Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 16, 2015

✦ Mafhum-e-Hadith: Haiz (menses) ki halat mein bhi aurto ke saath khilaye aur pilayen






Bismillahirrahmanirrahim



✦ Mafhum-e-Hadith: Haiz (menses) ki halat mein bhi aurto ke saath khilaye aur pilayen



✦ Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us shaksh ke baare mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat wali ) se humbistari kare to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa kare. 
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)

✦ Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apne saath na usey khilate aur na ek makan mein uske saath rahte, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki
"Aur Aapse Haiz ke baare mein puchte hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unke paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jaye phir jab wo paak ho jaye to unke paas jao jahan se Allah ne tumhe hukm diya hai beshak Allah Tauba karne walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahne walon ko dost rakhta hai
Al Quran 2:222"
✦ Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahein aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)



✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to maine Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumhare haath mein to nahi hai.

Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)



✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ka sir Mubarak hum mein se (yani wives mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife) haiz ki halat mein hoti aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam Quran ki Tilawat bhi farmate

Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)



✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.

Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)

-----------------------------------------------------------


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ۔جو آدمی اپنی بیوی کے پاس آئے ۱؎ اور وہ حائضہ ہو تو وہ ایک دینار یا آدھا دینار صدقہ کرے



یہود کی عورتیں جب حائضہ ہو جاتیں تھی تو وہ ان کے ساتھ نہ کھاتے پیتے اور نہ انہیں اپنے ساتھ گھروں میں رکھتے تھے، 

تو لوگوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے (اس کے متعلق) پوچھا، اور آپ سے حیض (ایامِ ماہواری) کی نسبت سوال کرتے ہیں فرما دیں وہ نجاست ہے، سو تم حیض کے دنوں میں عورتوں سے کنارہ کش رہا کرو، اور جب تک وہ پاک نہ ہو جائیں ان کے قریب نہ جایا کرو، اور جب وہ خوب پاک ہو جائیں تو جس راستے سے اﷲ نے تمہیں اجازت دی ہے ان کے پاس جایا کرو، بیشک اﷲ بہت توبہ کرنے والوں سے محبت فرماتا ہے اور خوب پاکیزگی اختیار کرنے والوں سے محبت فرماتا ہے


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے انہیں حکم دیا کہ وہ ان کے ساتھ کھائیں، پئیں

 اور انہیں اپنے ساتھ گھروں میں رکھیں، اور جماع کے علاوہ ان کے ساتھ سب کچھ کریں


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  مجھے مسجد سے چٹائی اٹھا دو ، میں نے کہا: میں حائضہ ہوں

تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تمہارا حیض تمہارے ہاتھ میں نہیں ہے ۔


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے سر میں کنگھی کرتی اور میں حائضہ ہوتی تھی۔
         -------------------------------------

English Translation:
✦ It was narrated from Ibn Abbas from the Prophet Peace be upon him Concerning a man who has had intercourse with his wife while she was menstruating: "Let him give a Dinar or half a Dinar in charity
Sunan Nasaii, Vol 1, 290 (Sahih)

✦ It was narrated that Anas Radi-Allahu-Anhu said: "When one of their womenfolk menstruated, the Jewswould not eat or drink with them, nor mix with them in their houses. They asked the Prophet of Allah Peace be upon him about that, and Allah Mighty and Sublime revealed "They ask you concerning menstruation. Say: that is an Adha (a harmful thing for a husband to have a sexual intercourse with his wife while she is having her menses), therefore keep away from women during menses and go not unto them till they are purified. And when they have purified themselves, then go in unto them as Allah has ordained for you Truly, Allah loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves 
Al Quran, 2 : 222 "

So the Messenger Allah commanded them to eat and drink with them menstruatingwomen) and to mix with them in their houses, and to do everything with them except intercourse. 
Sunan Nasaii, Vol 1, 289 (Sahih)

✦ It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that The Messenger Peace be upon him said Give me the mat from the Masjid She said: I am menstruating. The Messenger of Allah said: "Your menstruation is not in your hand. 
Sunan Nasaii , Vol 1, 272 (Sahih)

✦ It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that The head of the Messenger of Allah would rest in the lap of one of us when she was menstruating, and he would recite Quran. 
Sunan Nasaii , Vol 1, 275 (Sahih)

✦ It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that I used to comb the Messenger of Allah Peace be upon him when I was menstruating. 

Sunan Nasaii , Vol 1, 278 (Sahih)

No comments:

Post a Comment