Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, November 16, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1268❗

 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1268*❗

*Sawal 1 : Wo kaunsa Rahib tha jisne sabse pahle Rasool-Allah Sal-Allaahu alaihi Wasallam ko pahchan liya ki Aap Nabee hain ?*

*Sawal 2 : Inmein se wo kaun hai Jiske liye RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne jannat mein ek ya do baag dekhe they ?*


A. Abu Talib

B. Naufal

C. Ibn Seena

D. Abu Hisham

E. Ibn Saad

F. Warqa

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1268*❗


*Quiz 1 : Who was that monk who identified the Rasool-Allah Sal-Allaahu alaihi Wasallam as a Prophet ?*


*Quiz 2 : For whom RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam saw one or two garden in paradise ?*


A. Abu Talib

B. Naufal

C. Ibn Seena

D. Abu Hisham

E. Ibn Saad

F. Warqa

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


 ✅ *Sahi Jawab GF* 💐

--------

✦: Abu Talib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko saath lekar mulk e sham rawana huye aur basra ke muqam par muqam kiya to waha ek Bahira naam ka rahib uski khnqah mein raha karta tha , ye nasraniyo ka bada aalim tha , usne dekha ki us kafile mein tamam logo ko chorh kar sirf Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam par ek badal saya kiye huye chala ja raha hai , jab wo kafila ek darakht ke kareeb gaya to us darakht ki shakhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par saaya karne lagi ye dekh kar wo rahib apni khanqah se utra aur sare qafile walo ko apne paas bula liya aur un nishaniyo ko gaur se dekhne laga jo usko pahle se malum thi ono shano ke beech mein Muhar e Nabuwat nazar aayee Hisham bin Muhammad rivayat karte hain ki jab Abu talib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko lekar mulk e sham aaye to us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki umar 9 baras thi. Abu Musa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki rahib (bahira) Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke kareeb aaya aur unka haath pakada aur kahne laga ye sare aalam ke sardar hain ye Rabbul Alameen ke Rasool hain, inko Allah subhanahu sare jahan ke liye rahmat bana kar mabuus farmayega Quraish ke sheikh ne us rahib se pucha tumko ye bata kaise malum huyee to usne kaha ki jab tum ghati mein aaye to koi darakht ya paththar aisa na tha jo saze mein gir padha ho aur jamadat aur nabatat sirf Nabeeyo ke samne sazda karte hain aur maine unki muhr e nabuwat bhi dkehi jo saib (apple) ke barabar thi jo unke dono shano ke darmiyan hain

Tarikh At Tabri Jild 2, Page 47-48-Hasan

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Warqa Radi Allahu Anhu ko bura mat kaho kyunki maine uske liye ek ya do baag dekhe hain

Al-Silsila As-Sahiha-3626


 ✅ *Answer GF* 💐

--------

Abu talib took prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam to the Syria with him on a trading expedition, The caravan halted at Busra in Syria, where there was a learned Christian monk named Bahira in his cell. Ehile he was in his cell he had seen the Messenger of God shaded by a cloud which marked him out from among the company. Then they hadcome near, and, when they halted in the shade of a tree close to him, he observed the cloud covering the tree and bending down its branches over the Messenger of God until he was in the shade beneath it. When Bahira saw this, he descended from his cell and sent the caravan a message inviting them all. When he saw the Messenger of God, he observed him very intently, noting features of his person whose description he had found in his book After the company had finished the meal and dispersed, he asked the Messenger of God about certain matters which had taken place both when he was awake and 

when he was asleep. The Messenger of God told him, and he found that these things corresponded to the description which he had found in his book. Finally he looked at Muhammad's back, and saw the seal of prophethood between his shoulders.

Tarikh At Tabri Jild 2, Page 47-48-Hasan


✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said dont say evil to Warqa Radi Allahu Anhu beause I saw one or two gardens in the paradise for him

Al-Silsila As-Sahiha3626

No comments:

Post a Comment