Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, April 11, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1136*❗



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1136*❗

*Sawal 1 : Wo kaunse Sahabi hain jo quran padh rahe they to unko sunne ke liye farishte aa gaye they ?*

*Sawal  2 : Wo kausne sahabi hain jo ek jung mein ladd rahe they to unke dono taraf ek ek farishte bhi us jung mein unke saath they ?*

*Sawal  3 : Wo kausne sahabi hain jinko RasoolAllah SallAlalahu Wasallam ki wafat ki khabar kuch mahine pahle se de di gayee thi ?*

A. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu
B. Sad Bin Muadh Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Muadh bin jabal Radi Allahu Anhu
E. Abu Talha Radi Allahu Anhu
F. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma

*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab answer mein likhna*

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1136*❗

*Quiz 1 :  Angel came down to listen the Quran's recitation of which Sahabi  ?*

*Quiz  2 : There was a  Sahabi who was fighting in the battle and one angel was on his right and one angel was on his left who was that sahabi ?*

*Quiz 3 : Which Sahabi got pre informed before few months, about the death of RasoolAllah SallAlalahu Wasallam ?*

A. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu
B. Sad Bin Muadh Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Muadh bin jabal Radi Allahu Anhu
E. Abu Talha Radi Allahu Anhu
F. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma

*Note : if Answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*


✅ *Sahih Jawab : GCD* 💐
----------
1. Usaid bin Hudair Radi Allahu Anhu ne  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam raat ke waqt main apne khalihan mein Quran majid padh raha tha ki achanak mera ghodha bidakne laga to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere  ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se (teesri baar) farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha.

is par ibn hudair na kaha ki main padhkar jab farig hua to yahya uske kareeb tha mujhe darr laga ki kahi wo usko kuchal na dale aur maine ek saayban ki tarah dekha ki usmein chirag se roshan they jo upar ki taraf jaane laga yaha tak ki main phir usko nahi dekh saka , to is par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo Farishte they jo tumhara Quran sun rahe they aur agar tum padhte rahte subah log unko dekh lete aur wo logo se chupe huye na rah paate
Sahih Muslim , Jild 1, 1859

2. Husain Radi Allahu Anhu ne apne khutbe mein farmaya ki Eh logo kal tum mein se ek aisa shaks juda huya hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab koi lashkar bhejte to unhein jhanda thama dete aur jab tak fateh na ho jati wo wapas na laut te Jibril Alaihi Salam unke dahine taraf aur Mikaeel Alaihi Salam  unke bahini taraf hote they, wo Ali Radi Allahu Anhu hain
unhone dirham aur dinar nahi chorhe, siwaye 700 dirham ke jinse wo ghulam kharidne ka irada rakhte they 
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2116


3. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu ko jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (yemen) bheja to unhe waseeyat karne bahar tak aaye , wo us waqt sawar they aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  unki sawari ke saath paidal chal rahe they , jab farig huye to aapne farmaya Eh maaz shsyad tum mujhse is saal ke baad mulaqat na kar sako aur shayad tum meri masjid aur meri Qabr ke pass se guzro, ye sunkar Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu Aap  Sallallahu Alaihi Wasallam ki judayee mein zor zor se rone lage, Aap  Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Maaz, ro mat , yaqeenan (is tarah se) rona shaitan ki taraf se hai.
Al-Silsila As-Sahiha-2204

 

✅ *Answer : GCD* 💐
----------
1.  Usaid bin Hudair went to the Messenger of Allah (ﷺ) and said: Messenger of Allah, I recited the Qur'an during the night in my enclosure and my horse began to jump. Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited. It jumped (as before). Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited and it again jumped (as before). The Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibu Hudair

He (Ibn Hudair) said: (Messenger of Allah) I finished (the recitation) for Yahya was near (the horse) and I was afraid lest it should trample him. I saw something like a canopy with what seemed to be lamps in it rising up in the sky till it disappeared. Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: Those were the angels who listened to you; and if you had continued reciting, the people would have seen them in the morning and they would not have concealed 
themselves from them
Sahih Muslim,Book 6, 287

2. Hussain bin Ali Radi Allahu Anhu said in his sermon that Oh people, yesterday a such person passed away from you , if Rassol-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam send any army with him he used to give him flag and he never return untill he get victory , Jibril Alaihi Salam used to be on his right and Meekael Alaihi salam used to be on his left , and he is Ali Radi Allahu anhu. and he left only 700 dirham behind him and he intended to buy slave from this money.
Al-Silsila Sahiha-2116


3. When Allah's Messenger  ﷺ  sent Muadh Radi Allahu anhu to the Yemen, he went out with him giving him advice, Mu'adh riding  and Allah's Messenger  ﷺ  walking beside his riding beast.  Then when he finished he said,  Perhaps, Mu'adh, you may not meet me after this year,  but perhaps, you may pass this Masjid of mine and my grave.  Mu'adh wept from grief over the departure of  Allah's Messenger  ﷺ  The Allah's Messenger  ﷺ  told him, O Maaz, dont weep . Indeed weeping (liks this) is from the devil
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2204

No comments:

Post a Comment