Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 16, 2015

Mafhum-e-Hadith: Surah Fatiha padh kar Dum k aur us par Ujrat lene ke mutalliq




Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Surah Fatiha padh kar Dum k aur us par Ujrat lene ke mutalliq

Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Kuch Sahaba Radi Allahu Anhuma safar ke dauran arab ke ek Qabiley par se guzrey , Qabiley walon ne unki ziyafat (mehman nawazi) nahi ki kuch der baad us Qabiley ke sardar ko bichchu ne kaat liya un Qabiley walon ne sahaba se kaha ki Aap logon ke pass koi dawa ya jhaadney wala hai, sahaba ne kaha ki tum logo ne humein mehman nahi banaya aur ab hum us waqt tak dum nahi karengey jab tak tum hamarey liye iski mazduri muqarrar na kar do so un logon ne kuch bakriyan deni manzur kar li phir ( Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu ) surah fatiha parhney lagey aur usko dam kartey huye munh ka lua’ab ( thuk) bhi us jagah laganey lagey is sey wo shaksh achcha ho gaya iskey baad Qabiley waley bakriyan lekar aaye lekin sahaba ne kaha jab tak Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se na puch lengey ye bakriyan nahi le saktey phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko malum chala to muskuraye aur farmaya ki tumhey kaisey malum ho gaya tha ki surah fatiha se dum bhi kiya ja sakta hai , in bakriyon ko le lo aur unmein mera hissa bhi lagao (nikalo).
{Sahih Bukhari, Vol7, 5736}

Kharja bin Al salt apney chacha se rivayat kartey hain ki wo ek Qaum ke pass se guzrey us qaum ke log unkey pass aaye aur farmaya ki tum beshaq us aadmee ( yani Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass se khair lekar aaye ho so hamarey is aadmee ke liye Taweez kar do phir wo ek maghlub-ul-hawas (pagal) shaksh ko jakad kar laaye to unhoney surah fatiha ke zariye un par dam kiya, 3 din tak subah aur sham jab bhi surah fatiha khatam kartey to munh mein luaab ( thook) jama karkey us aadmi par wo luaab lagatey , wo aisa ho gaya ki bandishon se chutkara pa liya, logon ne (iski Ewaz mein) unhey kuch (khaney ki) cheez di , wo sahabi Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass hazir huye aur sara waqiya bata diya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaha ki isey kha le , meri Umar ki kasam koi to baatil ruqya karkey khata hai (to wo halak ho gaya) beshaq tuney to sachcha kiya hai
{Sunan Abu Dawud, Vol3, #26 (Sahih)}
---------------------------------------
English Translation:

Narrated Abu Said Al-Khudri: Some of the companions of the Prophet came across a tribe amongst the tribes of the Arabs, and that tribe did not entertain them. While they were in that state, the chief of that tribe was bitten by a snake (or stung by a scorpion). They said, (to the companions of the Prophet ), "Have you got any medicine with you or anybody who can treat with Ruqya?" The Prophet's companions said, "You refuse to entertain us, so we will not treat (your chief) unless you pay us for it." So they agreed to pay them a flock of sheep. One of them (the Prophet's companions) started reciting Surat-al-Fatiha and gathering his saliva and spitting it (at the snake-bite). The patient got cured and his people presented the sheep to them, but they said, "We will not take it unless we ask the Prophet (whether it is lawful)." When they asked him, he smiled and said, "How do you know that Surat-al-Fatiha is a Ruqya? Take it (flock of sheep) and assign a share for me."
{Sahih Bukhari, Book #71, Hadith #632}

Kharijah bin al-Salt quoted his paternal uncle as saying that he passed by a clan (of the Arab) who came to him and said: : You have brought what is good from this man( from Propehet Peace be upon him). Then they brought a lunatic in chains. He recited Surat al-Fatihah over him three days, morning and evening. When he finished, he collected his saliva and then spat it out, (he felt relief) as if he were set free from a bond. They gave him something (as wages). He then came to the Prophet (peace_be_upon_him) and mentioned it to him. The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) said: Accept it, for by my life, some accept it for a worthless charm, but you have done so far a genuine one.
{Sunan Abu Dawud, Book 23, 3413 ( Sahih)}

No comments:

Post a Comment