Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, January 16, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1063❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1063❗

Sawal 1 : Quran ki Kaunsi Surah ko Al-Saba Al Mathani kaha jata hai ?

A. Surah Al-Fatiha
B. Surah Al-Falaq
C. Surah An-Nas
D. Surah Al-Ikhlas
E. Surah Al Fath
F. Surah Muhammed
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Quran ki kaunsi surah mein Al Sabah Al Mathani ka zikr hai ?


A. Surah Al-Hajj
B. Surah An-Nahal
C. Surah Al-Baqarah
D. Surah Anaam
E. Surah Aaraf
F. Surah Muhammed
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1063❗

Quiz 1 : Which Surah of Quran is called Sabah Al Mathani ?

A. Surah Al-Fatiha
B. Surah Al-Falaq
C. Surah An-Nas
D. Surah Al-Ikhlas
E. Surah Al Fath
F. Surah Muhammed
G. None of the Above
H. I want to know


Quiz 2 : In which Surah of Quran The Verse about Sabah Al Mathani has mentioned ?

A. Surah Al-Hajj
B. Surah An-Nahal
C. Surah Al-Baqarah
D. Surah Anaam
E. Surah Aaraf
F. Surah Muhammed
G. None of the Above
H. I want to know



*Bismillahirrahmanirraheem*

✅ *Sahi Jawab AG* 💐
----
*وَلَقَدْ آتَيْنَاكَ سَبْعًا مِّنَ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنَ الْعَظِيمَ*
Aur humne aapko saat (Ayaten) jo (namaz mein) Dohra kar padhi jati hain (Yani Surah fatiha) aur Azmat wala Quran ata farmaya 
hai
Surah Al-Hijr(15):87 
----
Hadith : Abu Saeed Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam mere paas se guzre main us waqt namaz padh raha tha Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne mujhe bulaya mein namaz se farig hone ke baad khidmat main hazir hua Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne pucha ke fauran hi kyu nahi aaye? arz kiya ke namaz padh raha tha us par Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya Allah Subhanahu ne tum logo ko hukm nahi diya hai ke Eh imaan walo jab Allah aur uske Rasool ( Sallallahu Alahih Wasallam)  tumhein bulaye toh labbayk kaho phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kyu na aaj mein tumhein masjid se nikalne se pahle Quran majid ki sabse azeem surat bataoo phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam (batane se pehle)  masjid se bahr tashreef le jaane ke liye uthey toh mein ne baat yaad dilaye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmya ke wo Surat Alhamdulillah Rabbil Alamin (yani Surah Fatiha) hai  yahi  Sabah Al Mathani hai aur yahi Quran e azeem hai jo mujhe diya gaya hai
Sahih Bukhari, 4703


*Bismillahirrahmanirraheem*

✅ *Answer AG* 💐
----
*وَلَقَدْ آتَيْنَاكَ سَبْعًا مِّنَ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنَ الْعَظِيمَ*
----
And indeed, We have bestowed upon you seven of Al-Mathani (seven repeatedly recited Verses), (Surat Al-Fatihah) and the Grand Qur'an.
Surah Al-Hijr(15):87 

Narrated Abu Sa`id Radi Allahu Anhu While I was praying, the Prophet (ﷺ) passed by and called me, but I did not go to him till I had finished my prayer. When I went to him, he said, "What prevented you from coming?" I said, "I was praying." He said, "Didn't Allah say" "O you who believes Give your response to Allah (by obeying Him) and to His Apostle." (8.24) Then he added, "Shall I tell you the most superior Sura in the Qur'an before I go out of the mosque?" When the Prophet (ﷺ) intended to go out (of the Mosque), I reminded him and he said, "That is: "Al hamdu-li l-lahi Rabbil-`alamin (Surat-al-fatiha)' which is the seven oft repeated verses (Al-Mathani) and the Grand Qur'an which has been given to me.
Sahih Bukhari, Book 60, 226

No comments:

Post a Comment