❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1166* ❗
*Jawab ek se zyada hai*
*Sawal : Inmein se kaun kaun se naam Quran ki aayat mein mojud hain ?*
A. Zulekha
B. Zahrah
C. Aaminah
D. Munira
E. Jathimeen
F. Dhiyaa (Ziya)
G. Layyina
H. Rabbi Zidni ilmaa
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1166* ❗
*Jawab ek se zyada hai*
*Sawal :Which names are available in the Verse of Quran ?*
A. Zulekha
B. Zahrah
C. Aaminah
D. Munira
E. Jathimeen
F. Dhiyaa (Ziya)
G. Layyina
H. Rabbi Zidni ilmaa
*💐✅ Sahih Jawab BCDEFG 💐✅*
----------
Zahrah - Ronaq wali / Aaraeeysh wali - Surah Taha - 20:131
Aaminah - Aman wali -Surah Nahl -16:112
Munira - Chamakta hua - Surah Al-Furqan - 25:61
Jathimeen- Oondhe padhe huye- Surah Hud - 11:67
Dhiyaa (Ziya) - Roshan - Surah Yunus - 10:5
Layyina -Naram- Surah Taha - 20:44
*💐✅ Answer BCDEFG 💐✅*
----------
Zahrah - Splendor - Surah Taha - 20:131
Aaminah - Secure - Surah Nahl -16:112
Munira - Shining- Surah Al-Furqan - 25:61
Jathimeen- Fallen prone- Surah Hud - 11:67
Dhiyaa (Ziya) - A shining light -Surah Yunus - 10:5
Layyina - Soft - Surah Taha - 20:44
❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1165 ❗
*Sawal 1 : Wo kaunse sahabi hain jinke liye Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki mere baad unki naseehat ko mazbuti ke sath pakad lena?*
*Sawal 2 : Wo kaunse sahabi hain jinke liye Aap SallAllahu Waslalam ne farmaya ki mere baad unke raaste (tareeqe) par chalna ?*
A. Abdullah bin Masood
B. Ubai bin Kaab
C. Muaaz bin jabal
D. Abu Ubaidah bin Al jarrah
E. Ammar bin yasir
F. Saad bin Maaz
(Radi Allahu Anhum)
G. Inme se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1165* ❗
*Quiz 1 : For which sahabi RaoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam said hold fast his advice after me ?*
*Quiz 1 : For which sahabi RaoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam act upon the guidance of him after me ?*
A. Abdullah bin Masood
B. Ubai bin Kaab
C. Muaaz bin jabal
D. Abu Ubaidah bin Al jarrah
E. Ammar bin yasir
F. Saad bin Maaz
(Radi Allahu Anhum)
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
*💐✅ Sahih Jawab AE 💐✅*
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere baad sahaba Radi allahu anhuma mein se Abu bakr aur umar Radi Allahu Anhuma ki pairwee karna , aur Ammar Radi Allahu Anhu ke raste par chalna aur Abdullah ibn masood Radi allahu anhu ki naseehat ko mazbuti se pakad kar rakhna
Jamia Tirmizi, 3805-Hasan
*💐✅ Answer AE 💐✅*
------
Narrated Ibn Mas'ud that the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Take as examples the two after me from my Companions, Abu Bakr and 'Umar And act upon the guidance of Ammar, and hold fast to the advice of Ibn Mas'ud.
(Radi Allahu Anhum).
Jamia Tirmizi,Book 46, 3805-Hasan
✦ Hadith : Takleef dene wali cheez ko raaste se hata dena bhi iman ka hissa hai
-----
✦ Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya imaan ki 60 se kuch upar ya 70 hissey hain jismein sabse kam takleef dene wali cheez ko raaste se hata dena hai aur sabse ziyada La ilaha illAllah kahna hai aur haya bhi Imaan ka hissa hai
Sunan Ibn Majah, 57 -Sahih
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ایمان کے ساٹھ سے کچھ اپر یا ستر حصّے ہیں، ان میں سے سب سے کم تکلیف دینے والی چیز کو راستے سے ہٹا دینا ہے،اور سب سے
زیادہ لا إله إلا الله کہنا ہے، اور حیاء بھی ایمان کا ایک حصّہ ہے
سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۵۷ صحیح
-----
✦ रसूलअल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया ईमान की 60 से कुछ उपर या 70 हिस्से (बाब) हैं जिसमें सबसे कम, तकलीफ़ देने वाली चीज़ को रास्ते से हटा देना है और सबसे ज़ियादा ला ईलाहा ईलअल्लाह कहना है और हया भी ईमान का हिस्सा है
सुनन इब्न माजा - 57 -सही
-----
✦ Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam said Faith has sixty-some or seventy parts, the least of which is to remove a harmful thing from the road and the greatest of which is to say La ilaha illallah (none has the right to be worshipped but ALLAH) And modesty is a branch of faith.
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1164* ❗
*Jawab ek se zyada hain*
*Sawal : Wo kaun kaun see baatein hain jiska zikr karte huye Allah Subhanahu ne uski taraf se gawahi bhi di hai ?*
A. La ilaha illa Huwa
B. Murdo ko phir se zinda kiya jayega
C. Allah ne Quran ko Apne ilm se nazil kiya hai
D. Qayamat ka Azab bada sakht hai
E. Masjid Al Dirar banane wale jhuthe hain
F. Munafiq Jhuthe hain
G. Muhammad ﷺ ko logo ke liye Rasool banakar bheja hai
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1164* ❗
*Jawab ek se zyada hain*
*Sawal : What are those things, when Allah mentioned in Quran, he gave his witness too with those things ?*
A. There is no God except him
B. The dead will be raised up Alive again
C. Allah has sent down Quran with His Knowledge
D. The ounishment of the Qayamah is very severe
E. Those are liars who built Masjid Al Dirar
F. Hypocrites are liars
G. Muhammad ﷺ has been sent as a Messenger to mankind
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)
*💐✅ Sahih Jawab ACEFG 💐✅*
--------
Al Quran : *Allah subhanahu ne aur Farishton ne aur ilm walo ne gawahi di ke La ilaha illa Huwa (us Allah ke siwa koi maabood Nahi)* wahi insaf ka hakim hai Uske siwa koi aur mabood Nahi zaberdast hikmat wala hai
Surah Ale Imran 3:18
Al Quran : Aur ( Eh Mohammed Sallallahu Alahih Wasallam) *Humne aap ko logo ke liye Rasool bana kar bheja hai aur iss baat ka Allah hi gawah kafi hai*
Surah An-Nisa 4:79
Al Quran : Allah subhanahu ne jo (Quran) tum par nazil kiya hai uski nisbat *Allah gawahi deta hai ke usne apne ilm se nazil ki hai* aur farishtein bhi gawahi dete hain aur gawah toh Allah hi kaafi hai
Surah An-Nisa 4 : 166
Al Quran : Aur Jin logon ne nuqsan pauchane aur kufr karne aur muslmano mein nafrat dalne ke liye masjid (Al-Dirar) banayee hai aur un logon ke waste ghaat lagane jo Allah aur uske Rasool se pahle ladd chuke hain aur phir Qasmein khayee ke hamara maqsad to sirf bhalayee thi aur *Allah gawahi deta hai ke beshak wo jhute hai*
Surah At-Tawba 9 : 107
Al Quran : Jab Aap ke paas munafiq aate hain to kahte hain hum gawahi dete hai ke beshak Aap (Sallallahu Alahih Wasallam) Allah ke Rasool hai aur Allah janta hai ke beshak Aap Sallallahu Alahih Wasallam uske Rasool hai aur *Allah gawahi deta hai ke beshak munafiq jhute hain*
Surah Al-Munaafiqoon 63:1
*💐✅ Sahih Jawab ACEFG 💐✅*
--------
الله نے اور فرشتوں نے اور علم والوں نے گواہی دی کہ اس کے سوا اورکوئی معبود نہیں وہی انصاف کا حاکم ہے اس کے سوا اورکوئی معبود نہیں زبردست حکمت والا ہے
Surah Aal-i-Imran 3:18
اور (اے محمد ﷺ) ہم نے تم کو لوگوں کے لئے رسول بنا کر بھیجا ہے اور (اس بات کا) الله ہی گواہ کافی ہے
Surah An-Nisaa 4:79
الله نے جو (قرآن) تم پر نازل کیا ہے اس کی نسبت الله گواہی دیتا ہے کہ اس نے اپنے علم سے نازل کی ہے اور فرشتے بھی گواہی دیتے ہیں۔ اور گواہ تو خدا ہی کافی ہے
Surah An-Nisaa 4:166
اور جنہوں نے نقصان پہنچانے اور کفر کرنے اورمسلمانوں میں تفریق ڈالنے کے لیے مسجد (الضرار) بنائی ہے اورواسطے گھات لگانے ان لوگوں کے جو الله اور اس کے رسول سے پہلے لڑ چکے ہیں اور البتہ قسمیں کھائیں گہ ہمارا مقصد تو صرف بھلائی تھی اور الله گواہی دیتا ہے کہ بے شک وہ جھوٹے ہیں
Surah At-Tawba 9:107
جب آپ کے پاس منافق آتے ہیں تو کہتے ہیں ہم گواہی دیتے ہیں کہ بے شک آپ الله کے رسول ہیں اور الله جانتا ہے کہ بے شک آپ اس کے رسول ہیں اور الله گواہی دیتا ہے کہ بے شک منافق جھوٹے ہیں
Surah Al-Munaafiqoon 63:1
*💐✅ Answer ACEFG💐✅*
--------
Allah bears witness that There is no god except him, and the angels, and those having knowledge (also give this witness); (He always) maintains His creation in Justice. La ilaha illa Huwa (none has the right to be worshipped but He), the All-Mighty, the All-Wise.
Surah Aal-i-Imran 3:18
And We have sent you (O Muhammad SallAllaahu Alaihi Wasallam) as a Messenger to mankind, and Allah is Sufficient as a witness.
Surah An-Nisaa 4:79
But Allah bears witness to that which He has sent down (the Qur'an) unto you; He has sent it down with His Knowledge, and the angels bear witness. And Allah is All-Sufficient as a Witness.
Surah An-Nisaa 4:166
And as for those who Build up a mosque (Al Dirar) by way of harm and disbelief and to disunite the believers and as an outpost for those who warred against Allah and His Messenger aforetime, they will indeed swear that their intention is nothing but good. Allah bears witness that they are certainly liars.
Surah At-Tawba 9:107
When the hypocrites come to you , they say: "We bear witness that you are indeed the Messenger of Allah." Allah knows that you are indeed His Messenger, and allah bears witness that the hypocrites are liars indeed.
Surah Al-Munaafiqoon 63:1
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1163* ❗
*Jawab ek se zyada hain*
*Sawal : Wo kaun kaun si Surah hain jinmein Allah Subhanhu ne RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se uski (Allah ki) Kasam lekar aayat bayan karne ko kaha hai ?*
A. Surah Naml
B. Surah Yunus
C. Surah Hashar
D. Surah Saba
E. Surah Taghaabun
F. Surah Al-Hijr
G. Surah Maryam
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1163* ❗
*Jawab ek se zyada hain*
*Sawal : In which Surah Allah said to RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam to take his (Allah's) oath before describing the verse ?*
A. Surah Naml
B. Surah Yunus
C. Surah Hashar
D. Surah Saba
E. Surah Taghaabun
F. Surah Al-Hijr
G. Surah Maryam
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)
*💐✅ Sahi Jawab BDE 💐✅*
----
AL Quran : Phir Poochte hain kya waqai ye (Azaab) Sach hai.? Kaho (Mohammed SallAllahu Alaihi Wasallam) *Mere RABB ki Qasam* ye waqai Sach hai aur tum (Bhaag kar) Aajiz nahi kar sakoge.
Surah Yunus : 10:53
Al Quran : Aur kafir kahte hain ke (Qayamat ki ghadi) hum par nahi aayegi. Kah do (Mohammed SallAllahu Alaihi Wasallam) kyun nahi (aayegi) *Mere RABB ki Qasam* wo tum par zaroor aakar rahegi (Wo RABB) gaib ka janne wala hai.
Surah Saba : 34:03
Al Quran : Jo log Kafir hain unka sochna hai ki wo dubara hargiz nahi uthaye Jayenge, Kah do (Mohammed SallAllahu Alaihi Wasallam) Haan Haan *Mere RABB ki Qasam* tum zaroor Uthaye Jaoge phir jo kaam tum karte rahe ho wo tumhein Bataye jayeinge aur ye (Baat) Allah ke liye Aasaan hai.
Surah At-Taghaboon : 64:07
*💐✅ Answer BDE 💐✅*
----
Al Quran : And they ask you (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam) to inform them (saying): "Is it true (i.e. the torment and the establishment of the Hour - the Day of Resurrection)? Say: *Yes ! by my Lord* It is the very truth! and you cannot escape it!"
Surah Yunus : 10:53
Al Quran : Those who disbelieve say: "The Hour will not come to us. Say: *Yes, by my Lord* the All-Knower of the Unseen, it will come to you;
Surah Saba : 34:03
Al Quran : The disbelievers pretend that they will never be resurrected (for the Account). Say (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam): Yes ! *By my Lord* you will certainly be resurrected, then you will be informed of (and recompensed for) what you did; and that is easy for Allah.
Surah At-Taghaboon : 64:07
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz -1162* ❗
*Sawal 1 : Is ummat ke Munafiqo ki Aksariyat kin mein se hogi ?*
A. Jihad karne wale
B. Sadqa dene wale
C. Majliso mein baithne wale
D. Namaz padhne wale
E. Hijrat karne wale
F. Quran ke Qari
G. Inme se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
*Sawal 2 : Qayamat ke din Munafiqo ke jism ka kaunsa hissa sabse pahle unke khilaf gawahi dega ?*
A. Zuban
B. Aankh
C. Haath
D. Dil
E. Kaan
F. Sharmgah
G. Inme se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz -1162* ❗
*Quiz 1 : Most of the hypocrites in this nation are among whom ?*
A. The one who fights for the sake of Allah
B. The one who gives charity
C. The one who sits in the gathering
D. The one who prays
E. The one who Migrates
F. The one who Recites Quran
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)
*Quiz 2 : On the day of Qayamah, which part of his body will be witness against hypocrite ?*
A. Tongue
B. Eyes
C. Hand
D. Heart
E. Ears
F. Private parts
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)
*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*
*💐✅ Sahi Jawab FG 💐✅*
-----
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri Ummat ke aksar munafiq Qurra (Quran ke Qariyon mein se) honge
Musnad Ahmed - 8399-Sahih
Tafsir Ibn Kathir : Abu musa ashari radi allahu anhu se rivayat hai ki Kafiro aur munafiqo ko jab hisab ke liye bulaya jayega aur unke aamal unko pesha kiye jayenge to wo qasmein kha kha kar kahenge ki unhone ye sab nahi kiya , Eh Allah tere farishto ne wo likh diya hai jo maine nahi kiya , farishte kahenge tune falah falah din falah falah amal nahi kiya wo kahenge eh Allah teri ezzat ki qasam humne ye amal nahi kiya , phir unke munho par muhar laga di jayegi aur unke badan ke hisse gawahi denge , sabse pahle unki dahini raan (thigh) bolegi.
Tafsir Ibn kathir , Surah Fussailat (41) , Aayat 22-23
*💐✅ Answer FG 💐✅*
-----
RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Said Verily, most of the hypocrites in my nation are among the reciters of the Quran.
Musnad Ahmed - 8399-Sahih
Tafsir Ibn Kathir : Narrated by Abu Musa Radi allahu anhu that The disbeliever or the hypocrite will be called to account and his Lord will show him his deeds, but he will deny them and say, `O Lord, by Your glory, this angel has written about me something that I did not do.' The angel will say to him, `Did you not do such and such on such and such a day in such and such a place' He will say, `No, by Your glory O Lord, I did not do it.' When he does that, a seal will be placed over his mouth. The first part of his body to speak will be his right thigh. ( means first of all it will be witness against them
Tafsir Ibn Kathir , Surah Fussilat ,verse 22-23
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz -1161* ❗
*Sawal 1 : Al-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem kisko kaha gaya tha ?*
*Sawal 2 : Malakun Kareem kisko kaha kaha gaya tha ?*
A. Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam
B. Adam Alaihi Salam
C. Jibril Alaihi salam
D. Ibrahim Alaihi Salam
E. Yusuf Alaihi salam
F. Meekaeel Alaihi Salam
G. Inme se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz -1161* ❗
*Sawal 1 : Who is Al-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem ?*
*Sawal 2 : Who was told Malakun Kareem ?*
A. Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam
B. Adam Alaihi Salam
C. Jibril Alaihi salam
D. Ibrahim Alaihi Salam
E. Yusuf Alaihi salam
F. Meekaeel Alaihi Salam
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)
*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*
*💐✅ Sahih Jawab EE 💐✅*
----
Al Quran : Jab usne (Zulekha ne) un aurton ki baatien suni to unke paas dawat ka paigam bheja aur unke liye ek mehfil rakhi aur ( phal kaatne ke liye) har ek ko ek churi di aur ( Yusuf Alahih salam) se kaha ke unke samne bahar aao jab aurton ne unko dekha to unka husn un par aisa chaa gaya ke (phal kat te kat te) apne haath kaat liye aur be sakhta bol uthi ke SubhanAllah (ye husn) ye admee nahi Malakun Kareem hai (yani Buzurg Farishta hai)
Surah Yusuf 12:31
✦ Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Al-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem
Yusuf bin Yaqub bin ishaq bin Ibrahim Alaihi salam hain
Sahih Bukhari 3382
*💐✅ Answer EE 💐✅*
-----
✦ Al Quran : So when she heard of their accusation, she sent for them and prepared a banquet for them; she gave each one of them a knife (to cut the foodstuff with), and she said [(to Yusuf (Joseph)]: "Come out before them." Then, when they saw him, they exalted him (at his beauty) and (in their astonishment) cut their hands. They said: How perfect is Allah (or Allah forbid)! No man is this! This is none other than a Malakun Kareem (Noble Angel)
Surah Yusuf 12:31
✦ Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam said Al-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem Ibn-Kareem is Yusuf bin Yaqub bin ishaq bin Ibrahim Alaihi salam Sahih Bukhari, Book 55, Hadith 596
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz -1160* ❗
*Pahle sawal mein jawab ek se zyada hai*
*Sawal 1 : Kisko maarne se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mana farma diya tha ?*
*Sawal 2 : Kisko maarna kufr hai ?*
A. Mendak
B. Kawwa
C. Tidda
D. Billi
E. Chuha
F. Ababil
G. Inme se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz -1160* ❗
*The first quiz has more than one answer*
*Quiz 1 : To whom Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam forbad to kill ?*
*Quiz 2 : Killing to whom is disbelief (Kufr) ?*
A. Frog
B. Crow
C. Locust (Tidda )
D. Cat
E. Rat
F. Ababil (Flock of Bird)
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my my knowledge)
*💐✅Sahih Jawab AC/G 💐✅*
----
✦ Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tiddi ko Qatl na karo kyu ke wo Allah subhanahu ke Azeem lashkaro mein se ek lashkar hai
Al-Silsila-tus-Sahiha - 3209
✦ Ek tabib ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se mendak ko dawa Mein istemal karne ke bare mein pucha toh innhein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne usay Marne se mana farmaya
Sunan Abi Dawud - 5269
✦ Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalmaan ko gaali dena fusuq ( bura kaam) hai aur musalman ko Qatl karna kufr hai
Sahih Bukhari, No. 48
*💐✅ Answer AC/G 💐✅*
----
✦ Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam said do not kill the Locust because its one of the soldiers of Allah among is soldiersAl-Silsila-tus-Sahiha - 3209
✦ Narrated AbdurRahman ibn Uthman When a physician consulted the Prophet (ﷺ) about putting frogs in medicine, he forbade him to kill them
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5249-Sahih
✦ Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam said said, Abusing a Muslim is Fusuq (an evil doing) and killing him is Kufr (disbelief).
Sahih Bukhari, Book 2, No. 47
✦ Hadith : Tum Kisi Cheez ko Allah ke darr ki wajah se chorh doge wo us se behtar ataa karega
----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tum Jab kisi cheez ko Allah subhanahu ke darr se chorh doge to Allah subhanahu us se behtar ataa farmayega
-----
آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا تم جب کسی چیز کو اللہ سبحانه کے ڈر سے چھوڑ دوگے تو اللہ سبحانه تم کو اس سے بہتر عطا فرماۓ گا۔
مسند احمد- ٨٩٤٤- صحیح
---
✦ रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया तुम जब किसी चीज़ को अल्लाह सुबहानहु के डर से छोड़ दोगे तो अल्लाह सुबहानहु उस से बेहतर अता फरमाएगा
मसनद अहमद 8944-सही
--
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Verily If you leave anything for the sake of Allah Subhanahu , then Allah will replace it with something better
✦ *Hadith: jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega*
------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uske kamo mein pareshaani daal dega ,aur uski muflisi dono aankho ke darmiyan kar dega, aur duniya usko utni hi milegi jitni uski taqdeer mein likhi hai, aur jo aakhirat ki fikr karega to Allah subhanahu uske sare kaam durust kar dega, aur uskey dil mein (duniya se) beparwahi daal dega aur duniya kisi bhi tarah uske paas aayegi
Sunan ibn Majah, Jild 3,986 –Sahih
Islam360-4105
------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جس شخص کو صرف دنیا کی فکر ہو تو اللہ تالا اس کے کاموں میں پریشانی ڈال دیگا
اور اسکی مفلسی دونو آنکھوں کے درمیان کر دیگا اور دنیا اسکو اتنی ہی میلیگی جتنی اسکی تقدیر میں لکھی ہو اور جو آخرت کی فکر کریگا تو اللہ اسکے سارے کام درست کر دیگا اور اس کے دل میں (دنیا سے) بے پرواہی ڈال دیگا اور دنیا کسی بھی طرح سے اسکے پاس آ ئے گی
سنن ابن ماجہ جلد ۳ ٩٨٦ صحیح
------
✦ रसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस शख्स को सिर्फ़ दुनिया की फ़िक्र हो तो अल्लाह सुबहानहु उसके कामों में परेशानी डाल देगा ,और उसकी मुफ़लिसी दोनो आँखो के दरमियान कर देगा , और दुनिया उसको उतनी ही मिलेगी जितनी उसकी तक़दीर में लिखी है, और जो आख़िरत की फ़िक्र करेगा तो अल्लाह सुबहानहु उसके सारे काम दुरुस्त कर देगा, और उसके दिल में (दुनिया से ) बे परवाही डाल देगा और दुनिया किस भी तरह उसके पास आएगी
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 3, 986
------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever is focused only on this world, Allah will confound his affairs and make him fear poverty constantly, and he will not get anything of this world except that which has been decreed for him. Whoever is focused on the Hereafter, Allah will settle his affairs for him and make him feel content with his lost, and his provision and worldly gains will undoubtedly come to him.
❗Only-Quran-Hadith Quiz 1159❗
*Jawab ek se zyada hai*
*Sawal : Inmein se wo kya hai jis ki wajah se insan ke pichle sare gunah bakhsh diye jate hain ?*
A. Hajj
B. Allah ki raah mein ek din Jihad
C. Islam lana (Revert to islam)
D. Chasht ki Namaz
E. Hijrat
F. Umrah
G. Ramzan ke roze
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)
❗*Only-Quran-Hadith Quiz -1159 *❗
*Answers are more than one*
*Quiz : Which deeds removes all previous sins ?*
A. Hajj
B. A Day of jihad in the way of Allah
C. Revert to Islam
D. Chasht / Duha Prayer
E. Hijrah (Migration in the way of Allah)
F. Umrah
G. Fasting of Ramadan
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my love)
*💐✅Sahih Jawaab : ACDEG💐✅*
-----------
✦ RasoollAllah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne Allah subhanahu ke liye is tarah Hajj kiya ki na koi fahash (buri) baat ki aur na koi gunaah to wo is tarah wapas aayega jaisey uski Maa ne usey abhi paida kiya ho ( yani gunaaho se bilkul paak)
Sahih Bukhari, Jild 2, 1521
✦ RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jo koi suraj nikalne ke baad khade hokar (ishraq ya chasht ke waqt) achchi tarah wuzu kare aur phir 2 rakat namaz padhe to uske sare gunah is taraf maaf kar diye jayenge jaise ki uski maa ne usko abhi paida kiya ho
Masnad Ahmed, 2250-Sahih
✦ Amru bin aas Radi Allahu Aahu se rivayat hai ki jab Allah Subhanahu ne mere dil mein islam mein dakhil hone ka khayal daal diya yo main RasoollAlah Sallallahu alaihi wasallam ke pass bait karne ke liye aaya aur Aap Sallallahu alaihi wasallam apna haath meri taraf phaila diya lekin us waqt maine kaha ki main us waqt tak aapki bait nahi karunga jab tak mere pichle gunah bakhsh nahi diye jate to is par Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Amru kya tu nahi janta ki hijrat pahle wale gunaho ko khatam kar deti hai , Amru kya tumhe ye ilm nahi ki Islam (mein dakhil hona) bhi pahle wale gunaho ko mita deta hai
Musnad Ahmed - 117-Sahih
✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramazan ke roze rakhe uske pichle sare gunah bakhsh diye jayenge
Sunan Ibn Majah, Jild 1 ,1641-Sahih
*💐✅Answer : ACDEG💐✅*
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Whoever gets up when the sun has risen (time of Ishraq or chasht) and does wudoo (Ablution) and does it well, then stands and prays two rakahs, he will be as free of his sins as the day his mother bore him
Masnad Ahmed, 2250-Sahih
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from all sins) as if he were born a new.
Sahih Bukhari, Book 26, Number 596
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said whoever fasts Ramadan out of faith and the hope of reward will be forgiven his previous sins
Sunan Ibn Majah, Book 7, 1641-Sahih
❗Only-Quran-Hadith Quiz 1158❗
*Surah Rahman mein Allah Subhanahu ne in lafzo ka zikr kiske liye kiya hai*
A. يَسْجُدَانِ - Yasjudan
B. بِحُسْبَانٍ - Bihusban
C. كَالدِّهَانِ- Kad-Dihan
D. مُدْهَامَّتَانِ - Mudhammatan
E. ذَاتُ الْأَكْمَامِ- Dhatul Akmam
F. يَلْتَقِيَانِ - Yaltaqiyan
G. كَالْأَعْلَامِ - Kal-Aa'lam
H. Sahi Jawab ka intezar hai
----------
1. Insan
2. Aasman
3. Samundar
4. Khajur ke darakht
5. Sitare aur Darakht
6. Jahaz
7. Suraj aur Chand
8. Hoorein
9. Inmein se koi nahi
❗Only-Quran-Hadith Quiz 1158❗
For which things Allah SUbhanahu mentioned below words In Surah Rhaman ?
A. يَسْجُدَانِ - Yasjudan
B. بِحُسْبَانٍ - Bihusban
C. كَالدِّهَانِ- Kad-Dihan
D. مُدْهَامَّتَانِ - Mudhammatan
E. ذَاتُ الْأَكْمَامِ- Dhatul Akmam
F. يَلْتَقِيَانِ - Yaltaqiyan
G. كَالْأَعْلَامِ - Kal-Aa'lam
H. Sahi Jawab ka intezar hai
----------
1. People
2. Heaven
3. Sea
4. Palm trees
5. Stars and trees
6. Ship
7. Sun and Monn
8. Hoorein
9. None of the above
*💐✅Sahih Jawaab : 5729436💐✅*
-----
وَالنَّجْمُ وَالشَّجَرُ *يَسْجُدَانِ*
*Sitare aur Darakht* Sajda kar rahe hain.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:06*
-----
الشَّمْسُ وَالْقَمَرُ *بِحُسْبَانٍ*
*Suraj aur Chaand* ek hisaab Muqarrar se chal rahe hai.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:05*
-----
فَإِذَا انشَقَّتِ السَّمَاءُ فَكَانَتْ وَرْدَةً *كَالدِّهَانِ*
Phir jab *Aasmaan* phatega aur laal Chamde ki tarah surkh hojayega.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:37*
-----
*مُدْهَامَّتَانِ*
*(Jannat ke) Do baag* jo bahut hi Ghane aur Sarsabz honge
*Surah Ar-Rahmaan - 55:64*
-----
فِيهَا فَاكِهَةٌ وَالنَّخْلُ *ذَاتُ الْأَكْمَامِ*
Usmein Mewe aur *Khajoor ke darakht* hai jinke khoshon par Ghilaaf hote hain.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:11*
-----
مَرَجَ الْبَحْرَيْنِ *يَلْتَقِيَانِ*
Usney do *Samundar* mila diye jo aapas mein milte hain.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:19*
-----
وَلَهُ الْجَوَارِ الْمُنشَآتُ فِي الْبَحْرِ *كَالْأَعْلَامِ*
Aur *Jahaaz* bhi usi ke hain jo Samundar me Pahadon ki tarah buland hain.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:24*
*💐✅ Correct Answer : 5729436💐✅*
-----
وَالنَّجْمُ وَالشَّجَرُ *يَسْجُدَانِ*
And the *Stars and Trees* prostrate.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:06*
-----
الشَّمْسُ وَالْقَمَرُ *بِحُسْبَانٍ*
The sun and the moon [move] by precise calculation.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:05*
-----
فَإِذَا انشَقَّتِ السَّمَاءُ فَكَانَتْ وَرْدَةً *كَالدِّهَانِ*
And when the *Heaven* is split open and becomes rose-colored like oil.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:37*
-----
*مُدْهَامَّتَانِ*
*(In the paradise thre will be) Two Gardens* , dark green and fresh.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:64*
-----
فِيهَا فَاكِهَةٌ وَالنَّخْلُ *ذَاتُ الْأَكْمَامِ*
Therein is fruit and *Palm trees* having sheaths [of dates].
*Surah Ar-Rahmaan - 55:11*
-----
مَرَجَ الْبَحْرَيْنِ *يَلْتَقِيَانِ*
He released the *Two Seas*, meeting [side by side].
*Surah Ar-Rahmaan - 55:19*
-----
وَلَهُ الْجَوَارِ الْمُنشَآتُ فِي الْبَحْرِ *كَالْأَعْلَامِ*
And to Him belong the *Ships* [with sails] elevated in the sea like mountains.
*Surah Ar-Rahmaan - 55:24*
-----
❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1157*❗
*Jawab ek se zyada hai*
*Kuch log Qaymat ke din pahado ke barabar nekiya lekar aayenge lekin wo qubul nahi ki jayegi*
*Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sahaba ko un logo ki kya nishaniya batayee thi ?*
A. Unke sir munde huye honge
B. Wo tumhari qaum mein se honge
C. Wo raato ko tumhari tarah ibadat karnege
D. Quran majid unke Halaq se neeche nahi utrega
E. Wo log musalmano ko Qatl karenge
F. Wo islam se is tarah bahar honge jaise teer hota
G. Wo Tanhayee mein haram kaam karnege
H. Sahi Jawab ka intezar hai
❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1157*❗
*Answers are more than one*
*Some People will come on the day of Qayamah with good deeds like the mountains but it will not be accepted*
*Sawal : What signs Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam informed to Sahaba about those people ?*
A. Their Heads will be shaven
B. They will be from your race
C. They will worship at night as you do
D. Quran will not go beyond their throats
E. They will kill the Muslims
F. They will go out from (leave) Islam as an arrow
G. They will transgress the limits of Allah while they are alone
H. I want to know
💐✅ *Sahi Jawab : BCG💐✅*
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya main apni ummat mein se aise logo ko janta hu jo Qayamat ke din Tihmaha ke pahadon ke barabar Nekiyan le kar aayenge Allah subhanahu unko fiza mein udate huye zarre ki tarha bana dega, Thawban Radi Allahu Anhu ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam un logo ka haal humse bayan farmaye aur khol kar bayan farmaye taake hum la-ilmi aur jhahlat ki wajah se unmein se na ho jaye Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jaan lo ke wo tumahare bhaiyon mein se hi hain aur tumahari Qaum mein se hain wo bhi raaton ko issi tarha ibadat karenge jaise tum ibadat karte ho lakin wo aise log hain ke jab tanhayee mein honge toh haram
kaam karenge
Sunan Ibn Maja : 4245-Hasan
💐✅ *Answer: BCG💐✅*
----
It was narrated from Thawban that the Prophet (ﷺ) said I certainly know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered dust. Thawban said: O Messenger of Allah, describe them to us and tell us more, so that we will not become of them unknowingly.
He said: They are your brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah.
Sunan Ibn Maja, Book 37, 4245-Hasan
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1156* ❗
*Pahle sawal mein jawab ek se zyada hai*
*Sawal 1 : Quran mein Al-Thaqalan (الثَّقَلَانِ) lafz kiske liye kaam mein laya gaya hai ?*
*Sawal 2 : Wo kya hai jisko Al-Marjan ki tarah (الْمَرْجَانُ) yani uski Misl kaha gaya hai ?*
*Sawal 3 : Quran mein Jaann (جَانٌّ) Lafz kiske liye use hua hai ?*
A. Insan
B. Farishte
C. Jinn
D. Hoorein
E. Jannat ka Libas
F. Moti (pearl)
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai
*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1156* ❗
*The First question has more than one answer*
*Sawal 1 : The word Al-Thaqalan (الثَّقَلَانِ) has been used for whom ?*
*Sawal 2 : What is like Al-Marjan (الْمَرْجَانُ) in Quran ?*
*Sawal 3 : The word (Jaan) جَانٌّ has been used for whom ?*
A. Men
B. Angels
C. Jinn
D. Hoor (Women of paradise)
E. The Dress of Paradise
F. Pearl
G. None of the above
H. I want to know
*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*
Bismillahirahmanirraheem
💐✅ *Sahi Jawab : AC / D / C💐✅*
----
*Note : Sawal ye nahi tha ki Al-Marjan ka matlab kya hai , bulki sawal ye tha ki Wo kya hai jisko Al-Marjan (Mungo) ki tarah kaha gaya hai aur wo hai jannat ki Auratein yani Hoorein*
----
سَنَفْرُغُ لَكُمْ أَيُّهَ الثَّقَلَانِ
----
Eh Jinn aur Insano (Dono jamato) ham tumhare liye jald hi farig ho jayege
Al Quran : 55:31
فِيهِنَّ قَاصِرَاتُ الطَّرْفِ لَمْ يَطْمِثْهُنَّ إِنسٌ قَبْلَهُمْ وَلَا جَانٌّ
فَبِأَيِّ آلَاءِ رَبِّكُمَا تُكَذِّبَانِ , كَأَنَّهُنَّ الْيَاقُوتُ وَالْمَرْجَانُ
----
Unmein Neechi Nigah wali Aurtein (Hoorein) hain, jinko Ahal-e-jannat se pahle na kisi insan ne haath lagaya aur na kisi Jinn ne to tum apne RABB ki kaun kaun see Naimato ko jhuthlaoge
Jaise ki wo (Horrein) Al-Yaqut (Moti) Aur Al-Marjan (Mungo) ki tarah hain
Al Quran : 55: 56-58
Bismillahirahmanirraheem
💐✅ *Answer : AC / D / C💐✅*
----
Note : The question was not, what is the meaning of Al Marjan but the Question was What is like Al-Marjan (Coral) in Quran and the correct answer is The women of paradise (Hoor)
----
سَنَفْرُغُ لَكُمْ أَيُّهَ الثَّقَلَانِ
----
We shall attend to you, O you two classes (jinn and men)!
فِيهِنَّ قَاصِرَاتُ الطَّرْفِ لَمْ يَطْمِثْهُنَّ إِنسٌ قَبْلَهُمْ وَلَا جَانٌّ
فَبِأَيِّ آلَاءِ رَبِّكُمَا تُكَذِّبَانِ , كَأَنَّهُنَّ الْيَاقُوتُ وَالْمَرْجَانُ
----
In them are women (Hoor) limiting [their] glances, untouched before them by man or jinni
So which of the favors of your Lord would you deny? -
As if they were rubies and coral.
✦ Do Kalme jo zuban par bahut halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain
----------
✦ Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Kalme jo zuban par bahut halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain aur jo Rahman ko bahut pyare hain hai wo ye hain
سبحان الله وبحمده سبحان الله العظيم
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
✦ Allah ki zaat paak hai aur tamam tarife usee ke liye hai
✦ Allah ki zaat paak hai aur wo sabse buland hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 6406
----------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا دو کلمے زبان پر بہت ہلکے ہیں اور میزان میں بہت بھاری ہیں اور رحمان کوبہت پیارے ہیں ، وہ یہ ہیں
سبحان الله وبحمده سبحان الله العظيم
الله کی ذات پاک ہے اور تمام تعریفیں اسے کے لئے ہیں
الله کی ذات پاک ہے اور وہ سب سے بلند ہے
صحیح البخاری جلد ٨، ٦٤٠٦
--------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया दो कलमे जो ज़ुबान पर बहुत हलके हैं और मीज़ान (तराजू) में बहुत भारी हैं और रहमान को बहुत प्यारे हैं , वो ये हैं
سبحان الله وبحمده سبحان الله العظيم
सुबहान अल्लाहि वा बिहम्दिही सुबहान अल्लाहिल अज़ीम
अल्लाह की ज़ात पाक है और तमाम तारीफ़े उसी के लिए हैं
अल्लाह की ज़ात पाक है और वो सबसे बुलंद है
सही बुखारी, जिल्द 8, 6406
---
✦ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said There are two expressions which are very easy for the tongue to say,
they are very heavy in the balance and they are very dear to then Rahman (ALLAH)
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦ Tarjumah : Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi , usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai
✦ Hadith : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne subah ke waqt 10 martaba ye kalimat padhe to Allah subhanahu ek martaba kahne se 10 nekiya likh dega , 10 burayeeya mita dega , aur uske 10 darjat buland kiye jayenge , aur ye kalimat uske liye 10 gardane (gulam) aazad karne ke barabar hoga (10 baar kahne se ye ajar 10 guna ho jayega) aur din ke shuru se lekar aakhir tak ye uska hathyar honge aur us din koi shakhs aisa amal nahi karega jo un kalimat se badh kar ho agar wo sham ke waqt ye kalimat padhe to bhi utna hi sawab hai
Al-Silsila-tus-Sahiha-2967-Hasan
Note : Ye sawab har ek martaba kahne se milega isliye jo 10 martaba kahega uska sawab10 guna ho jayega yani 100 gulam aazad karne ka sawab milega
-----
نبی ﷺ نے فرمایا جس شخص نے صبح کے وقت دس مرتبہ یہ کلمات کہے
اللہ کے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں، وہ اکیلا ہے اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لئے بادشاہت ہے اور اسی کے لئے تعریف ہے وہ زندہ کرتا ہے اور وہ مارتا ہے اور وہ ہر چیز پر قادر ہے۔
۔ اللہ تعالیٰ ایک مرتبہ کہنے سے دس نیکیاں لکھے گا، دس برائیاں مٹائے گا اور اللہ تعالیٰ دس درجات بلند کرے گا، اور یہ کلمات اس کے لئے دس گردنیں آزاد کرنے کے برابر ہونے ے، اور دن کی ابتدا سے لے کر انتہا تک اس کا ہتھیار ہوں گے ۔اور اس دن کوئی شخص ایساعمل نہیں کرے گا جو ان کلمات سے بڑھ کر ہو۔ اگر وہ شام کے وقت یہ کلمات کہے تو بھی اسی طرح ہے
سلسلہ صحیحہ ٢٩٦٧-حسن
تشریح : یہ ثواب ایک مرتبہ کہنے سے ملیگا اور جو ١٠ بار کہیگا اس کا ثواب ١٠ گنا ہو جائےگا یعنی ١٠٠ غلام آزاد کرنے کا ثواب ملیگا
✦ ला ईलाहा इल अल्लाह वाहदहू ला शरीका लहू, लहुल-मुल्क वा लहुल-हम्द, यूही वा युमीत वा हुवा अला कुल्ली शयइन क़दीर
✦ तर्जुमा : अल्लाह के सिवा कोई सच्चा माबूद नही है वो अकेला है और उसका कोई शरीक नही , उसी के लिए लिए बादशाहत है और उसी के लिए तारीफ है वो ही ज़िंदा करता है और वो ही मारता है और वो हर चीज़ पर क़ादिर है
✦ हदीस : रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस शख्स ने सुबह के वक़्त 10 मर्तबा ये कलीमात पढ़े तो अल्लाह सुबहानहु हर एक मर्तबा कहने से 10 नेकिया लिख देगा , 10 बुराईया मिटा देगा , और उसके 10 दरजात बुलंद किए जाएँगे , और ये कालीमत उसके लिए 10 गर्दने (गुलाम) आज़ाद करने के बराबर होगा (10 बार कहने से ये अजर 10 गुना हो जाएगा) , और दिन के शुरू से लेकर आख़िर तक ये उसका हथयार होंगे और उस दिन कोई शख्स ऐसा अमल नही करेगा जो उन कलीमात से बढ़ कर हो अगर वो शाम के वक़्त ये कलीमात पढ़े तो भी उतना ही सवाब है
अल-सिलसिला-अस-साहिहा-2967-हसन
नोट : ये सवाब हर एक मर्तबा कहने से मिलेगा इसलिए जो 10 मर्तबा कहेगा उसका सवाब 10 गुना हो जायेगा यानि 100 गुलाम आजाद करने का सवाब मिलेगा
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦There is no Lord except Allah , Alone with no partner, to Him belongs the dominion, and to Him is all the praise, He gives life and death, and He has power over all things
✦: Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu narrated that: Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever says these words ten times in the morning , for every one time Allah subhanahu will write 10 good deeds for him , Will wipe away 10 evil deeds and will raise 10 degrees for him, and these words will be equal for him as he has freed 10 captives ( if anybody say 10 times then this rewards will be ten fold) and it will be his weaopan from the beginning of the day untill the end of the day. and that day nobody will be able to do any deeds which is more better than this and if he say same words in the evening will get same rewards
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1155* ❗
Sawal 1 : Jis baat se Allah subhnahu ne mana kaha hai usko chorh dena kya kahlata hai ?
Sawal 2 : Apne Haath aur zuban se dusre musalmano ko mehfuz rakhna kya kahlata hai ?
A. Afzal Islam
B. Afzal Iman
C. Afzal Sadqa
D. Afzal Akhlaq
E. Afzal Hijrat
F. Afzal Sabr
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai
*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*
❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1155* ❗
*Quiz1 : To leave what Allah dislikes is called .....?*
*Quiz 2 : To protect the believers from our hand and tongue is called ....?*
A. Best Islam
B. Best Faith
C. Best Charity
D. Best Manners
E. Best Hijrah (emigration)
F. Best Patience
G. None of the above
H. I want to know
*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*
💐✅ *Sahih Jawab : EA💐✅*
------
Amr bin Absa Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke main Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke paas aaya aur kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam iss deen par kis shaks ne aap ki parwi ki hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Aazad aur Gulam ne ,
Maine kaha Islam kya hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya achchi baat karna aur Khana khilana,
Maine pucha imaan kya hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sabr aur darguzar,
*Maine pucha kaunsa Islam Afzal hai ?*
*Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jiske haath aur zuban se dusre musalman mehfooz rahe*
Maine pucha kaunsa Iman Afzal hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya achcha Akhlaq,
Maine kaha kaunsi Namaz Afzal hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya lambe qiyam wali,
*Maine kaha kaunsi Hijrat Afzal hai ?*
*Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis cheez ko tere RABB ne napasnd kiya usay chorh dena*
Maine kaha kaunsa Jihad afzal hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jismein (Mujahid ka) khoon bah nikle aur uska Ghoda bhi zakhmi ho jaye,
Maine kaha kounsa waqt afzal hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Raat ka Aakhri hissa
Al-Silsila As-Sahiha-3343
💐✅ *Answer : EA💐✅*
------
Narrated by Amr bin Absa Radi Allahu Anhu I asked to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam
Who follow you on this religion ? He said Every Freed and Slaves,
I said What is Islam ? He said speak good and feed
I said What is faith ? He said patience and not to argue (for useless matters)
I said Which is the best Islam ? He said to protect the believers from the Hands and tongue,
I said Which is the best faith , He said good manners,
I said Which is the best Prayer, He said the prayer with long Qayam (Standing),
I said Which is the best Hijarh (Emigration) , He said leaving the things (or deeds) which your Lord dislikes,
I said Which is the best Jihad , He said (That of a man) whose blood is shed and his horse is wounded.
I said Which is the best time , He said the last part of the night.
Al-Silsila-As-Sahiha - 3343
❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1154❗
*Sawal 1 : Wo Kaunsi Namaz hai jiski wajah se hamko dusri ummato par fazilat di gayee ?*
*Sawal 2 : Wo Kaunsi Namaz hai jo humse pahle ki ummat par farz thi lekin unhone isko zaya kar diya?*
A. Fajr
B. Dhuhar
C. Asar
D. Maghrib
E. Isha
F. Tahajjud
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai
*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*
❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1154❗
Quiz 1 : By which Prayer we have been made superior to all the peoples ?
Quiz 2 : Which prayer were obligatory for the previous ummah but they lost it?
A. Fajr
B. Dhuhar
C. Asar
D. Maghrib
E. Isha
F. Tahajjud
G. None of the above
H. I want to know
*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*
💐✅ *Sahih Jawab: EC* 💐✅
-----
Muadh ibn Jabal Radi Allahu Anhu se riwayat hai hum Isha mein Nabi Sallallahu Alahih Wasallam ka intezar kiya lekin Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne der ki yaha tak ke guman karne walo ne guman kiya ke Aap Sallallahu Alahih Wasallam nahi niklenge aur hum mein se kuch kahne wale ye bhi kah rahe they ke Aap Sallallahu Alahih Wasallam Namaz padh chuke hai hum ussi haal mein they ke Nabi Sallallahu Alahih Wasallam nikle logo ne Aap Sallallahu Alahih Wasallam se bhi wahi baat kahi jo pehle keh rahe they Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tum log iss namaz ko der kar ke padho kyu ke *tumhein iss namaz ki wajah se dusri ummaton par fazilat di gayee hai* tumse pehle kisi ummat ne ye namaz nahi padhi
Sunna Abu Dawud - 421-Sahih
Abu basra gaffari Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne hame mukhammas Maqam par *Namaz e Asar padhayee aur farmaya ye Namaz tumse pahle ummaton par farz ki gayee lekin unhone usay zaya kar diya* isliye jo bhi iss ki hifazat karega usay dugna sawab milega aur Uske baad sitara tulu hone ( Yani suruj gurub hone) tak koi Namaz Nahi
Sahih Muslim , jiild 2, 1927
💐✅ *Answer: EC* 💐✅
-------
Narrated Mu'adh ibn Jabal: We waited for the Prophet (ﷺ) to offer the night prayer. He delayed until people thought that he would not come out and some of us said that he had offered the prayer. At the moment when we were in this condition the Prophet (ﷺ) came out. People said to him as they were already saying. He said: Observe this prayer when it is dark, for by it you have been made superior to all the peoples, no people having observed it before you.
Sunan Abu Dawud, Book 2, 421-Sahih
Abu Basra Ghifari reported The Messenger of Allah (ﷺ) led us in the 'Asr prayer at (the place known as) Mukhammas, and then said: This prayer was presented to those gone before you, but they lost it, and he who guards it has two rewards in store for him. And no prayer is valid after till the onlooker appears (by onlooker is meant the evening star).
Sahih Muslim,Book 4, Hadith 1809
عَنْ أَبِي سَلاَّمٍ، خَادِمِ النَّبِيِّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ عَنِ النَّبِيِّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ " مَا مِنْ مُسْلِمٍ أَوْ إِنْسَانٍ أَوْ عَبْدٍ يَقُولُ حِينَ يُمْسِي وَحِينَ يُصْبِحُ رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا - إِلاَّ كَانَ حَقًّا عَلَى اللَّهِ أَنْ يُرْضِيَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ "
سنن ابن ماجہ ٣٨٧٠ حسن
Bismillahirrahmanirrahim
Jo is dua ko subah sham padhega to Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
-----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge .
Tarjumah : main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Hasan
Sahih Ibn Hibban , 870-Hasan
-----------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب کوئی مسلمان یا کوئی آدمی یا کوئی بندہ صبح و شام یہ کہتا ہے میں راضی ہوں اللہ کے رب ہونے، اسلام کے دین ہونے، اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم کے نبی ہونے سے تو اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کو ضرور خوش فرما دینگے
سنن ابن ماجہ جلد ٣ -٧٥١ - حسن
صحيح ابن حبان ٨٧٠
-----------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के खादिम, अबू सलाम रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो भी मुसलमान या इंसान (या बंदा) सुबह शाम ये कलिमात कहे
रदयतू बिल्लाहि रब्बन वा बिल-इस्लामी दीनन वा बी मुहम्मदीन नबीययन
तो अल्लाह सुबहानहु उसको क़यामत के दिन ज़रूर खुश फरमा देंगे
तर्जुमा : मैं राज़ी हूँ अल्लाह के रब होने पर, इस्लाम के दीन होने पर और मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के नबी होने पर
सुनन इब्न माजा, ज़ील्द 3, 751-हसन
सही इब्न हिब्बान , 870
------------------
✦ Hadith: The one who says below dua in the morning and evening he will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection
--------
✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said: "Any Muslim - or Any person, or Any slave (of Allah) - who says, in the morning and evening: