Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, February 25, 2021

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1304 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1304* ❗


Ek baar ek sahabi ko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki jab bhi tumse kuch gunah ho jaye to uske baad koi achcha kaam kar liya karo to us waqt us sahabi ne ek Azkar ke bare mein pucha ki kya ye pahdna bhi achche kaamo mein se hai


*Sawal 1 : Us waqt un Sahabi ne kaunse Azkar ke baare mein pucha tha ?*


A. La ilaha illAllah

B. SubhanAllahi Wa bihamdihi

C. Allahu-Akbar-Kabira 

D. La hawla Wa la Quwwata illa Billah

E. Alhamdulillahi katheera

F. SubhanAllah

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 : Wo Sahabi kaun they ?*


A. Abu Bakr radi allahu anhu

B. Umar radi allahu anhu

C. Uthman radi allahu anhu

D. Ali radi allahu anhu

E. Abu Dharr Radi Allahu Anhu

F. Ubay ibn kaab Radi Allahu Anhu

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗Only-Quran-Hadith Quiz ❗


Once Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said to a sahabi whenever you any kind of sin happens by you, do some good deeds , that Sahabi asked about a Azkar and said is Saying this azkar is also a good deed...


Sawal 1 : Regarding which azkar that Sahabi asked that time  ?


A. La ilaha illAllah

B. SubhanAllahi Wa bihamdihi

C. Allahu-Akbar-Kabira 

D. La hawla Wa la Quwwata illa Billah

E. Alhamdulillahi katheera

F. SubhanAllah

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


Sawal 2 : Who was that Sahabi  ?


A. Abu Bakr radi allahu anhu

B. Umar radi allahu anhu

C. Uthman radi allahu anhu

D. Ali radi allahu anhu

E. Abu Dharr Radi Allahu Anhu

F. Ubay ibn kaab Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. O Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab  : AE💐✅*

--------

Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kaha ki Ya  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam mujhe naseehat farma dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tumse koi burayee ho jaye to uske baad koi achcha kaam kar liya karo jo usko mita de, maine kaha Ya  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam La ilaha illAllah kahna bhi neki hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ye to Afzal Hasnat yani Afzal Neki hai

Al SilSila Sahiha 1326


*💐✅ Answer  : AE💐✅*

--------

Narrated by Abu Dharr Radi Allahu Anhu that I Said to  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam kindly give me some advices He said when any kind of sin happens by you , do some good deeds which may wipe that sin, I Said Oh Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam is Saying La ilaha illAllah is also a good deed ? He said Yes infact its a one of the best good deed.

Al SilSila Sahiha 1326


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1303 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1303* ❗


Ek baar ek sahabi ki Maa unse naraz ho gayee uske baad wo sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur unke saath namaz padhi aur namaz ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unke aur unki walida ke liye maghfirat ki dua ki

*Sawal 1 : Unki Maa unse kyu naraz ho gayeee thi ?*


A. Wo Rasool-Allah ﷺ ke saath Jihad mein nahi gaye they

B. Wo kuch dino tak Rasool-Allah ﷺ se mile nahi they

C. Namaz mein hone ki wajah se Maa ke bulane par jawab nahi de sake

D. Wo Unse unchi aawaz mein baat karte they

E. Wo Unki Maa ko Hajj par nahi le ja rahe they

F. Wo Nikah nahi karna chahte they

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Sawal 2 : Wo Sahabi kaun they ?*


A. Abu Huraira

B. Huzaifa

C. Musaib ibn Umair

D. Abu Talha

E. Nauman

F. Abdullah Ibn Zubair

(Radi Allahu Anhuma)

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Note : Agar jawab G yani inmein se koi nahi ho to sahi jawab bhi dijiye*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1303* ❗


Once a sahabi's  mother got angry and very upset with him. So , He went to theRasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam and offered prayer with him , After the Prayer RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam perform dua for the forgiveness of him and his mother


Quiz 1 : Why was his mother got angry with him ?


A. He did not accompany Rasool-Allah ﷺ in  Jihad 

B. He did not meet  Rasool-Allah ﷺ for few days

C. He was offering Prayer so he coudn't respond to his mother's call

D. He used to speak with his mother loudly

E. He was not taking his mother for hajj

F. He wanted to do Nikah 

G. None of the above 

H. O Allah increase my Knowledge 


Quiz 2 : Who was that Sahabi ?


A. Abu Huraira

B. Huzaifa

C. Musaib ibn Umair

D. Abu Talha

E. Nauman

F. Abdullah Ibn Zubair

(Radi Allahu Anhuma)

G. None of the above

H. Oh Allah please increase my Knowledge


Note : if your answer is option G please mention the correct answer



*💐✅ Sahi Jawab : BB💐✅*

--------

Huzaifa Radi Allahu Anhu Bayan karte hain ke: Mujh se Meri walidah ne pucha Tum Nabi e Akram Sallallahu Alahih Wasallam ki Khidmat mein Haal hi mein kab gaye they? Meine kaha: Itne Itne dino mein inke pass nahi ja saka hoon, To woh mujh par Khafa Huye, Meine inse kaha: Ab mujhe Nabi e Akram Sallallahu Alahih Wasallam ke pass Jane Dijiye mein aapke saath Namaz e Maghrib padho ga aur Aap Sallallahu Alahih Wasallam se mein apne aur Aapke liye Dua e Maghfirat ki Darkhawasth karo ga,

Jamia Tirimizi 3781-Hasan


*💐✅ Answer : BB 💐✅*

--------

Narrated Hudhaifah Radi Allahu Anhu that My mother asked me: When is your planned time - to meet the RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ?' So I said: 'I have not had a planned time to see him  since such and such time.' She rebuked me (and got annoyed), so I said to her: 'Let me go to the  RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam so that I may perform Maghrib (prayer) with him, and ask him to seek forgiveness for you and I.' So I came to the  RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam, and I prayed Maghrib with him, then he prayed until he prayed Al-'Isha. Then he turned, and I followed him, and he heard my voice, and said: 'Who is this? Hudhaifah?' I said: 'Yes.' He said: "What is your need, may Allah forgive you and your mother?'

Jamia Tirimizi,  3781-Hasan


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1302 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1302* ❗


*Jawab ek se zyada hai*


*Sawal : Wo kaunse gunah hain jisko karne par iman us bande ke andar se aise nikal jata hai jaise ki banda sir se kameez nikal deta hai ?*


A. Shirk

B. Takabbur

C. Sharab Pina

D. Zina

E. Jhooth bolna

F. Chori karna 

G. Bidat

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1302* ❗

Answers are more than one

Quiz : For which sins it has been said that If a person commute those sins , Allah take out the faith from him as a person take off his shirt  ?


A. Shirk

B. Arrogance (takabbur)

C. Drinking Wine

D. Adultery (Zina)

E. Telling lie

F. Stealing

G. Innovation (Bidah)

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: CD💐✅*

--------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh Zina karta hai ya Sharab peeta hai to Allah Subhanahu us se iman is tarah nikal deta hai jaise ki insan apne sir se kameez nikal deta hai

Mustadrak Ala Sahihain (Al Hakim)57-Sahih

* قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ  مَنْ زَنَا وَشَرِبَ الْخَمْرَ نَزَعَ اللَّهُ مِنْهُ الْإِيمَانَ كَمَا يَخْلَعُ الْإِنْسَانُ الْقَمِيصَ مِنْ رَأْسِهِ*

https://islamweb.net/ar/library/index.php?page=bookcontents&ID=65&bk_no=74


*💐✅ Answer : CD💐✅*

--------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said If anybody commit Adultery (Zina) or drinks Wine , Allah Subhanahu take out the faith from him as somebody take off his shirt 

Mustadrak Ala Sahihain (Al Hakim) 57 -Sahih

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1301 ❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1301* ❗

*Dono Sawalo ke Jawab ek se zyada hai*

Sawal 1 : Inmein se kis jaandar ka Zikr Quran mein hai ?

Sawal 2 : Inmein se kis jaandar ke naam ki Surah Quran mein hai ?


A. Haathi 

B. Oont 

C. Kutta 

D. Makdi 

E. Cheenti 

F. Bandar

G. Kawwa

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1301* ❗

*Both Quiz has more than one answers*

Sawal 1 : Which creature is mentioned in Quran ?

Sawal 2 : The Surah of Which Creature's name is in the Quran ?


A. Elephent 

B. Camel

C. Dog

D. Spider 

E. Ant 

F. Moneky

G. Crow

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: ABCDEFG / ADE💐✅*

--------

اَلَمۡ  تَرَ کَیۡفَ فَعَلَ رَبُّکَ  بِاَصۡحٰبِ الۡفِیۡلِ 

Kya tuney dekha nahi ki tere Rabb ne Haathi walon ke saath kya kiya ?

Surah Feel 105: 1

----------

فَقَالَ لَہُمۡ رَسُوۡلُ اللّٰہِ نَاقَۃَ اللّٰہِ وَ سُقۡیٰہَا 

Unhein Allah ke Rasool ne farma diya tha ki Allah subhanahu ki Oontni aur uske peene ki baari ki hifazat karo.

Surat No 91 : 13 

----------

وَ تَحۡسَبُہُمۡ اَیۡقَاظًا وَّ ہُمۡ رُقُوۡدٌ ٭ۖ وَّ نُقَلِّبُہُمۡ ذَاتَ الۡیَمِیۡنِ وَ ذَاتَ الشِّمَالِ ٭ۖ وَ کَلۡبُہُمۡ بَاسِطٌ ذِرَاعَیۡہِ  بِالۡوَصِیۡدِ ؕ لَوِ اطَّلَعۡتَ عَلَیۡہِمۡ لَوَلَّیۡتَ مِنۡہُمۡ فِرَارًا  وَّ  لَمُلِئۡتَ مِنۡہُمۡ  رُعۡبًا  

Aap khayal karte ki woh bedaar hain halaanki woh soye huye the khud hum hi unhein daayein baayein karwatein dilaya karte they unka Kutta bhi chaukhat per apne haath phailaye huye tha.

Surah Kahaf 18: 18

----------

مَثَلُ الَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ اَوۡلِیَآءَ کَمَثَلِ الۡعَنۡکَبُوۡتِ   اِتَّخَذَتۡ بَیۡتًا ؕ وَ اِنَّ  اَوۡہَنَ الۡبُیُوۡتِ لَبَیۡتُ الۡعَنۡکَبُوۡتِ ۘ  لَوۡ  کَانُوۡا  یَعۡلَمُوۡنَ 

 Jin logon ne Allah ko chorhkar dusre sarparast bana liye hain unki misal Makdi  jaisi hai jo apna ek ghar banati hai  aur sab gharon se zyadah kamzor ghar Makdi ka ghar hi hota hai kaash Ye log ilm rakhte.

(Surah Ankaboot 29: 41)

----------

حَتّٰۤی  اِذَاۤ  اَتَوۡا عَلٰی وَادِ  النَّمۡلِ ۙ قَالَتۡ نَمۡلَۃٌ  یّٰۤاَیُّہَا النَّمۡلُ ادۡخُلُوۡا مَسٰکِنَکُمۡ ۚ لَا یَحۡطِمَنَّکُمۡ  سُلَیۡمٰنُ  وَ جُنُوۡدُہ وَ ہُمۡ  لَا یَشۡعُرُوۡنَ 

Yahan tak ki jab yeh sab  Chyuntiyon ki waadi mein  pahunche toh ek Chyunti ne kaha, Eh Chyuntiyon apne bilon mein ghus jaao, kahin aisa na ho ki Sulaiman alaih salam aur uske lashkar tumhein kuchal dalein aur unhein khabar bhi na ho.

(Surah Namal 27 : 18)

----------

فَلَمَّا عَتَوۡا عَنۡ مَّا نُہُوۡا عَنۡہُ قُلۡنَا لَہُمۡ   کُوۡنُوۡا  قِرَدَۃً  خٰسِئِیۡنَ 

Phir jab woh puri sarkashi ke saath wahi kaam kiye chale gaye jis se unhein roka gaya tha,  toh humne kaha ki Bandar ho jao zalil aur khwar.

Surah A'raaf 7: 166

---------

فَبَعَثَ اللّٰہُ غُرَابًا یَّبۡحَثُ فِی الۡاَرۡضِ لِیُرِیَہ کَیۡفَ یُوَارِیۡ سَوۡءَۃَ اَخِیۡہِ   

Phir Allah Subhanahu ne ek Kawwe ko bheja jo zameen khod raha tha taaki woh usey dikhaye ke kis tarah apne bhai ki laash ko chupa de
----------

1. Surah Feel : 105 (Haathi)

2. Surah Ankaboot 29: (Makdi)

3. Surah Namal 27:( Cheenti)


✅ Answer

ABCDEFG / ADE 💐

  --------------

اَلَمۡ  تَرَ کَیۡفَ فَعَلَ رَبُّکَ  بِاَصۡحٰبِ الۡفِیۡلِ 

Have you not considered how your Lord dealt with the companions of the Elephant ?

Surah Feel 105: 1

 -------

فَقَالَ لَہُمۡ رَسُوۡلُ اللّٰہِ نَاقَۃَ اللّٰہِ وَ سُقۡیٰہَا 

And the messenger of Allah (Salih) said to them do not harm the She Camel of Allah and prevent her from her drink. 

Surah Shams 91: 13

 -------

وَ تَحۡسَبُہُمۡ اَیۡقَاظًا وَّ ہُمۡ رُقُوۡدٌ ٭ۖ وَّ نُقَلِّبُہُمۡ ذَاتَ الۡیَمِیۡنِ وَ ذَاتَ الشِّمَالِ ٭ۖ وَ کَلۡبُہُمۡ بَاسِطٌ ذِرَاعَیۡہِ  بِالۡوَصِیۡدِ ؕ لَوِ اطَّلَعۡتَ عَلَیۡہِمۡ لَوَلَّیۡتَ مِنۡہُمۡ فِرَارًا  وَّ  لَمُلِئۡتَ مِنۡہُمۡ  رُعۡبًا  

And you would think them awake while they were asleep and we turned to the right and to the left while their Dog stretched his forelegs  at the entrance.
Surah Kahaf 18:18
 -------

مَثَلُ الَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ اَوۡلِیَآءَ کَمَثَلِ الۡعَنۡکَبُوۡتِ   اِتَّخَذَتۡ بَیۡتًا وَ اِنَّ  اَوۡہَنَ الۡبُیُوۡتِ لَبَیۡتُ الۡعَنۡکَبُوۡتِ ۘ  لَوۡ  کَانُوۡا  یَعۡلَمُوۡنَ 

Ths example of those who take allies other than Allah is like that of the Spider who takes a home.And indeed the weakest of the home is the Spider if  they only knew .

Surah Ankaboot 29: 41

----------

حَتّٰۤی  اِذَاۤ  اَتَوۡا عَلٰی وَادِ  النَّمۡلِ ۙ قَالَتۡ نَمۡلَۃٌ  یّٰۤاَیُّہَا النَّمۡلُ ادۡخُلُوۡا مَسٰکِنَکُمۡ ۚ لَا یَحۡطِمَنَّکُمۡ  سُلَیۡمٰنُ  وَ جُنُوۡدُہ وَ ہُمۡ  لَا یَشۡعُرُوۡنَ 

 Untill when they came upon the valley of the Ants, an Ant said, Oh Ants! enter your dwellings that you not be crushed by Solomon and his soldiers while they perceive not.
Surah Namal 27 : 18

----------

فَلَمَّا عَتَوۡا عَنۡ مَّا نُہُوۡا عَنۡہُ قُلۡنَا لَہُمۡ   کُوۡنُوۡا  قِرَدَۃً  خٰسِئِیۡنَ 

So when they were insolent about that which they had been forbidden , we said to them  "Be apes, despised.
Surah A'raaf 7: 166

------------

فَبَعَثَ اللّٰہُ غُرَابًا یَّبۡحَثُ فِی الۡاَرۡضِ لِیُرِیَہ کَیۡفَ یُوَارِیۡ سَوۡءَۃَ اَخِیۡہِ   

Then Allah sent a Crow searching in the ground to show him how to hide the disgrace of his brother.
Surah Maeeda 5:  31

------------

1. Feel : 105 (Elephent)

2. Surah Ankaboot 29: (Spider)

3. Surah Namal 27:( Ant)

Tuesday, February 23, 2021

Hadith: Jab koi gunah krta hai to Farishta 6 ghante tak bande ki tauba ka intezar karte hain

 




Bismillahirrahmanirraheem

Hadith: Jab koi gunah krta hai to Farishta 6 ghante tak bande ki tauba ka intezar karte hain
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya bahine taraf wala Farishta chey (6) ghadiyan (ghante) musalman khatakar ya gunahgar bande se qalam uthaye rakhta hai agar wo sharmsar ho jaye aur tauba kar le to qalam rakh deta hai (Yani us gunah ko nahi likhte) warna ek burayee likh deta hai
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بائیں بازو والا فرشتہ چھ گھڑیاں (گھنٹے) مسلمان خطاکار یا گناہ گار بندے سے قلم اٹھائے رکھتا ہے، اگر وہ شر مسار ہو جائے، اور توبہ کرلے تو قلم 
رکھ دیتا ہے،(یعنی اس گناہ کو نہیں لکھتا) وگرنہ ایک برائی لکھ دیتا ہے
سلسلہ صحیحہ ٣١٢٢ 
-----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बायें तरफ वाला फ़रिश्ता 6 घड़ियाँ (घंटे ) मुसलमान ख़ताकार या गुनाहगार बांसे से कलम उठाये रखता है अगर वो शर्मसार हो जाए और तौबा कर ले तो कलम रख देता है (यानि उस गुनाह को नहीं लिखता है) वरना एक बुराई लिख देता है
सिलसिला सहीह - 3122
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Verily, the angel on the left side will raise his pen over the error or sin of a Muslim servant for six hours. If he sincerely regrets it and seeks forgiveness from Allah, the angel will throw it aside. Otherwise, he will record it as one sin
Al-Silsila As-sahiha-3122



✦ : Hadith: Juma ko Surah Al-Kahaf padhne ki fazilat

 











Bismillahirrahmanirrahim

✦ : Hadith: Juma ko Surah Al-Kahaf padhne ki fazilat
-------------------
✦ : Rasool-Allah sallallahu Alaihi wassllam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta 
rahega 
Sahih Al jamee 6470, Mustadrak Hakim 3392-Sahih

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jisne Juma ke din surah kahaf padhi uske qadmon ke neeche se le kar asman tak noor paida hota hai jo 
Qayamat ke din uske liye roshan hoga aur uske dono juma ke darmiyan wale gunah maaf kar diye jate hai
Al-Targheeb wa’l-Tarheeb, 1/298-Hasan

✦ :Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jisne Juma ki raat (yani jumerat aur juma ke beech ki raat) surah kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai 
Saheeh Al-Jaami, 6471
Al Baihiqi, Subbul Iman, 2231-Hasan
--------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلّم نے فرمایا جو ( مسلمان ) جمه كے دن سورۃ الکہف کی تلاوت کرے تو اس کے لیے اِس جمه سے اگلے جمه تک اک نور چمکتا رہیگا 
حاکم ٣٣٩٢ - صحیح 
صحیح ال جمعی ٦٤٧٠ 

رسول الله صلی اللہ علیہ وسلّم نے فرمایا  جس نے جمعہ کے دن سورۃ الکھف پڑھی اس کے قدموں کے نیچے سے لیکر آسمان تک نور پیدا ہوتا ہے جو قیامت کے دن اس کے لیے روشن ہوگا اور اس دونوں جمعوں کے درمیان والے گناہ معاف کردیۓ جاتے ہیں 

رسول الله صلی اللہ علیہ وسلّم نے فرمایا  جس نے جمعہ کی رات (یعنی جمعرات اور جمہ کے درمیانی رات ) سورۃ الکھف پڑھی اس کے اور بیت اللہ کے درمیان نورکی روشنی ہوجاتی ہے
صحیح الجامع ٦٤٧١
سنن دارمی ٣٤٠٧-صحیح
شعب الإيمان للبيهقي ٢٢٣١-حسن
------------------
✦ : रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया  जो (मुसलमान) जुमा के दिन सुराह अल-कहफ़ की तिलावत करे तो उसके लिए इस जुमा से अगले जुमा तक एक नूर चमकता रहेगा 
मुस्तदरक हाकीम 3392-सही
सही अल जामीअ 6470

✦ : रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जिसने जुमा के दिन सुरह कहफ़ पढ़ी उसके क़दमों के नीचे से ले कर आसमान तक नूर पैदा हो जाता है जो क़यामत के दिन उसके लिए रोशन होगा और उसके दोनों जुमों के दरमियाँ वाले गुनाह माफ़ कर दिए जाते हैं 

✦ : रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जिसने ज़ूमा की रात ( यानि जुमेरात और जुमा के बीच की रात) सुरह कहफ़ पढ़ी उसके और बैतुल्लाह (काबा) के दरमियाँ नूर की रोशनी हो जाती है ( 
सही अल-जामेअ , 6471, सुनन अल-दारिमी, 3407-सही
अल बैहिक़ी, शुअब अल-ईमान, 2231-हसन
-------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said  Whoever reads Surah Al-Kahf on the day of friday, will have a light that will shine for him
 from one Friday to the next friday
Al-Haakim, 2/399;- Sahih
 Saheeh Al-Jaami, 6470

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: Whoever reads Surah Al-Kahf on the day of Friday a light will shine for him from under his feet to the clouds of the sky, which will shine for him on the Day of Qayamah and his Sins between the two Fridays will be forgiven for him
Al-Targheeb wa’l-Tarheeb, 1/298-Hasan

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Whoever reads Surah Al-Kahf on the night of Friday (means the night between thrusday and friday) , will have a light that will stretch between him and the baitullah (Kabah)
 Saheeh Al-Jaami, 6471
Al Baihiqi, Subbul Iman, 2231-Hasan








Monday, February 22, 2021

✦: Al Quran : Beshak jo log kafir hain unke maal aur unki Aulad Allah ke muqable mein hargiz kaam nahi aaayenge

 






Bismillahirrahmanirraheem

✦: Al Quran : Beshak jo log kafir hain unke maal aur unki Aulad Allah ke muqable mein hargiz kaam  nahi aaayenge aur wo log 
Dozakh ka indhan hain
Surah Aal-e-Imran 3:10
-----
القرآن : بے شک جو لوگ کافر ہیں ان کے مال اور ان کی اولاد  الله کے مقابلے میں ہر گز کام نہیں آئیں گے اوروہ لوگ دوزخ کا ایندھن ہیں
سورة آل عمران آیت : ١٠ 
-----
✦: अल कुरान : बेशक जो लोग काफ़िर हैं उनके माल और उनकी औलाद अल्लाह के मुकाबले में हरगिज़ काम नहीं आयेंगे और वो लोग दोज़ख के इंधन हैं 
सुरह आल ए इमरान 3 :10
-----
Al Quran : Indeed, those who disbelieve - never will their wealth or their children avail them against Allah at all. And it is they who are fuel for the Fire.
Surah Aal-e-Imran 3:10



❗Only-Quran-Hadith Quiz 1300 ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1300* ❗

Sawal 1 : Wo kaunsa shahar hai jiske liye farmaya gaya tha ki ye dusre shaharo ko kha jayega ?

Sawal 2 : RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ki  Wiladat ke waqt unki walida ke jism se jo noor nikla tha uske ujale ne kaha tak ke mahlo ko munawwar kar diya tha ?

A. Turkey

B. Rom

C. Makka

D. Madina

E. Busra

F. Khurasan

G. inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1300* ❗


Quiz 1 : For which city it has been said that It will swallow other towns ?


Quiz 2 : At the time of the birth of RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam his mother saw a light came out of her ,that light illuminated the palaces of which city ?

A. Turkey

B. Rom

C. Makka

D. Madina

E. Busra

F. Khurasan

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: DE💐✅*

-----

✦:RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Mujhe ek Aise Shahar (ki taraf Hijrat) ka Hukm hua hai jo dusre Shaharo ko kha le ga. (Yani Sabka Sardar Bane Ga) Munafiqeen ise Yasrab kahte hain lekin iska haam Madinah hai woh (bure) logo ko is tarah bahar kar deta hai jis tarah bhatti lohe ke zang ko nikal deti Hai
Sahih Bukhari-1871

✦: Ibn ishaq Radi Allahu Anhu ne bahut se Ashab-e-Rasool sallallahu alaihi wasallam  se rivayat kiya hai ki unhoney kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam aap humein apne baare mein bataeeye , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main apne walid Ibrahim (Alaihi Salam) ki Dua aur Isa (Alaihi Salam) ki bashaarat hu aur meri Walida ne haalat-e-hamal mein dekha ki unke jism se ek noor nikla jisne mulk e sham mein busra ke mahlo ko roshan kar diya

Al-Hakim, Jild 2 # 2006-Sahih

ibn ishaq Jild 1 , #175-Sahih


*💐✅ Sahi Jawab: DE💐✅*

-----

✦: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said, I was ordered to migrate to a town which will swallow (conquer) other towns and is called Yathrib and that is Medina, and it turns out (bad) persons as a furnace removes the impurities of iron.

Sahih Bukhari Book 30, Hadith 95


✦: It has been narratd by ibn ishaq that the Companions of the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) said O Messenger of Allaah, tell us about yourself. He said: I am the answer to the prayer of the father Ibraaheem Alaihi salam, and the glad tidings of Eesa Alaihi salam, and when my mother became pregnant with me, she saw something as if a light came out of her and illuminated the palaces of Busra in the land of Syria.
Al-Hakim, Jild 2 # 2006-Sahih

ibn ishaq Jild 1 , #175-Sahih

Sunday, February 21, 2021

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1299 ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1299* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Wo kya kya hain jo Qayamat ke din tak aapas mein jhagda karte rahte hain  ?*

A. Sila Rahmi

B. Shifa

C. Dua

D. Taqdeer

E. Museebat

F. Beemari

G. Maut

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1299* ❗

*Answers are more than one*

*Quiz  :  Who keep fighting untill Qayamah ?*

A. Keeping Good relation (Sila rahmi)

B. Treatment (Shifa)

C. Supplication (Dua)

D. Destiny

E. misfortune 

F. Disease

G. Death

H. Oh Allah increase my knowledge

*💐✅ Sahi Jawab: CE💐✅*

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Ehtiyat karna Taqdeer ke muqable mein koi fayda nahi deta ( yani jo likha hota hai wo ho kar rahta hai) aur dua nazil shuda aur baad mein nazil hone wali tamam museebaton mein nafa dene wali cheez hai aur beshak museebat nazil hoti hai to uska dua ke sath wasta padta hai to wo dono museebat aur dua qayamat ke din tak ladte rehte hai ( Yani Dua us museebat ko uske upar aane se rokti hai jo us se bachne ki dua mangta hai)

Saheeh Al-Jaami  7739 - Hasan

*💐✅ Answer: CE💐✅*
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said: No precaution can protect against the decree of Allaah. Du’aa  is beneficial with regard to what has been decreed and what has not been decreed. The du’aa’ meets the calamity that has been decreed and keep fighting with it, until the Day of Qayamah

Saheeh al-Jaami  7739 - Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1298 ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1298* ❗

Sawal 1 : Wo kaunse Sahabi hain jo Makka ke logo ke liye Qabr ki khudayee kiya karte they ?

Sawal 2 : RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ki tadfeen ke liye Qabr mubarak kaunse khushnaseeb sahabi ne khodi thi ?

A. Abu Ubaidah bin Al Jarrah 

B. Saad bin Muadh

C. Dihyah Al Kalbi 

D. Abu Talhah

E. Abu Bakr Siddiq

F. Muaaz bin jabal 

(Radi Allahu Anhuma)

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1298* ❗


Sawal 1 : Who used to dig the grave for the people of makka ?

Sawal 2 : Who Dig the grave of RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ?

A. Abu Ubaidah bin Al Jarrah 

B. Saad bin Muadh

C. Dihyah Al Kalbi 

D. Abu Talhah

E. Abu Bakr Siddiq

F. Muaaz bin jabal 

(Radi Allahu Anhuma)

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: AD💐✅*

-----

Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Jab Sahaba Kiram Radi Allahu Anhum ne RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ke liye Qabr khodne ka Irada kiya to, Abu Ubaida Bin Al Jarrah Radi Allahu Anhu ko Bulwa bhejha woh Makka walo ki Sandooqi Qabr khodte the , Abu Talha Radi Allahu Anhu ko bhi Bulwa bhejha woh Madineh walo ki Baghli Qabr khodte the Sahaba Kiram Radi Allahu Anhum ne Dono ke Pass Qasid Bhejh diye, Aur Dua ki ke Eh Allah! Tu Apne Rasool Sallallahu Alahih Wasallam ke liye Behtar Ikhtiyar farma, Bil aakhir Abu Talha Radi Allahu Anhu mile aur unko Laya Gaya.

Musnad Ahmad 39-Sahih


*💐✅ Answer: AD💐✅*

-----
It was narrated that Ibn 'Abbas said: When they wanted to dig a grave for the Messenger of Allah (ﷺ), Abu 'Ubaidah bin al-Jarrah used to dig graves in the manner of the people of Makkah and Abu Talhah Zaid bin Sahl used to dig graves for the people of Madinah, and he would make a niche in the side of the grave. Al-'Abbas called two men and said to one of them, Go to Abu ‘Ubaidah; and to the other he said, Go to Abu Talhah. O Allah, choose for Your Messenger. The one who had been sent to Abu Talhah found him, so he came and dug a grave with a niche in its side for the Messenger of Allah (ﷺ).
Musnad Ahmad 39-Sahih

Wednesday, February 17, 2021

Rasool-Allah ﷺ kasrat se ye Azkar irshad farmate

 





 Bismillahirrahmanirraheem

Rasool-Allah ﷺ kasrat se ye Azkar irshad farmate

سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ  أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Subhanallahi wa bihamdihi 
Astagfirullahi watubuilaih
----
Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kasrat se ye farmaya karte they 
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ  أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Subhanallahi wa bihamdihi 
Astagfirullahi watubuilaih
Main Allah subhanahu ki pakeezgi bayan karta hu uski hamd ke sath,  Main Allah subhanahu se bakshish karta hu aur ussi ki taraf ruju karta hu 
---
حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا سے روایت کی ،  انہوں نے کہا :  رسول اللہﷺ کثرت سے یہ فرمایا کرتے تھے 
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ  أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
   میں اللہ کی پاکیزگی بیان کرتا ہوں اس کی حمد کے ساتھ ،  میں اللہ سے بخشش کا طلب گار ہوں اور اسی کی طرف رجوع کرتا ہوں ۔
---
A'isha Radi Allahu Anha reported Rasool-Allah Sallallahu Alaihih Wasallam recited often these words
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ  أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Subhanallahi wa bihamdihi 
Astagfirullahi watubuilaih
 Hallowed be Allah and with His praise, I seek the forgiveness of Allah and return to Him.
Sahih Muslim - 1088


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se zyada kisi ne ye alfaz nahi padhe

 






Bismillahirrahmanirraheem

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se zyada kisi ne ye alfaz nahi padhe
----
أستغفر الله، وأتوب إليه
Astaghfirullaha wa atubu ilaihi 
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai maine Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se zyada kisi shaks ko ye kalmat padhte huye nahi dekha

أستغفر الله، وأتوب إليه
Astaghfirullaha wa atubu ilaihi 
Main Allah Subhanahu se maafi chahata hu aur us se tauba karta hu
---
حضرت ابوہریرہ فرماتے ہیں :میں نے نبی کریمﷺسے زیادہ کسی شخص کو یہ کلمات پڑھتےہوئے نہیں دیکھا:
 ”أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ“
یعنی میں اللہ تعالیٰ سے معافی چاہتا اور اُس سےتوبہ کرتاہوں
---
Abu Hurayrah (may Allaah be pleased with him) said: I never saw anyone say

 ”أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ“
“Astighfir Allaah wa atoobu ilayh
(I ask Allaah for forgiveness and I repent to him)” more than the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him).
Sunan al-Kubra (6/118). 
Sahih ibn hibban 928



 

Al Quran : Wo hi to (Allah) hai jo jis tarah chahe maa ke pet mein tumhari Suratein banata hai





Bismillahirrahmanirraheem

هُوَ الَّذِي يُصَوِّرُكُمْ فِي الْأَرْحَامِ كَيْفَ يَشَاءُ
-----
Al Quran : Wo hi to (Allah) hai jo jis tarah chahe  maa ke pet mein tumhari Suratein banata hai
-----
وہی تو (الله) ہے جو جس طرح چاہے ماں کے پیٹ میں تمہاری صورتیں بناتا ہے
-----
वो ही तो (अल्लाह) है जो जिस तरह चाहे माँ के पेट में तुम्हारी सूरतें बनाता है
-----
It is He who forms you in the wombs however He wills
-----
Surah Aal-e-Imran 3 : 6




 

Hadith : Allah Subhanahu aur in duaon ke darmiyan koi hijab nahi hota hai

 





Bismillahirrahmanirraheem

Hadith : Allah Subhanahu aur in duaon ke darmiyan koi hijab nahi hota hai
----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya do duaein aise hai ke unke aur Allah subhanahu ke darmiyan koi hijab nahi hota, Mazlum ki dua aur kisi shakhs ki apne bhai ke liye uski gair mojudgi mein ki gayee dua 
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا دو دعائیں ایسی ہیں کہ ان کے  اور اللہ کے درمیان کوئی حجاب نہیں ہوتا مظلوم کی دعا اور کسی شخص کا اپنے بھائی کے لئے اسکی غیر موجودگی میں کی گئی دعا 
----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया दो दुआयें ऐसी हैं की उनके और अल्लाह सुबहानहु के दरमियान कोई हिजाब नहीं होता , मजलूम की दुआ और किसी शख्स का अपने भाई के लिए उसकी ग़ैर मोजुदगी में की गयी दुआ 
तबरानी , मुअज्जम अल कबीर 11232-सही 
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Two supplications have no barrier between them and Allah: the supplication of the oppressed, and the supplication of a man for his brother behind his back.
Tabrani, Al-Mu’jam al-Kabiir 11232 - Sahih
Al-Jami' as-Saghir - 4191



❗Only-Quran-Hadith Quiz 1297 ❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1297* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Inmein se kaun kaun se Azkar Quran mein hain ?*


A. Allahu Akbar Kabira

B. SubhanAllah

C. Astagfirullah

D. La ilaha illAllah

E. Alhamdulillah

F. Ma sha Allah

G.La Quwwata illa Billah 

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1297* ❗

*Answers are than one*

*Quiz : Which Azkar belong to Quranic Verses  ?*


A. Allahu Akbar Kabira

B. SubhanAllah

C. Astagfirullah

D. La ilaha illAllah

E. Alhamdulillah

F. Ma sha Allah

G.La Quwwata illa Billah 

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: BCD EFG💐✅*

-----

*سُبْحَانَ اللَّـهِ عَمَّا يَصِفُونَ *

Ye jo kuch byan karte hain Allah us se paak hai

Surah Saffat 37:159

-----

*وَاسْتَغْفِرُوا اللَّـهَ ۚ إِنَّ اللَّـهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ*

Aur Allah se mafi maango beshak Allah maaf karne wala aur raham karne wala hai

Surah Baqarah 2:199

-----

*فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا اللَّـهُ*

Jaan rakho ki Allah ke siwa koi mabud nahi

Surah Muhammed 47:19

-----

*الْحَمْدُ لِلَّـهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ*

Tamam tarifein Allah ke liye hai jo bada meharban aur nihayat raham karne wala hai

Surah fatiha 1:2

-----

*وَلَوْلَا إِذْ دَخَلْتَ جَنَّتَكَ قُلْتَ مَا شَاءَ اللَّـهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّـهِ*

Aur jab tum apne baag mein dakhil huye to Ma sha Allah La Quwwata illa Billah  kyu nahi kaha ?

Surah Al-Kahaf 18:39


*💐✅ Answer: BCD EF💐✅*

-----

*سُبْحَانَ اللَّـهِ عَمَّا يَصِفُونَ*

Exalted  is Allah about what they describe

Surah Saffat 37:159

-----

*وَاسْتَغْفِرُوا اللَّـهَ ۚ إِنَّ اللَّـهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ*

And ask forgiveness of Allah, indeed Allah is forgiving and Merciful 

Surah Baqarah 2:199

-----

*فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا اللَّـهُ*

So know , there is no God except Allah 

Surah Muhammed 47:19

-----

*الْحَمْدُ لِلَّـهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ*

All praise is due to Allah Lord of the Worlds

Surah fatiha 1:2

-----

*وَلَوْلَا إِذْ دَخَلْتَ جَنَّتَكَ قُلْتَ مَا شَاءَ اللَّـهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّـهِ*

And why did you when you entered your garden not say what Allah willed has occurred there is  no power except in Allah ?

 Surah Al-Kahaf 18:39


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1296 ❗


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1296* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Inmein se kaun kaun se jagah namaz pahdna mana hai ?*

A. Hamam

B. Qabristan

C. Jaanwaro ki Qurbani ki jagah

D. Aam Raasto mein

E. Kachra dalne ki jagah par

F. Kaba Sharif ke Andar

G. Kaba Sharif ki chhat par 

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1296* ❗

*Answers are more than one*

*Quiz : In Which places Salah (Prayer) is prohibited ?*


A. Washroom

B. Graveyard

C. The slaughtering area

D. The commonly used road

E. The dung heap

F. Inside the kaba

G. Above the Kaba

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: ABCDEG💐✅*

-------

✦:RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam ne saat Muqamat mein Namaz padhne se mana farmaya hai Kooda (Kachra) dalne ki jagah  mein, Muzabbih yani Jaanwaro ki qurbani ki jagah mein, Qabristan mein, Aam rasto par, Hamam (Ghusl khane) mein, Oont ke badhne ki jagah mein aur Kaba sharif ki chhat par

Jamia Tirmizi-346-Hasan


*💐✅ Answer: ABCDEG💐✅*

-------

✦:RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam  prohibited Salat from being performed in seven places: the dung heap, the slaughtering area, the graveyard, the commonly used road, the wash area, in the area that camels rest at, and above the House of Allah (the Ka'bah).
Jamia Tirmizi-346-Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1295❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1295❗

*Allah Subhanahu ne Quran mein farmaya وَتَرَى النَّاسَ سُكَارَىٰ  Wataran Nasa Sukara*

*Sawal 1 : Is Aayat mein Sukara kisko kaha gaya hai ?* 

A. Qayamat 

B. Dozakh 

C. Dozakh ka azab 

D. Qayamat ka azab 

E. Aalam e Burzakh 

F. Rooh 

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


*Sawal 2 : Logo ki ye halat kyu hogi ?*

A. Farishto ke zahir hone se

B. Hooro ke zahir hone se

C. Dozakh mein jane ki wajah se

D. Jannat mein jane ki wajah se

E. Pul Sirat ki Sakhti ki wajah se

F. Qayamat ke din ke Azab ki wajah se 

G. Inmein se koi nahi

H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1295❗

*Allah Subhanahu Said in Quran  وَتَرَى النَّاسَ سُكَارَىٰ  Wataran Nasa Sukara*

*Sawal 1 : What is Sukara in this verse ?* 

A. Qayamah

B. Hell

C. Punishment of Hell

D. Punishment of the day of Qayamah

E. The life of grave

F. Spirit (Rooh )

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*Sawal 2 : Why People will be in this condition ?*

A. After Seeing Angel

B. After Seeing Hoor

C. After Entering in Hell

D.After Entering in Paradise

E. Because of the Pul Sirat

F. Because of the punishment of Qayamah

G. None of the above

H. Oh Allah increase my knowledge


*💐✅ Sahi Jawab: GF💐✅*

-------

*Sukara - Madhosh , Nashe mein*

-------

Al Quran : Eh logo Apne Rabb  se daro Beshak Qayamat ka zalzala ek badi cheez hai , *Jis din* usey dekhoge har doodh pilane wali apne doodh peete ko bhul jayegi aur har hamal wali apna hamal gira degi aur tujhe log madhosh nazar aayenge magar woh  (haqeeqat mein) madhosh honge nahi lekin *Allah ka Azab sakht hoga* (Yani Qayamat ke din ka azab itna sakht hoga ki uski wajah se un par madhoshi chaa jayegi)

*Surah Al Hajj (22), 1-2*


*💐✅ Answer: GF💐✅*

-------

Sukara - intoxicated 

-------

Al Quran : O mankind, fear your Lord. Indeed, the convulsion of the final Hour (Qayamah) is a terrible thing. *On the Day* you see it every nursing mother will be distracted from that [child] she was nursing, and every pregnant woman will abort her pregnancy, and you will see the people [appearing] intoxicated while they are not intoxicated; but the punishment of Allah is severe. (2)

Surah Al Hajj (22), 1-2