Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, February 5, 2021

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1285 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1285* ❗


*Ek bar ek sahabi ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek cheez di aur farmaya ki ye Qayamat ke din unhe kaam mein aayegi isliye isko hifazat se rakhna un sahabi ne uski itni hifazat ki ke marte waqt us cheez ko unke saath hai Qabr mein rakh diya gaya*


A. Chandi ki Anguthi

B. Amama (Turban)

C. Muhar e Nabuwat ki Anguthi

D. Lakdi

E. Kurta

F. Talwar

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 : Wo sahabi kaun they ?*


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F.Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1285* ❗

*Once  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam gave some thing to a Sahabi and said Keep it safe with you it will be helpful on the day of Qayamah that sahabi kept that thing with him and after his death that thing was also buried with him in the grave*


*Quiz 1 : What was that thing ?*


A. SIlver Ring

B. Turban

C. Ring with Prophetic Stamp

D. Stick

E. A Kind of cloth to wear

F. Sword

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*Quiz 2 : Who was that sahabi ?*


A. Abdullah bin Unais radi allahu anhu

B. Thabin bin Qais radi allahu anhu

C. Aamir bin rabia radi allahu anhu

D. Abu Ubaidah bin Al-Jarrah radi Allahu Anhu

E. Ukasha radi allahu anhu

F.Abu Jandal Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)




*💐✅ Sahih Jawab : DA💐✅*

-------

Syedna Abdullah bin Unais RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehte hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe bulwa kar farmaya mujhe ittila mili hai ke Khalid bin Sufyan mujh par hamla karne ke liye logon ko jama kar raha hai, wo is waqt  Arna waadi mein hai, tum ja kar usse qatal kar do. mein ne arz kiya : Eh Allah ke Rasool! aap mujhse is ka huliya bayan farmaye taake mein usse pehchan sakoo. Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum usse dekhoge to tum par kapkapi taari ho jayegi. phir mein ne apni talwar latkai aur chal pada, jab mein Arna mein is ke paas pahuncha to dekha ke is ke sath aurtain bhi theen aur wo un ke liye jagah tayyar kar raha tha, ye Asar ka waqt tha jab mein ne usse dekha to Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke bayan ke mutabiq mujh par kapkapi taari ho gayi, main is ki taraf badha, mujhe andesha huwa ke mumkin hain ke is ke aur mere darmiyan ladai shuru hojaye aur mein Namaz na padh sakoo, is liye mein ne is ki taraf chalte chalte namaz padh li aur ishare se ruku o sajda kar liye.


jab mein is ke paas pouncha to is ne poocha tum kaun ho? maine  kaha : mein ek arab hu, suna hain ke tum is yani Muhammad ( ‌Sallallahu Alaihi wasallam) ke muqable ke liye lashkar jama kar rahe ho, mein bhi isi maqsad ke liye aaya hu is ne kaha : haan haan isi mission par hu mein kuch durr tak is ke saath saath chala, jab mujhe mauqa mila to mein ne is par talwar se waar kar ke usse qatal kar diya aur wahan se nikal aaya, mein ne is ki aurton ko is haal mein wahan chorra ke wo is par jhuki huwi theen. jab mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas aaya, aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe dekh kar farmaya : chehra kamyaab ho gaya hain mein ne arz kiya : Allah ke Rasool! mein ne usse qatl kar diya hain Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya bilkul tum theek kahte ho is ke baad Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam mere saath uth kar chalay aur apne ghar tashreef le gaye, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ek laathi (Lakdi) inayat ki aur farmaya : Abdul Rahman bin Unais ! usse apne paas mehfooz rakhna mein wo laathi le kar bahar logon mein aaya. unhon ne poocha : ye kaisi laathi hai? mein ne batlaya ke Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ye laathi inayat ki hain aur mujhe hukum diya hai ke mein usse mehfooz rakhon unhon ne kaha kya tum Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas ja kar aap se is ke barre mein mazeed wazahat nahi kara lete? 


phir mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein dobara gaya aur mein ne arz kiya Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌aap ne ye laathi mujhe kis maqsad ke liye di hain? Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din ye laathi mere aur tumahre darmiyan nishani hogi, Qayamat ke din bahut kam log aisse honge jin ke paas take lagane ke liye Asaa wagaira hoga phir Syedna Abdullah RadiAllahu Anhu ne is Asaa (Lakdi) ko apni talwar ke saath bandh liya aur wo hamesha unke paas raha, yahan tak ke jab un ka inteqaal huwa to is Asaa (lakdi) ko bhi un ke kafan ke saath rakh kar dono ko dafan kar diya gaya.

*Musnad Ahmed 11770*



*💐✅ Answer : DA💐✅*

-------

Narrated By Syedana Abdullah bin Unais Radiallahu Anhu he said, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam called me and told  I received a news that Khalid bin Sufiyan bin Nabeeh is gathering people to attack me , he is in  the place of Arna, go and kill him.

I Said Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam describe me how he look like, so that I can identify him . Rasool Allah Sallallahu alaih wasallam said when you look at  him you will got shivered, I took my sword and went to him

 When I reached at the place of Arna , I saw  women with him and he was  arranging the place at the time of Asr. 

When I looked at him, I got shivered As Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said, when I was about to walk towards him I got fear that war will begin between us and I won't be able to offer Salah, so meanwhile walking towards him I offered Salah, done ruku and sujud with gesture .

 When I reached to him he said , Who are you ? 

I said I am An Arab, I heard that you are gathering the people against prophet Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam to defeat him, and I too came for this purpose 

He said, Yes I came here with this intenton,  

I walked little with him, and when I got a chance to attack him I killed him with a sword and I left 

 his women there in the condition that they were bowed him.

When I came back to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam. 

Rasool-Allah Sallallahu Aaihi wasallam looked at me and said, face has got success , I said Oh messanger of Allah I killed him, 

 Rasool-Allah Sallallahu Aaihi wasallam said Obviously you  are saying truth.


After that Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam went to his house with me, and gave me a stick and told, Ya Abdur Rahman bin Unais keep this safe with you I came out  to the people holding stick.

They asked what is this stick? I said Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam gave me this stick and ordered me to keep this with me safely.

 They said go to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam and clarify more about it ? So I went to Rasool-Allah  Sallallahu Aaihi wasallam and asked, for which purpose have you given me this Stick ? 

Rasool-Allah Sallallahu Aaihi wasallam said  on the day of judgement this stick will be the trace between us.

On the day of judgement a very few people will have stick etc to shore up.

 After that Abdullah bin Unais Radi Allahu Anhu tied this Stick with his Sword and  always kept with him until  he died, After his death  that stick also buried with him in the grave

Musnad Ahmed 11770


No comments:

Post a Comment