Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, June 15, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1155* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1155* ❗

Sawal 1 : Jis baat se Allah subhnahu ne mana kaha hai usko chorh dena kya kahlata hai ?

Sawal 2 : Apne Haath aur zuban se dusre musalmano ko mehfuz rakhna kya kahlata hai ?

A. Afzal Islam
B. Afzal Iman
C. Afzal Sadqa
D. Afzal Akhlaq
E. Afzal Hijrat
F. Afzal Sabr
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

*Note : Agar kisi ka Jawab G yani inmein se koi nahi ho to Sahi jawab jarur likhna*


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1155* ❗

*Quiz1 : To leave what Allah dislikes is called .....?*

*Quiz 2 : To protect the believers from our hand and tongue is called ....?*

A. Best Islam
B. Best Faith
C. Best Charity
D. Best Manners
E. Best Hijrah (emigration)
F. Best Patience
G. None of the above
H. I want to know

*Note : If you think answer is G (None of the above) then must write correct answer in comments*



💐✅ *Sahih Jawab : EA💐✅*
------
Amr bin Absa Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke main Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke paas aaya aur kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam iss deen par kis shaks ne aap ki parwi ki hai ? 
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Aazad aur Gulam ne , 

Maine kaha Islam kya hai ? 
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya achchi baat karna aur Khana khilana,

Maine pucha imaan kya hai ?  
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sabr aur darguzar,

*Maine pucha kaunsa Islam Afzal hai ?*
*Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jiske haath aur zuban se dusre musalman mehfooz rahe*

Maine pucha kaunsa Iman Afzal hai ? 
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya achcha Akhlaq,

Maine kaha kaunsi Namaz Afzal hai ? 
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  lambe qiyam wali,

*Maine kaha kaunsi Hijrat Afzal hai ?*
*Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis cheez ko tere RABB ne napasnd kiya usay chorh dena*

Maine kaha kaunsa Jihad afzal hai ?  
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jismein (Mujahid ka) khoon bah nikle aur uska Ghoda bhi zakhmi ho jaye,

Maine kaha kounsa waqt afzal hai ?
Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Raat ka Aakhri hissa
Al-Silsila As-Sahiha-3343


💐✅ *Answer : EA💐✅*
------
Narrated by Amr bin Absa Radi Allahu Anhu I asked to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam 
Who follow you on this religion ? He said Every Freed and Slaves, 
I said What is Islam ? He said speak good and feed
I said What is faith ? He said patience and not to argue (for useless matters)
I said Which is the best Islam ? He said to protect the believers from the Hands and tongue,
I said Which is the best faith , He said  good manners,
I said Which is the best Prayer, He said  the prayer with long Qayam (Standing),
I said Which is the best Hijarh (Emigration) , He said leaving the things (or deeds) which your Lord dislikes,
I said Which is the best Jihad , He said (That of a man) whose blood is shed and his horse is wounded.
I said Which is the best time , He said the last part of the night.
Al-Silsila-As-Sahiha - 3343

No comments:

Post a Comment