Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, June 13, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1153* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1153* ❗

*Ek baar ek sahabi ne Quran ki ek aisee aayat tilawat ki jisko sunne ke baad ek sahabi ne Allah ki kasam lekar farmaya ki logo ko aisa mehsus hua jaise unhe malum hi nahi tha ki ye aayat Qurna mein Allah ne nazil bhi farmayee hai* 

*Sawal 1 : Us Aayat mein kis baat ya kis cheez ka zikr tha ?*

A. Maal e Ganimat ki taqseem
B. Aisha radi Allahu Anha ki Pakizgi
C. Weerasat ki taqseem
D. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat ka
E. Masjid Al Dirar ko todne ka 
F. Qasas ka
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)


*Sawal 2 : Wo aayat kaunse sahabi ne padhi thi ?*

A. Zaid bin thabit Radi allahu anhu
B. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
C. Umar Radi allahu anhu
D. Abu Bakr Radi allahu anhu
E. ALi Radi allahu anhu
F. Ubay ibn Kaab Radi allahu anhu
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*



❗ *Only-Quran-Hadith Quiz-1153* ❗

*Once a Sahabi recited a verse of Quran after hearing that verse a sahabi said by Allah till now people never knew that Allah had revealed this verse*

Quiz 1 : In that verse what was mention ?

A. The distribution of Maal e Ganimah
B.  The innocence of Aisha radi Allahu Anha 
C. The distribution of bequest
D. The death of Prophet  Sallallahu Alaihi Wasallam
E.  The demolition of Masjid Al Dirar 
F.  The Retaliation  (Qasas )
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)


Quiz 2 : Who recited that verse ?

A. Zaid bin thabit Radi allahu anhu
B. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
C. Umar Radi allahu anhu
D. Abu Bakr Radi allahu anhu
E. Ali Radi allahu anhu
F. Ubay ibn Kaab Radi allahu anhu
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)

*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*

💐✅ *Sahih Jawab : DD💐✅*
-----------
Ibn Abbas Radi Allahu se rivayat hai ki ( Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat ke waqt) Abu Bakr Radi Allahu Anhu bahar tahsrif laye to Umar Radi Allahu Anhu us waqt logo se kuch baat kar rahe they , Abu Bakr Radi Allahu Anhu  ne unse farmaya ki baith jao lekin Umar radi allahu anhu nahi maane phir dobarah baithne ko kaha lekin phir bhi wo nahi mane aakhir Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kalma e shahadat padha to tamama majma aapki taraf mutwajja ho gaya aur umar radi allahu anhu ko chodh diya Aapne farmaya agar koi shakhs tum mein se Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam  ki ibadat karta tha to usko malum hona chahiye ki Muhammad  Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat ho chuki hai aur agar koi Allah Subhanahu ki ibadat karta tha to Allah Subhanahu baqi rahne wala hai wo kabhi marne wala nahi hai 

Allah Subhanahu ne Quran mein farmaya
وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٌ قَدْ خَلَتْ مِن قَبْلِهِ الرُّسُلُ ۚ أَفَإِن مَّاتَ أَوْ قُتِلَ انقَلَبْتُمْ عَلَىٰ أَعْقَابِكُمْ ۚ وَمَن يَنقَلِبْ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ فَلَن يَضُرَّ اللَّهَ شَيْئًا ۗ وَسَيَجْزِي اللَّهُ الشَّاكِرِينَ
Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam  Ek Rasool hain unse pahle bhi bahut Rasool guzar chuke hain agar unki wafat jo jaye ya unhe koi Qatl kar de to kya tum ulte paanw (islam se) phir jaoge aur jo koi ulte paanw phir jayega to Allah Subhanahu ka kuch bhi nahi bigad sakega aur Allah Subhanahu shukrguzaro ko sawab dega 
(3.144) 

Ye sunne ke baad Allah Subhanahu ki kasam aisa malum hua ki Abu bakr radi allahu anhu ke is aayat ki tilawat se pahle jaise logo ko malum hi nahi tha ki ye aayat bhi Allah Subhanahu ne Quran majid mein nazil farmayee hai ab tamam sahaba ne ye aayat aapse sikh li aur phir har shakhs ki zuban par yahi aayat thi
Sahih Bukhari, 1242
 

Answer DD
------------
Narrated Abu Salama from Ibn `Abbas : Abu Bakr came out and `Umar , was addressing the people, and Abu Bakr told him to sit down but `Umar refused. Abu Bakr again told him to sit down but `Umar again refused. Then Abu Bakr recited the Tashah-hud (i.e. none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is Allah's Messenger (ﷺ)) and the people attended to Abu Bakr and left `Umar. Abu Bakr said, "Amma ba'du, whoever amongst you worshipped Muhammad, then Muhammad is dead, but whoever worshipped Allah, Allah is alive and will never die. 
Allah said:
وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٌ قَدْ خَلَتْ مِن قَبْلِهِ الرُّسُلُ ۚ أَفَإِن مَّاتَ أَوْ قُتِلَ انقَلَبْتُمْ عَلَىٰ أَعْقَابِكُمْ ۚ وَمَن يَنقَلِبْ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ فَلَن يَضُرَّ اللَّهَ شَيْئًا ۗ وَسَيَجْزِي اللَّهُ الشَّاكِرِينَ
Muhammad is not but a messenger. [Other] messengers have passed on before him. So if he was to die or be killed, would you turn back on your heels [to unbelief]? And he who turns back on his heels will never harm Allah at all; but Allah will reward the grateful.
(3.144) 
The narrator added, "By Allah, it was as if the people never knew that Allah had revealed this verse before till Abu Bakr recited it and then whoever heard it, started reciting it.
Sahih Bukhari,Book 23, Hadith 333

1 comment:

  1. One of the best plateform to know about Quran, both in English and Urdu. The important verses of Quran e Majeed. I would like to say thank you for this amazing work. please keep working don't stop. best regard's pub quiz questions

    ReplyDelete