Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, June 25, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1163* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1163* ❗

*Jawab ek se zyada hain*

*Sawal : Wo kaun kaun si Surah hain jinmein Allah Subhanhu ne RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se uski (Allah ki) Kasam lekar aayat bayan karne ko kaha hai ?*

A. Surah Naml
B. Surah Yunus
C. Surah Hashar
D. Surah Saba
E. Surah Taghaabun
F. Surah Al-Hijr
G. Surah Maryam
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Ya Allah mere ilm mein barkat de)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1163* ❗

*Jawab ek se zyada hain*

*Sawal : In which Surah Allah said to RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam to take his (Allah's) oath before describing the verse ?*

A. Surah Naml
B. Surah Yunus
C. Surah Hashar
D. Surah Saba
E. Surah Taghaabun
F. Surah Al-Hijr
G. Surah Maryam
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my knowledge)



*💐✅ Sahi Jawab BDE 💐✅*
----
AL Quran : Phir Poochte hain kya waqai ye (Azaab)  Sach hai.? Kaho (Mohammed SallAllahu Alaihi Wasallam) *Mere RABB ki Qasam* ye waqai Sach hai aur tum (Bhaag kar) Aajiz  nahi kar sakoge.
Surah Yunus : 10:53

Al Quran : Aur kafir kahte hain ke (Qayamat ki ghadi) hum par nahi aayegi. Kah do (Mohammed SallAllahu Alaihi Wasallam) kyun nahi (aayegi) *Mere RABB ki Qasam* wo tum par zaroor aakar rahegi (Wo RABB) gaib ka janne wala hai.
Surah Saba : 34:03

Al Quran : Jo log Kafir hain unka sochna hai ki wo dubara hargiz nahi uthaye Jayenge, Kah do (Mohammed SallAllahu Alaihi Wasallam) Haan Haan *Mere RABB ki Qasam* tum zaroor Uthaye Jaoge phir jo kaam tum karte rahe ho wo tumhein Bataye jayeinge aur ye (Baat) Allah ke liye Aasaan hai.
Surah At-Taghaboon : 64:07


*💐✅ Answer BDE 💐✅*
----
Al Quran : And they ask you (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam) to inform them (saying): "Is it true (i.e. the torment and the establishment of the Hour - the Day of Resurrection)? Say: *Yes ! by my Lord* It is the very truth! and you cannot escape it!"
Surah Yunus : 10:53

Al Quran : Those who disbelieve say: "The Hour will not come to us. Say: *Yes, by my Lord*  the All-Knower of the Unseen, it will come to you; 
Surah Saba : 34:03

Al Quran : The disbelievers pretend that they will never be resurrected (for the Account). Say (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam): Yes ! *By my Lord* you will certainly be resurrected, then you will be informed of (and recompensed for) what you did; and that is easy for Allah.
Surah At-Taghaboon : 64:07

No comments:

Post a Comment