Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, November 4, 2020

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1263 ❗

 ❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1263* ❗


*Ek baar ek Nabee ne ek paththar ko itna maara ki us par nishan ban gaye they*


*Sawal 1 : Wo kaunse Nabee they ?*

A. Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Idris Alaihi Salam

D. Eesa Alaihi Salam

E. Sulaiman Alaihi Salam

F. Musa Alaihi Salam

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 : Unhone us paththar ko kyu mara ?*

A. Kyunki log uski ibadat karte they

B. Wo ek bahut badha but tha

C. Wo ek jinnat tha

D. Usne unka hukm manane se inkar kar diya tha ki Allah ke saath shirk na karna

E. Us paththar ki thokar se unko zakhm laga tha

F. Wo paththar jadu ke liye istaemaml hota tha

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1263* ❗


*Once a prophet hit a stone badly and it got some traces of the hitting*


Quiz 1 : Who was that prophet?*


A. Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Idris Alaihi Salam

D. Eesa Alaihi Salam

E. Sulaiman Alaihi Salam

F. Musa Alaihi Salam

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*Quiz 2 : Why he did he hit that stone ?*


A. Poeple used to worship it

B. It was a big Idol

C. It was a Jinn

D. It denied to obey him that worship only Allah

E. He got hurt by that stone

F. That Stone was being used for magic

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)




 ✅ *Sahi Jawab FG* 💐

------------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Hazrat Musa Alaihi salam bade hi sharm wale aur badan dhanpne wale they, unki haya ki wajah se unke badan ko koi hissa bhi nahi dekha ja sakta tha, Bani Israel ke jo log unhein taklifein pahunchane ke ghaat me they unlogo ne kahna shuru kar diya ki is darja badan chupana ka ehtemam sirf isliye hai ki unke jism me aib hai ya kodh hai ya phir koi aur beemari hai. 

✦: Udhar Allah Subhanahu ko yeh manzur hua ki Musa Alaihi salam ki unki behuda baato se paaki dikhlaye. Ek din Musa Alaihi salam akele ghusl karne ke liye aaye ek paththar per apne kapde utaar kar rakh diye, phir ghusl shuru kiya, jab faarigh hue toh kapde uthane ke liye badhe lekin paththarunke kapdo ke saath bhagne laga. Musa Alaihi salam ne apna asaa (lathi) uthaya aur paththar ke peeche daude, yeh kahte hue ki Eh paththar ! mere kapde de de

✦: Aakhir Bani Israel ki ek jamaat tak pahunch gaye aur un sabne aapko bina kapdo ke  dekh liya aur unko Allah Subhanahu ki makhluq mein sabse bahtar haalat mein paya is tarah Allah Subhanahu ne  unki tohmat se unki bara'at kardi Ab paththar bhi ruk gaya aur Aapne kapde uthakar pahan liye , phir paththar ko apne asaa (lathi) se marne lage, Allah ki qasam us paththar par Musa Alaihi salam ke marne ki wajah se teen ya chaar ta paanch jagah nishan padh gaye they.

*Sahih Bukhari 3404*


 ✅ *Answer FG* 💐

------------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said, "(The Prophet) Moses was a shy person and used to cover his body completely 

because of his extensive shyness. One of the children of Israel hurt him by saying, 'He covers his body in this way only because of some defect in his skin, either leprosy or scrotal hernia, or he has some other defect. 

✦: Allah wished to clear Moses of what they said about him, so one day while Moses was in seclusion, he took off his clothes and put them on a stone and started taking a bath. When he had finished the bath, he moved towards his clothes so as to take them, but the stone took his clothes and fled.

✦: Moses picked up his stick and ran after the stone saying, 'O stone! Give me my garment!' Till he reached a group of Bani Israel who saw him naked then, and found him the best of what Allah had created, and Allah cleared him of what they had accused him of. The stone stopped there and Moses took and put his garment on and started hitting the stone with his stick. By Allah, the stone still has some traces of the hitting, three, four or five marks. 

*Sahih Bukhari Book 55, 616*


No comments:

Post a Comment