Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 16, 2015

ALLAH subhanahu ne farmaya wo kaun hota hai jo meri kasam khakar kahta hai ki main falah ko na bakhshunga , maine us (falah) ko bakhsh diya aur iske (kasam khane wale ) ke aamal zaya kar diye.



Bismillahirrahmanirrahim

✦ AL Quran : Aur jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hain sab ALLAH hi ka hai, jise chahe bakhsh de aur jise chahe azab kare , Aur Allah bakhshne wala meharban hai
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse #129

✦ Hadith: Jundab Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ek shaksh bola ki ALLAH subhanahu ki kasam Allah falah ko nahi bakhsega , ALLAH subhanahu ne farmaya wo kaun hota hai jo meri kasam khakar kahta hai ki main falah ko na bakhshunga , maine us (falah) ko bakhsh diya aur iske (kasam khane wale ) ke aamal zaya kar diye.
Sahih Muslim, Vol 6, 6681
-------------------------------------------------
✦ Note : is hadith se un sabhi so called parhezgar musalmano ko sabaq lena chahihye jo dusre musalmano ko badi aasani se kah dete hain ki ye sab dozakhi hain, ya unki bakhshish nahi hogi wagairah wagairah, hum sabko hamesha yaad rakhna chahiye ki jannat dozakh ka faisla sirf aur sirf ALLAH karega aur wo jise chahe bakhsh de aur jise chahe azab de usko koi puchne wala nahi

-------------------------------------------------
✦ AL Quran : And to Allah belongs all that is in the heavens and all that is in the earth. He forgives whom He wills, and punishes whom He wills. And Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful.
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse #129

✦ Hadith: Jundub Radhi allahu anhu reported that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam stated that a person said: Allah would not forgive such and such (person). Thereupon Allah the Exalted and Glorious, said: Who is he who adjures about Me that I would not grant pardon to so and so; I have granted pardon to so and so and blotted out his deeds (who took an oath that I would not grant pardon to him).
Sahih Muslim, Book 32, Hadith 6350

No comments:

Post a Comment