Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, November 3, 2020

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1261 ❗


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1261* ❗


*Sawal 1 : Wo kaunse sahabi hain jinki tilawat farishte sunne aaye they  ?*


*Sawal 2 : Wo kaunse sahabi hain jinko RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne ek jung mein ek lakdi (stick) di to wo talwar ban gayee jis se unhone jung ki ?*


*Sawal 3 : Wo kaunse Sahabi hain jinke seene se RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne  shaitan ko nikal jane ko kaha?*


A. Uthman bin Abi Al-Aas radi allahu anhu

B. Saad bin Muadh radi allahu anhu

C. Dihyah Al Kalbi Radi Allahu anhu

D. Ukasha radi allahu anhu

E. Hanzala Radi allahu anhu

F. Khalid bin walid Radi allahu anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1261* ❗


*Quiz 1 :  For whom, Angel came down to listen his recitation ?*


*Quiz 2 : To whom Rasool-Allah sallalahu alaihi wasallam gave a stick on the battle of badr and It turned into a long white sword ?*


*Quiz 3 : For whom Rasool-Allah sallalahu alaihi wasallam said devil to get out from his chest ?*


A. Uthman bin Abi Al-Aas radi allahu anhu

B. Saad bin Muadh radi allahu anhu

C. Dihyah Al Kalbi Radi Allahu anhu

D. Ukasha radi allahu anhu

E. Hanzala Radi allahu anhu

F. Khalid bin walid Radi allahu anhu

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


 ✅ *Sahi jawab GDA* 💐

------------

✦: Hazrat Abu Saeed  khudri rivayat karte hain ki hazrat Usaid bin Hudair Radi Allahu Anhu ek raat apne khajuro ke khalihan mein Quran majid padh rahe they ki unka ghodha bidakne laga , Aapne phir padha wp phir bidakne laga , Aapne phir padha aur phir bidka , hazrat Usaid kahte hain ki main darr gaya ki kahi wo Yahya (jo unke bete they) ko kuchal na daale.Main uske paas jakar khada ho gaya aur maine dekha ki ek saayban ki tarah mere sir par hai  aur wo chirago se roshan hai , wo upar ki taraf chadhne laga yaha tak main usko phir dekh na saka. Maine Subah ko Rassol-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam raat ke waqt main apne khalihan mein Quran majid padh raha tha ki achanak mera ghodha bidakne laga to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se (teesri baar) farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha

✦ is par ibn hudair na kaha ki main padhkar jab farig hua to yahya uske kareeb tha mujhe darr laga ki kahi wo usko kuchal na dale aur maine ek saayban ki tarah dekha ki usmein chirag se roshan they jo upar ki taraf jaane laga yaha tak ki main phir usko nahi dekh saka , to is par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo Farishte they jo tumhara Quran sun rahe they aur agar tum padhte rahte subah log unko dekh lete aur wo logo se chupe huye na rah paate

Sahih Muslim-1859


✦: Umar Ibn Uthman se rivayat hai ki Ghazwa e Badr ke moqe par Ukasha bin Muhsin radi allahu anhu ki talwar tut gayee , Rasool-Allah salalalahu alaihi wasllam ne unko ek lakdi di wo ek lambi safed talwar mein badal gayee , Ukassa radi allahu anhu ne kaha ki main us talwar se tab tak ladta raha jab tak ki Allah subhanahu ne mushriko ko shikast na de di , aur wo talwar unke muat ke waqt tak unke saath thi

Seerat ibn Hisham ,Jild 2, 220

Ar Raheeq Al Makhtum , Safa 226


✦: Uthman bin Abi Al-Aas se rivayat hai ki maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se quran bhul jane ki shikayat ki,aap ne mere seene par apna haath mar kar farmaya Eh shaitan uthman ke seene se nikal ja (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen martaba aisa farmaya), Uthman Radi Allahu Anhu kahte hai ke us ke bad maine jis cheez ko bhi yaad kiya usko kabhi na bhula.

Al-Silsila As Sahiha-2351



 ✅ *Answer GDA* 💐

---------

✦:Usaid bin Hudair went to the Messenger of Allah (ﷺ) and said: Messenger of Allah, I recited the Qur'an during the night in my enclosure and my horse began to jump. Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited. It jumped (as before). Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited and it again jumped (as before). The Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibu Hudair He (Ibn Hudair) said: (Messenger of Allah) I finished (the recitation) for Yahya was near (the horse) and I was afraid lest it should trample him. I saw something like a canopy with what seemed to be lamps in it rising up in the sky till it disappeared. Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: Those were the angels who listened to you; and if you had continued reciting, the people would have seen them in the morning and they would not have concealed themselves from them

Sahih Muslim,Book 6, 287


✦:Narrated Umar Ibn Uthman from his father from his aunt said: 'Ukasha bin Muhsin radi allahu anhu at Badr, broke his sword. He sallallahu alaihi wasllam gave him a stick. It turned into a long white sword. He said: "I fought with that sword until Allah defeated the Mushriks. That sword was kept with him until he died. 

Seerat Ibn Hisham Vol 2 ,220

Ar Raheeq Al Makhtum (The sealed nectar) Page 226


✦:Narrated by Usman bin Abi Al Aas Radi Allahu Anhu , I complained to  RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam that I forget the Quran , RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam struck my chest with his hand and said Oh you devil get out from the chest of Uthman, (He said three times same words) , since then I have never forgotten any thing which I remembered.

Al-Silsila As Sahiha 2351

No comments:

Post a Comment