Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, March 22, 2018

Hadith: Sabse bada sood ye hai ki koi kisi musalmaan ki na haq Be-Ezzati kare



Bismillahirrahmannirrahim

✦ *Hadith: Sabse bada sood ye hai ki koi kisi musalmaan ki na haq Be-Ezzati kare*
------------
✦ Said ibn Zayd  Radi Allahu Anhu s erivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih
------------
سعید بن زید  رضی الله عنه سے روایت ہے کی رسول الله صلی اللہ علیه وسلم نے فرمایا سب سے بڑا سود یہ ہے کہ آدمی ناحق کسی مسلمان کی بے عزتی  کرے
سنن ابو داود  ، جلد ٣ ، ١٤٤٨-صحیح 
------------
✦ सईद इब्न ज़ैद रदी अल्लाहू अन्हु से  रिवायत है की ऱसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सब से बड़ा सूद ये है की आदमी नाहक़ किसी मुसलमान की बेइज़्ज़ती करे
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1448-सही
------------
✦ Narrated Said ibn Zaid Radi Allahu Anhu RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said the worst kind of usury is revealing the defects of a Muslim (or insulting him)

Sunan Abu Dawud, Book 42, 4858-Sahih

Tuesday, March 13, 2018

Al-Quran : Jin logon ne kaha ki hamara RABB Allah hai phir wo (us par) Qayam rahe to....




Bismillahirahmanirrahim

Al-Quran : Jin logon ne kaha ki hamara RABB Allah hai phir wo (us par) Qayam rahe to un par farishte nazil honge (aur kahenge) ki Khauff na karo aur na gamnaak ho. Aur ab Jannat ki khushi manao jiska tumse wada kiya gaya tha, hum (farishte) duniya ki zindagi mein bhi tumhare dost they aur aakhirat mein bhi (tumhare rafeeq hain) aur waha jis (Naimat) ko tumhara jee chahega tumko milegi aur jo cheez talab karoge tumhare liye (mojud hogi) (ye) bakhshne wale meharban (Allah) ki taraf se mehmani hai 
Surah Fussilat (41), 30-32
-------
अल-क़ुरान : जिन लोगों ने कहा की हमारा रब्ब अल्लाह है फिर वो (उस पर) क़ायम रहे तो उन पर फरिश्ते नाज़िल होंगे (और कहेंगे) की ख़ौफ ना करो और ना गमनाक हो और अब जन्नत की खुशी मनाओ जिसका तुमसे वादा किया गया था, 
हम (फरिश्ते) दुनिया की ज़िंदगी में भी तुम्हारे दोस्त थे और आख़िरत में भी (तुम्हारे रफ़ीक़ हैं) और वहां जिस (नैमत) को तुम्हारा जी चाहेगा तुमको मिलेगी और जो चीज़ तलब करोगे तुम्हारे लिए (मोजूद होगी) (ये) बख्शने वाले मेहरबान (अल्लाह) की तरफ से मेहमानी है 
-------
 القرآن : جن لوگوں نے کہا کہ ہمارا رب  الله ہے پھر وہ (اس پر) قائم رہے ان پر فرشتے اُتریں گے (اور کہیں گے) کہ نہ خوف کرو اور نہ غمناک ہو اور  جنّت کی  خوشی مناؤ جس کا تم سے وعدہ کیا جاتا تھا
ہم (فرشتے) دنیا کی زندگی میں بھی تمہارے دوست تھے اور آخرت میں بھی (تمہارے رفیق ہیں) ۔ اور وہاں جس (نعمت) کو تمہارا جی چاہے گا تم کو (ملے گی) اور جو چیز طلب کرو گے تمہارے لئے (موجود ہوگی)
(یہ) بخشنے والے مہربان کی طرف سے مہمانی ہے
سورة فصلت (٤١) آیت ٣٠-٣٢ 
-------
Al Quran : Indeed, those who have said, Our Lord is Allah and then remained on a right course - the angels will descend upon them, [saying], Do not fear and do not grieve but receive good tidings of Paradise, which you were promised. We [angels] were your allies in worldly life and [are so] in the Hereafter. And you will have therein whatever your souls desire, and you will have therein whatever you request [or wish], An entertainment from (Allah), the Oft-Forgiving, Most Merciful.
Surah Fussilat (41), 30-32

Apni tarif sunkar padhne ki dua






Bismillahirrahmanirrahim

Apni tarif sunkar padhne ki dua
--------------
Hazrat Adi Ibn Arta Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Sahaba (Radi Allahu Anhuma) mein se agar kisi ki tarif ki jati to wo ye dua  padhte

اللَّهُمَّ لاَ تُؤَاخِذْنِي بِمَا يَقُولُونَ، وَاغْفِرْ لِي مَا لا يَعْلَمُونَ‏.
Allahumma La tuaakhizni bima Yaquluna, waghfirli Ma la Yalamun

Eh Allah , ye log jo mere baare mein kahte hain (yani tarif karte hain) us par meri giraft na farma aur mere wo gunah bhi bakhs de jinka ye log abhi ilm nahi rakhte
Al-Adab Al-Mufrad (Imam Bukhari), 761
----------
عدی بن ارطاہ رضی الله عنہ سے روایت ہے رسول اللہ صلی الله علیہ وسلم کے اصحاب میں سے اگر کوئی تعریف کرتا تو وہ یہ دعا ارشاد فرماتے

اللَّهُمَّ لاَ تُؤَاخِذْنِي بِمَا يَقُولُونَ، وَاغْفِرْ لِي مَا لا يَعْلَمُونَ‏
Allahumma La tuaakhizni bima Yaquluna, waghfirli Ma la Yalamun

اے الله یہ لوگ جو میرے بارے میں کہتے ہیں (یعنی تعریف کرتے ہیں) اس پر میری گرفت نہ فرمانا اور میرے وہ گناہ بھی بخش دے جس کا یہ لوگ ابھی علم نہیں رکھتے
 الأدب المفرد  حدیث ٧٦١ ، امام البخاري صحیح
----------
हज़रत अदि इब्न अरता रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है वसल्लम के सहाबा (रदी अल्लाहू अन्हुमा) में से अगर किसी की तारीफ की जाती तो वो ये दुआ  पढ़ते

اللَّهُمَّ لاَ تُؤَاخِذْنِي بِمَا يَقُولُونَ، وَاغْفِرْ لِي مَا لا يَعْلَمُونَ‏.
अल्लाहुम्मा  ला तुआखिज़नी बीमा याक़ुलुना, वगफिरली मा ला याअलमुन

एह अल्लाह , ये लोग जो मेरे बारे में कहते हैं (यानी तारीफ करते हैं) उस पर मेरी गिरफ़्त ना फरमा और मेरे वो गुनाह भी बख्स दे जिनका ये लोग अभी इल्म नही रखते
अल-अदाब अल-मुफरद (इमाम बुखारी), 761
---------------
Dua to recite while somebody praise you
----------
Adi ibn Arta Radi Allahu Anhu  said, When one of the Companions of the Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam was being praised, he used to said  

اللَّهُمَّ لاَ تُؤَاخِذْنِي بِمَا يَقُولُونَ، وَاغْفِرْ لِي مَا لا يَعْلَمُونَ‏
Allahumma La tuaakhizni bima Yaquluna, waghfirli Ma la Yalamun

Oh Allah Do not take me to account for what they say and forgive me for what they do not know.'"
Al-Adab Al-Mufrad (Imam Bukhari),  Book 33, # 761

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-350❗



Only-Quran-Hadith Quiz-350

Sawal : Hadith ke hisab se Kaunsa ya kiska Islam Afzal hai ?

A. Wo jiske zuban aur haath se saare musalman mefooz rahe
B. Wo jo musalmano ke raaste se pareshaniyo ko dur kar de
C. Wo jo paanch waqt ki namaz padhe aur ramzan ke roze rakhe
D. Wo jo miskeeno ko khana khilaye
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
 ---------------
 Quiz : Whose Islam is the best ?

A. One who avoids harming the Muslims with his tongue and hands.
B. One who remove troubles from the path of muslims
C. One who pray five times and also fast the ramzan
D. One who feed poor
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab A
------------
Mafhum-e-Hadith : kaunsa islam Afzal hai
------------
Abu Musa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Logo ne pucha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam kaunsa islam Afzal hai , to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Wo jiske zuban aur haath se saare musalman mefooz rahe
Sahih Bukhari, Jild 1, 11
------------
Narrated Abu Musa Radi Allahu Anhu  Some people asked Allah's Messenger (), "Whose Islam is the best? i.e. (Who is a very good Muslim)?" He replied, "One who avoids harming the Muslims with his tongue and hands."
Sahih Bukhari, Book 1, 11


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-349❗



Only-Quran-Hadith Quiz-349

Dono sawalo ke jawab is tarah dijiyega AB / CD

Sawal : Ek Sahabi aise they jo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke liye khana tayyar karte they, jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam usmein se kha lete aur bacha hua khana wapas jata to wo puchte ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam  ki ungliyan khane mein kaunsi jagah lagi huyee hain aur wo wahi se barkat ke liye khate, un sahabi ka kya naam hai ?

 A. Anas Radi allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Aby Ayyub Ansari Radi Allahu anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Un sahabi ne ek baar khana banaya magar usmein ek cheez hone ki wajah se Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne usko nahi khaya wo cheez kya thi ?

A. Pyaz
B. Lahsun
C. Pyaj aur lahsun dono
D. Machli
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
 ----------
  Only-Quran-Hadith Quiz
  
Kindly reply both quiz together like this CD / BA

 Quiz 1 : One of the Sahabi used to prepare food for the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam and when it was brought back to him he asked to locate the part, where his fingers had touched the food, and he followed his fingers on that part where the fingers of the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam had touched it.
What is the name of that sahabi ?


A. Anas Radi Allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Aby Ayyub Ansari Radi Allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know


Quiz 2 :  Once that sahabi prepared a food for the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam but there was some thing inside that's why the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam did not eat what was that thing ?

A. Garlic
B. Onion
C. Garlic and Onion both
D. Fish
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab DA
Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
 ----------
 Abu Ayyub Radi allahu anhu Rasool-Allah Sal-allahu Alaihi wasllam ke liye khana tayyar karte they phir jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam usmein se khaa lete aur  bacha hua khana wapas jata to Abu Ayyub Ansari aadmi se puchte Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki ungliyan khane mein kaunsi jagah lagi huyee hain aur wo wahi se barkat ke liye khate.

Ek baar Abu ayyub radi allahu anhu ne khana pakaya jismein lahsun tha jab khana wapas gaya to abu ayyb ne pucha ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasllam ki ungliyan kaunsi jagah lagi hain logon ne kaha ki Aap sal-allahu alaihi wasallam ne nahi khaya ye sunkar Abu ayyub ghabra gaye aur upar gaye aur pucha ki kya Lahsun haram  hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya nahi lekin mujhe bura malum hota hai Abu ayyub ne kaha jo cheez aapko bura malum hoti hai mujhe bhi buri lagti hai Abu ayyub ne kaha Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke paas farishte aate aur farishto ko lahsun ki boo se takleef hoti hai isliye aap sal-allahu alaihi wasallam nahi khate
Sahih Muslim, Jild 5 , 5358
-----------------
Abu Ayyub Ansari used to prepare food for Allah's Apostle () ; and when it was brought (back) to him he asked (to locate) the part, where his fingers had touched (the food), and he followed his fingers on that part where his fingers (those of the Holy Prophet) had touched it.
(One day) he prepared food which contained garlic, and when it was returned to him he asked (to locate) the part which the fingers of Allah's Apostle () had touched. It was said to him that he had not eaten (the food). He (Abd Ayyub Ansari) was distressed and went up to him (to the Holy Prophet) and said: Is it forbidden? But Allah's Messenger () said: No, (it is not forbidden), but I do not like it. and he (Abu Ayyub Ansari) said: I also do not like what you do not like or which you did not like. He (Abu Ayyub Ansari) said: (The Prophet did not eat garlic) as Allah's Apostle () was visited (by angels) and brought him the message of Allah.
Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5099

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-348❗



Only-Quran-Hadith Quiz-348

Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam jis kamre mein rahte they uske upar ke kamre mein chalna phirna bhi ek sahabi Be-Adbi samajhte they aur usee wajah se unhone apna kamra Aap Sal-alalahu alaihi wasallam ke kamre ke neeche le liya un Sahabi ka kya naam hai ?
A. Bilal Radi allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
 --------------------

Quiz : One of the Sahabi used to live in upper room of a house where Prophet sal-allahu alaihi wasallam used to live in lower room , one day he got up and said How unfortunate it is that we walk above the head of Allah's Messenger () and afer that he started to live in lower room of that home , What is the name of that Sahabi (companion) ?

A. Bilal Radi Allahu anhu
B. Zaid Radi Allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Ali Radi Allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab E
Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
----------
Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ke aazad karda gulam Aflah rivayat karte hain ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam jab unke ghar tashreef laye to Aap salallahu alaihi wasallam neeche ke kamre mein rahe aur Abu ayyub ansari radi allahu anhu upar ke kamre mein , ek baar Abu ayyub raat ko jaage aur kaha ki hum Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke sir ke upar chala karte hain , phir hat kar raat ko hi ek kone mein ho gaye aur wahi raat guzari , uske baad Abu Ayyub ansari radi allahu anhu  ne Aap sal-allahu alahi wasallam ko upar jaane ke liye kaha to Aapne farmaya ki neeche ka kamra bhi aaram ka hai to Abu ayyub ansari radi allahu anhu ne kaha main us chat (ya kamre) mein nahi rah sakta jiske neeche Aap Sal-Allahau alaihi wasallam hon (kyunki ye gustakhi hogi)  ye sunkar Aap Sallallahu alaihi wasallam upar ke kamre mein tashreef e gaye aur Abu ayyub ansari neeche wale kamre mein rahne lage.
Sahih Muslim, Jild 5 , 5358


Ans is E
---------------------
Aflah, the freed slave of Abu Ayyub Ansari Radi Allahu anhu , reported Allah's Messnger () had alighted in his house (of Abu Ayyub Ansari at the time of his emigration to Medina) and he occupied the lower storey, whereas Abu Ayyub Ansari lived in the upper storey. One night, Abu Ayyub Ansari got up and said (to himself): (How unfortunate it is) that we walk above the head of Allah's Messenger (), so they went aside and spent the night in a nook and then told Allah's Apostle () about it whereupon Allah's Apostle () said: The lower storey is more comfortable (for me). but he (Abu Ayyub Ansari) said: We (would not live) over the roof under which you live. ( it may be disrespect) So Allah's Messenger () shifted to the upper storey, whereas Abu Ayyub Ansari shifted to the lower storey;
Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5099

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-347❗



Only-Quran-Hadith Quiz-347

 jawab is tarah dijiyega AB..CD

Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke Dada (Fahther of the father) ka kya naam hai ?
A. Abu talib ibn Abdul Mutallib
B. Abdullah ibn Abdul Mutallib
C. Abdul Mutallib ibn Abd-al-Dar
D. Abdul Mutallib ibn Hashim
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki dadi (mother of the father) ka kya naam hai ?
A. Halimah bint Abi Dhuayb
B. Fatimah bint Amr
C. Aminah bint wahb
D. Barrah bint Abdul Uzza
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz 1 : What is the name of the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam's grand father ?
A. Abu talib ibn Abdul Mutallib
B. Abdullah ibn Abdul Mutallib
C. Abdul Mutallib ibn Abd-al-Dar
D. Abdul Mutallib ibn Hashim
E. None of the above
F. I want to know
Quiz 2 : What is the name of the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam's grand mother?
A. Halimah bint Abi Dhuayb
B. Fatimah bint Amr
C. Aminah bint wahb
D. Barrah bint Abdul Uzza
E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab DB
---------
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke dada ka naam Abdul Mutallib bin Hashim bin Abd munaf tha
aur Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki dadi ka naam Fatimah bint Amr ibn Aaidh ibn Imran ibn Makhzum tha
Seerat Ibn Hisham , Jild 1, Page 119
-------------
The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam's father name was Abdul Mutallib bin Hashim bin Abd munaf
and mother name was Fatimah bint Amr ibn Aaidh ibn Imran ibn Makhzum
Ref : Seerat Ibn Hisham 

More details:
https://en.wikipedia.org/wiki/Abdul-Muttalib

https://en.wikipedia.org/wiki/Fatimah_bint_Amr

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-346❗



Only-Quran-Hadith Quiz-346

Sawal : Allah Subhanahu ne Quran mein farmaya ki Musalamno ke liys usmein zindagi hai.. wo kya hai ?
A. Sadqa
B. Tablig (Neki ki dawat aur burayee se rokna)
C. Namaz
D. AL-Kauther
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
--------
Quiz : Allah subhanahu says in Quran there is a life for muslim , what is that ?
A. Charity
B. Dawah (Enjoining what is right and forbidding what is wrong)
C. Salah (Prayer)
D. AL-Kauther
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab E
----------
Al Quran : Momeen tumko maqtulo ( jo qatl kar diye gaye hain) ke baare mein Qasas ka hukm diya jata hai , Aazad ke badle aazad aur gulam ke badle gulam aur aurat ke badle aurat.(Qatl ki jaye) Aur qatil ko uske bhai ki taraf se kuch maaf kar diya jaye to dastur ke muwafiq mutalaba karna chahiye aur usey neki ke saath ada karna chahiye ye tumhare RAB ki taraf se aasani aur meharbani hai phir jo uske baad zyadati kare to uske liye dardnak azab hai
Aur eh Aqal walo Qasas mein ( tumhare liye) zindagani hai taaki tum ( qatl aur khooonrezi) se bacho
AL Quran ,Surah Al-Baqara (2), Verse #178-179
----------
Al Quran : O you who believe! Al-Qisas (the Law of Equality in punishment) is prescribed for you in case of murder: the free for the free, the slave for the slave, and the female for the female. But if the killer is forgiven by the brother (or the relatives, etc.) of the killed against blood-money, then adhering to it with fairness and payment of the blood-money to the heir should be made in fairness. This is an alleviation and a mercy from your Lord. So after this whoever transgresses the limits (i.e. kills the killer after taking the blood-money), he shall have a painful torment.
And there is (a saving of) life for you in Al-Qisas (the Law of Equality in punishment), O men of understanding, that you may restrain yourselves.
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse #178-179

Monday, March 12, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-345❗



Only-Quran-Hadith Quiz-345

Dono sawalo ke jawab is tarah dijiyega AB / DC

Sawal 1 : Inme se wo kaunsi dua hai jo lafz Subhan se shuru hoti hai ?

A. Ghar se bahar nikalne ki dua
B. Masjid mein dakhil hone ki dua
C. Sawari par sawar hone ki dua
D. Hajj ke liye Ihram pahnne ki dua
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Wo dua Quran majid ki kaunsi surah mein hai ?

A. Surah Baqarah
B. Surah Aal-e-imran
C. Surah Zumar
D. Surah Zukhruf
E. Quran mein wo dua nahi hai
F. Sahi jawab ka intezar hai


Kindly reply both quiz like this AC / DC

Quiz 1 : What is that dua among below , which begin with Subhan ?

A. Dua while exit rom home
B. Dua while enterting in Masjid
C. Dua while riding on a vehicle
D. Dua while wearing ehram for Hajj
E. None of the above
F. I want to know

Quiz 2 : In which surah that dua is mentioned in Quran ?

A. Surah Baqarah
B. Surah Aal-e-imran
C. Surah Az-Zumar
D. Surah Az-Zukhruf
E. Its not mention in Quran
F. I want to know

Sahi Jawab CD
-----------
Al Quran : Aur jisne tamam qism ke haiwanat paida kiye aur tumhare liye kashtiyan aur charpaye banaye jin par tum sawar hote ho, taaki tum unki peeth par chadh baitho aur apne RABB ka ehsan yaad karo aur kaho ki
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ

Subhanallazi Sakhkhara lana haza wama kunna, lahoo muqrineen, wa inna ila Rabbina Lamunqalibun

Wo Paak hai jisne isko hamare qabu mein kar diya aur hum mein taqat na thi ki isko qabu mein kar lete aur hamko apne RABB ki taraf hi laut kar jana hai
Surah Az-Zukhruf (43), 12-14
--------
Al Quran : And Who has created all the pairs and has appointed for you ships and cattle on which you ride, In order that you may mount on their backs, and then may remember the Favour of your Lord when you mount thereon, and say:
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ

Subhanallazi Sakhkhara lana haza wama kunna, lahoo muqrineen, wa inna ila Rabbina Lamunqalibun

"Glory to Him Who has subjected this to us, and we could never have it (by our efforts).And verily, to Our Lord we indeed are to return!"
Surah Zukhruf (43), 12-14