Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, July 26, 2017

❗Only-Quran-Hadith Quiz-189❗


Only-Quran-Hadith Quiz-189

Sawal:  Kisi musalman se juda hote waqt kya kahna chahiye

A. Allah hafiz
B. As salamu alaikum warahmatullahi wabarkatahu
C. Fi amanillah
D. Dua mein yada rakhna
E. Sahi jawab ka intezar hai
------------

Quiz: What A muslim shoud say while departing to another muslim ?

A. Allah hafiz
B. As salamu alaikum warahmatullahi wabarkatahu
C. Fi amanillah
D. Remember me in your Prayer
E. I want to know


Sahi Jawab B
---------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jab tum mein se koi shaksh majlis mein aaye to salam kahe aur tum mein se jab koi majlis khatam karke uthey tab bhi salam kahe
Sunan Abu Dawud, Vol 3,1765-Sahih

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi majlis mein pauche to unhe salam kare aur phir agar waha baithna ho to baith jaye aur jab (jane ke liye) khada ho to phir salam kare
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 602-Hasan

Comments: Hamare bahut se musalman bhai bahan jaate waqt ALLAH hafiz ya fi amanilah kahte hain, jabki sunnat aur behtar tareeqa ye hai ki juda hote waqt bhi Salam kaha jaye

http://islamqa.info/en/145028
-----------------------------------------
Answer B
------------------
Narrated AbuHurayrah Radhi allahu anhu
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: When one of you comes to an assembly, he should give a salutation and if he feels inclined to get up, he should give a salutation
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5189-Sahih

Narrated Abu Hurairah: that the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: "When one of you arrives at the gathering, then give the Salam, and if he is given a place to sit, then let him sit. Then when he stands, let him give the Salam
Jamia Tirmidhi , Book 40, Hadith 2706-Hasan

Comments: While leaving most of our muslims brothers and sisters say fi amanillah or Allah hafiz but saying Salam is better than that and its sunnah too.


No comments:

Post a Comment