Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, July 26, 2017

❗Only-Quran-Hadith Quiz-193❗


Only-Quran-Hadith Quiz-193

Sawal:Wo kaun se Sahabi hain jinse farishte bhi haya (sharam) karte hai ?

A. Abu bakr radi allahu anhu
B. Umar radi allahu anhu
C. Uthman radi allahu anhu
D. Ali radi allahu anhu
E. I want to know
-----------

Quiz : Whats is the name of that sahaba for whom the Angels show modesty ?

A. Abu bakr radi allahu anhu
B. Umar radi allahu anhu
C. Uthman radi allahu anhu
D. Ali radi allahu anhu
E. I want to know

Sahih Jawab C
Ummul momeneen aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam apne ghar mein laite huye they  aur aapki raan ya pindli khuli huyi thi, itne mein Abu baker Radi Allahu Anhu ne ejazat maangee aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Ejazat dee isi haal mein baatein karte rahe.phir hazrat umar Radi Allahu Anhu ne Ejazat chahi unko bhi Ejazat dee aur isi haal mein baatein karte rahe phir hazrat usman Radi Allahu Anhu ne Ejazat chahee to Rasool-Allah Sallallahu Alaihey wasallam baith gaye aur kapde barabar kiye phir wo aaye aur baatein ki jab wo chaley gaye to hazrat aayesha Radi allahu anha ne kaha abu bakr aaye aapne kuch khayal na kiya phir umar aaye aapne kuch khyal na kiya phir hazrat usman aaye aap baith gaye aur aapne kapde durast kiye Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya main sharam na karu us shaksh se jis shaksh se farishte bhi sharam (haya) karte hain.
Sahih Muslim, Vol 6 , 6209

Answer C
Aisha Radi-Allahu-Anha reported: Allah's Messenger peace be upon him was lying in the bed in my apartment with his thigh or his shank uncovered that Abu Bakr radi allahu anhu sought permission to get in. It was given to him and he conversed in the same very state (the Prophet's thigh or shank uncovered). Then Umar radi allahu anhu sought permission for getting in and it was given to him and he conversed in that very state. Then 'Uthman radi allahu anhu sought permission for getting in; Allah's Messenger peace be upon him sat down and he set right his clothes. He ('Uthman) then entered and conversed and as he went out, A'isha Radi allahu anha said: Abu Bakr radi allahu anhu entered and you did not stir and did not observe much care (in arranging your clothes), then Umar radi allahu anhu entered and you did not stir and did not arrange your clothes, then Uthman entered and you got up and set your clothes right, thereupon he said: Should I not show modesty to one whom even the Angels show modesty.

Sahih Muslim Book 031, Number 5906

No comments:

Post a Comment