ki usko karoge to tumhare sare gam dur ho jayenge ?*

A. Walden ki farmbardari karna
B. Allah ki zyada se zyada ibadat karna
C. Sila Rehmi karna
D. Raato ko uth kar Namaz padhna 
E. Har waqt RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam par durud padhna
F. Yateem ki kifalat karna
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma

*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab answer mein likhna*



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1137*❗

*Sawal 1 : For which deeds Allah Subhanahu said that if you do that I will remove your poverty ?*

*Sawal 2 : Wo kaunsa amal hai jiske liye farmaya ki usko karoge to tumhare sare gam dur ho jayenge ?*

A. Look after the parents
B.  Worship Allah subhanahu most of the time
C. Keep god relation with relatives
D. Praying in the night
E. Sending Durud on RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam all the time
F. Look after an orphan
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma

*Note : if Answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*

✅ *Sahih Jawab : BE* 💐
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu farmata hai Eh Adam ke bete tu meri ibadat ke liye farig ho jaa mein tere seene ko beniyaz kar dunga aur teri faqeeri ko dur kar dunga aur agar tune aise na kiya toh tere seene ko masrufiyat se bhar dunga aur teri faqeeri ko dur nahi karunga

Masnad Ahmed 8946-Hasan

✦ Ubai ibn kaab Radi Allahu anhu se rivayat kiya ki Jab do tihayee raat guzar jati to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam uth te aur farmate , Eh logo Allah ko yaad karo, Allah ko yaad karo soor ka waqt aa gaya hai aur uske baad dusri martaba bhi phunka jayega aur maut bhi apni sakhtiyo ke saath aa rahi hai,maut bhi apni sakhtiyo ke saath aa rahi hai، 
Ubai ibn kaab Radi Allahu anhu kahte hain ki maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam main 
aap par bahut zyada durud padha karta hu , aap mujhe bata dijiye ki main durud padhne ke liye kitna waqt muqarrar kar lu Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho , 
Maine arz kiya ek chothayee (1/4) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,
Maine arz kiya aadha waqt (1/2) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho, magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,
Maine arz kiya do tihayee (2/3) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho, magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,
Maine Arz kiya to phir main har waqt aap par durud padha karunga to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir to ye durud tumhare sare gamo ko dur karne ke liye kaafi hoga aur iski wajah se tumhare gunah bakhsh diye jayenge

*Imam Tirimizi ne is hadith ko Hasan Sahih kaha hai*
Jamia Tirmizi, Jild 2, 347-Hasan, 
Al-Baihiqi- 1416-Hasan

✅ *Corect Answer : BE* 💐
----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said Indeed Allah, Most High said: O son of Adam! Devote yourself to My worship, I will fill your chest with riches and remove your poverty. And if you do not do so, then I will fill your hands with problems and not 
remove your poverty

Masnad Ahmed 8946-Hasan

✦ Ubayy ibn kab Radi Allahu Anhu said Ya RasoolAllah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Indeed I say very much Salat (means durud) for you. How much time  should I fix to say salat for you? 
 RAsoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: As you wish. 
I said: one fourth (1/4) ? 
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 
As you wish. But if you add more it would be better for you.
I said: Then half (1/2) ? 
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 
As you wish. And if you add more it would be better for you.
I said: Then two-thirds (2/3)? 
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 
As you wish, but if you add more it would be better for you. 

I said:  Should I say all the time Salat means durud for you ?
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 
Then your problems would be solved and your sins would be forgiven.

*Imam Tirmizi said this hadith is Hasan Sahih.* 
---------------------------
Jamia Tirmidhi,Book 11, 2457–Hasan
Al-Baihiqi- 1416-Hasan



No comments:

Post a Comment