Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 31, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1075*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1075*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Wo kya cheez hai jisko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam dekh kar pareshan ho jate ?*

A. Bura Khwab
B. Tez Hawa
C. Badal
D. Zulm
E. Suraj Gahan (Sun Eclipse)
F. Chand gahan (Moon Eclipse)
G. Qabr
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1075*❗

*Answers are more than one*

*Sawal : What are those  things  if Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam see he would be tensed ?*

A. Bad dream
B. Wind
C. Clouds
D. Suppression
E. Sun Eclipse
F. Moon Eclipse
G. Grave
H. I want to know



✅ *Sahi Jawab BCE* 💐
------------
Aisha Radi Allahu Anna se riwayat hai Jab bhi Aap Sallallahu Alahih Wasallam badal ya hawa dekhte toh ( ghabraht aur Allah Subhanahu ka khauff)  Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke chehre Mubarak se pehchan liya jata Aisha Radi Allahu Anha ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se pucha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab log badal dekhte toh khush hote hain ke ham se barish barsegi lakin uske khilaf Aap ko dekhti  hu ke aap badal dekhte hai toh nagawari ka asar Aap ke chehre Mubarak par nazar aajata hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Eh Aisha (Radi Allahu Anha)  kya zamanat hai ke iss mein azab na ho ek qoum (aad)  par hawa ka azab aaya tha unhone jab azab dekha toh bole ye badal jo ham par barsega
Sahih Bukhari #4828, 4829

Abu Musa Radi Allahu Anhu se riwayat hai ek baar suraj grahan hua toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  bahut ghabra kar uthe iss dar se ke kahi Qayamat na qayam ho jaye Aap Sallallahu Alahih Wasallam  ne masjid mein aakr bahut hi lamba qiyam,  lamba ruku aur lambe sajdon ke sath namaz padhi main ne kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko iss tarha karte nahi dekha tha Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne namaz ke baad farmaya ke ye nishaniyan hain jinhein Allah Subhanahu  bhejta hai ye kisi ki maut aur hayat ki wajah se nahi aati balki Allah Subhanahu inn ke zariye apne bando ko darata hai isliye jab tum is tarah ki koi cheez dekho toh fauran Allah Subhanahu  ke zikr aur us se Astigfar  ki taraf aajao
Sahih Bukhari  # 1059



✅ *Answer BCE* 💐
-----
Narrated Aisha: (the wife of the Prophet Sallallahu Alahih Wasallam) whenever he saw clouds or winds, signs of deep concern would appear on his face. I said, "O Allah's Messenger Sallallahu Alahih Wasallam When people see clouds they usually feel happy, hoping that it would rain, while I see that when you see clouds, one could notice signs of dissatisfaction on your face." He Sallallahu Alahih Wasallam said, "O `Aisha! What is the guarantee for me that there will be no punishment in it, since some people were punished with a wind? Verily, some people saw (received) the punishment, but (while seeing the cloud) they said, 'This cloud will give us rain.' 
Sahih Bukhari, Book 60, 353

Narrated Abu Musa Radi Allahu Anhu The sun eclipsed and the Prophet Sallallahu Alahih Wasallam got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid by them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."
Sahih Bukhari,Book 18, 167


Kisi Manzil par utarne ya kisi jagah par thaharne ki Dua










Bismillahirahmanirraheem

Kisi Manzil par utarne ya kisi jagah par thaharne ki Dua
---
✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jo shaksh kisi manzil par utre phir kahe

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
Panah mangta hu main Allah ki,Pure kaimat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai 
to usko koi cheez us waqt tak nuksaan na pahuncha sakegi jab tak wo us jagah se na chala jaye 
Sahih Muslim, Jild 6, 6878 
--
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص کسی ( بھی ) منزل پر اترا اور اس نے یہ کلمات کہے:
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ 
 تو اس شخص کو اس منزل سے چلے جانے تک کوئی چیز نقصان نہیں پہنچائے گی۔ 
صحیح مسلم جلد ٦ حدیث ٦٨٧٨
----
✦ खौला बिन्त हकीम रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स किसी मंज़िल पर उतरे फिर कहे

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
आऊज़ु बी कालिमातिल्लाहित-त़ाम्माती मीन शर्री मा खलक़ 
(पनाह मांगता हूँ मैं अल्लाह की , पुरे कलमों के जरिये , हर उस चीज़ की बुराई से जो उसने पैदा की है )
तो उसको कोई चीज़ उस वक़्त तक नुकसान ना पहुँचा सकेगी जब तक वो उस जगह से ना चला जाए 
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6878 
---
✦ RasoolAlllah ﷺ  said:  When any one of you stays at a place (or destination) and he says these words 
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq 
--
I seek protection in the perfect words of Allah from every evil that He has created
Nothing would harm him until he moves from that place. 
Sahih Muslim,Book 35, Hadith 6542

Wednesday, January 29, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1074*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1074*❗

*Quran ke in lafzo ko unke mayno se milan kijiye - Match the following*

A. أَلَمْ تَرَ - Alam Tara
B. الضَّالِّينَ- Ad-Dallin
C. شَرِّ- Sharri
D. قُلْ -Qul
E. النَّاسِ- An-Nas
F. رَبُّكَ -Rabbuka 
G. الْفِيلِ- Al-Feel
H. Sahi Jawab ka intezar hai
----------
1. Tumhara RABB
2. Kya tumne nahi dekha
3. Kah do
4. Log
5. Jo Gumrah huye
6. Haathi
7. Burayee


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1074*❗

*Match the following Quranic Words with their Meanings*

A. أَلَمْ تَرَ - Alam Tara
B. الضَّالِّينَ- Ad-Dallin
C. شَرِّ- Sharri
D. قُلْ -Qhul
E. النَّاسِ- An-Nas
F. رَبُّكَ -Rabbuka 
G. الْفِيلِ- Al-Feel
----------
1. Your Lord
2. Have you Not Seen
3. Say
4. People / Humankind
5. Who are misguided
6. The Elephant
7. Evil


*Sahi Jawab 2573416*
-----
A2. أَلَمْ تَرَ - Alam Tara - Kya tumne nahi dekha
Surah Al-Feel-105:1
-----
B5. الضَّالِّينَ- Ad-Dallin - Jo Gumrha huye
Surah Al-Fatiha-1:7
-----
C7. شَرِّ- Sharri - Burayee
Surah An-Naas-114: 4
-----
D3. قُلْ - Qul - Kah do
Surah An-Naas-114:1
-----
E4. النَّاسِ- An-Nas - Log
Surah An-Naas-114:1
-----
F1. رَبُّكَ -Rabbuka - Tumhara RABB
Surah Al-Feel-105:1
-----
G6. الْفِيلِ- Al-Feel - Haathi
Surah Al-Feel-105:1



*Answer  2573416*
-----
A2. أَلَمْ تَرَ - Alam Tara - Have you not seen
Surah Al-Feel-105:1
-----
B5. الضَّالِّينَ- Ad-Dallin - Who are misguided
Surah Al-Fatiha-1:7
-----
C7. شَرِّ- Sharri - Evil
Surah An-Naas-114: 4
-----
D3. قُلْ - Qul - Say
Surah An-Naas-114:1
-----
E4. النَّاسِ- An-Nas - People
Surah An-Naas-114:1
-----
F1. رَبُّكَ -Rabbuka - Your Lord 
Surah Al-Feel-105:1
-----
G6. الْفِيلِ- Al-Feel - The Elephant
Surah Al-Feel-105:1


Tuesday, January 28, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1073*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1073*❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek muqam se guzar rahe they ki aapne kuch kalimat sune jo ek shaksh kah raha tha aur usko sunkar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us kalimat ke kahne walo ke liye khushkhabri sunayee

Sawal 1 : Wo kalimat kya they ?

A. La ilaha illAllah
B. SubhanAllah  Walhamdulillah  Wa lailaha illAllah  WallahuAkbar 
C. Subhan Al Malik Al Quddus, Rabbil-Arsh-il-Azeem
D. Ashhadu Alla ilaha illAllah, Wa Anna Muhammadan RasoolAllah
E. SubhanAllahi Wa Bihamdihi
F. Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Wo kalimat padhne wale ke liye kya khushkhabri hai ?

A. Shirk se bari ho jayega
B. Jannat mein ek ghar
C. Jannat mein Khajur ke ek darkht 
D. Allah us se razi ho jayega
E. Jannat mein mehman nawazi ki jayegi
F. Uske liye Noor ke Mimbar honge
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1073*❗

Once  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam was passing by the place and he heard somebody was saying some words , After hearing that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam gave good news for the one who will recite same words 

Sawal 1 :  What was those words ?

A. La ilaha illAllah
B. SubhanAllah  Walhamdulillah  Wa lailaha illAllah  WallahuAkbar 
C. Subhan Al Malik Al Quddus, Rabbil-Arsh-il-Azeem
D. Ashhadu Alla ilaha illAllah, Wa Anna Muhammadan RasoolAllah
E. SubhanAllahi Wa Bihamdihi
F. Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya
G. None of the above
H. I want to know

Sawal 2 :  What is the good  news for the one who will recite those words ?

A. Will be free from the shirk
B. A House in the paradise
C. A Date palm trees in the paradise
D. Allah will be pleased with him
E. He will be entertained in the paradise 
F. He will get the pulpit of Noor (light) in paradise
G. None of the above
H. I want to know


Sahi jawab DA
------
Yusuf bin Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu apne walid se bayan karte hai ke ham Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath jaa rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne wadi mai ek admee ko suna jo kah raha tha 
 أَشْهَدُ أَنَّ لا إِلَهَ إِلا اللهُ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ الله
Ashhadu Alla ilaha illAllah, Wa Anna Muhammadan RasoolAllah

(Main gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi maabood nahi aur Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hai) 
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Main bhi ye (dono) gawahi deta hu aur main bhi ye gawahi deta hu ke jis shaks ne bhi ye (dono) gawahi di to wo shirk se bari ho gaya yani shahdatein ki gawahi
Al Silsila Sahiha, 1130



Answer  DA
-----
 Abdullah bin salam narrates with his father that we were passing by a vally , Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam heard somebody is saying 
 أَشْهَدُ أَنَّ لا إِلَهَ إِلا اللهُ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ الله
Ashhadu Alla ilaha illAllah, Wa Anna Muhammadan RasoolAllah
I bear witness that there is no god except Allah and Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam is the messenger of Allah
after hearing this Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said I too bear witness the same and also I bear witness that the person who will give the same witness (recite the same words ) he will be free from shirk
Al Silsila Sahiha, 1130



Monday, January 27, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1072*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1072*❗

Ek Baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Dushmano ke liye Baddudua ki thi ki Allah unke Gharo ko aur Qabro ko aag se bhar de

Sawal 1 : Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Us Waqt Aisee Baddua kyu ki thi ?

A. Kyunki unhone Quran ke bahut sare Qariyo ko shaheed kar diya tha
B. Kyunki Unhone Hamza Radi Allahu Anhu ko Shaheed kar diya tha
C. Kyunki Unki wajah se Aap ki Asar ki namaz Qaza ho gayee thi
D. Kyunki Unhone Aapko Hajj karne se rok diya tha
E. Kyunki Unhone Zaid Aur Jaber radi Allahu Anhuma ko Shaheed kar diya tha
F. Kyunki Unhone Aapke chehre mubarak ko zakhmi kiya tha
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Wo Kaunse Sahabi hain jinhone us Badduda ko suna tha ?

A. Abu bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Muadh Radi Allahu Anhu
E. Saad bin Maaz Radi Allahu Anhu
F. Bilal Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 3 : Kaunsi Jung ke Waqt aisee baddud ki thi ?

A. Ghazwa e Badr
B. Ghazwa e Uhad
C. Ghazwa e Hunain
D. Ghazwa e Ahzab
E. Suleh Hudaibiyah
F. Ghazwa e Tabooq
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1072*❗

Once Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Supplicated for the enemies by saying O Allah Fill their houses and graves with fire

Quiz 1 : Why Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Supplicated  like this?

A. Because they killed too many Quran Reciters
B. Because They killed Hamza radi Allahu Anhu
C. He coudn't not perform the Asr prayer because of them
D. They Stopped Prophet ﷺ from performing Hajj
E. Because They killed Jaber and Zaid radi Allahu Anhuma
F. His face was wounded because of them
G. None of the above
H. I want to know


Quiz 2 : Who heard that suplication ?

A. Abu bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Muadh Radi Allahu Anhu
E. Saad bin Maaz Radi Allahu Anhu
F. Bilal Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know



Quiz 3 : During which battle Prophet ﷺ supplicated like this ?

A. Battle of Badr
B. Battle of Uhad
C. Battle of Hunain
D. Battle of Ahzab
E. Treaty of Hudaibiyah
F. Battle of  Tabooq
G. None of the above
H. I want to know



Sahi Jawab CCD
-----
Ali Radi Allahu Anhu ne kaha ki Ghazwa e Ahzaab (Khandaq) ke mouqe par Rasool-Allah Salallahu Alaihi Wasallam ne (Mushrikoun ko) ye baddua di ke Eh Allah! Unke gharon aur Qabron ko Aag se bhar de.Unhoun ne humko Asr ki Namaz nahi padhne di ( ye Aap ne us waqt Farmaya) jab Suraj Ghuroob ho chuka tha aur Asr ki Namaaz Qaza hogayi thi.

Sahih Bukhari-2931


Answer CCD
-----
Ali Radi Allahu Anhu said When it was the day of the battle of Al-Ahzab (i.e. the clans), Allah's Messenger (ﷺ) said, "O Allah! Fill their (i.e. the infidels') houses and graves with fire as they busied us so much that we did not perform the prayer (i.e. `Asr) till the sun set.
Sahih Bukhari,Book 52, 182

Sunday, January 26, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1071*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1071*❗

Ghazwa e Uhad ke moqe par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam zakhmi ho gaye aur Aapke sir mubarak se khoon nikalne laga 

Sawal 1 : Us waqt kaun apni dhaal mein pani bhar bhar kar aapke zakhmo ko dhone ke liye la raha tha ?

A. Abu bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Muadh Radi Allahu Anhu
E. Abu Talha Radi Allahu Anhu
F. Sad Bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Us Waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke chehre mubarak se khoon ko kisne dhoya tha ?

A. Aisha Radi Allahu Anha
B. Fatima Radi Allahu Anha
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
E. Sad Bin Abi WaqqasRadi Allahu Anhu
F. Abu Talha  Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1071*❗

*During the battle of Uhad the helmet of the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam got broken and blood came out on his face*

*Quiz 1 : That time who used to bring water in his shield to wash that blood ?*

A. Abu bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Muadh Radi Allahu Anhu
E. Abu Talha Radi Allahu Anhu
F. Sad Bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know

*Quiz 2  : Who washed the blood from the face of  Sallallahu Alaihi Wasallam ?*

A. Aisha Radi Allahu Anha
B. Fatima Radi Allahu Anha
C. Ali Radi Allahu Anhu
D. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
E. Sad Bin Abi WaqqasRadi Allahu Anhu
F. Abu Talha  Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know

Sahi jawab CB
------
Sahl bin Saud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sir par (Uhad ke din) khood (yani helmet)  tut gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak khoon Aalood ho gaya aur samne ke daant shaheed ho gaye to Ali Radi Allahu Anhu Dhaal bhar bhar kar paani late they aur Fatima Radi Allahu Anha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke chehre mubarak se khoon dho rahi thi phir jab Fatima Radi Allahu Anha ne dekha ki khoon pani se bhi zyada aa raha hai to unhone ek boriya jala kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke zakhmo par laga diya aur us se khoon ruk gya
Sahih Bukhari, 5722


Answer CB
-------
Narrated Sahl bin Saud Radi Allahu Anhu
When the helmet broke on the head of the Prophet (ﷺ) and his face became covered with blood and his incisor tooth broke (i.e. during the battle of Uhud), Ali Radi Allahu Anhu used to bring water in his shield while Fatima Radi Allahu Anha was washing the blood off his face. When Fatima saw that the bleeding increased because of the water, she took a mat (of palm leaves), burnt it, and stuck it (the burnt ashes) on the wound of Allah's Apostle, whereupon the bleeding stopped.
Sahih Bukhari,Book 71, Hadith 618


Saturday, January 25, 2020

Hadith : Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai (yani Aurat ka unke saath jana halaqat hai )




*Bismillahirrahmanirraheem*

✦ *Hadith : Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai (yani unke saath jana hi to halaqat hai )*
----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya aurton mein jane se bachte raho is par Ansar Qabeele ke ek shakhs ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Dewar (Ya Jeth) ke mutalliq aapki kya raay hai ? (Wo apni Bhabhi ke saath ja sakte ya nahi )? to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai 
(yani unke saath jana hi to halaqat hai )
Sahih Bukhari, 5232

Note : Ulmao ka kahna hai ki Aurat ko aise kisi bhi rishtedar ke saath akele nahi jana chahiye jo gair mahram ho chahe wo kitni bhi kareebi rishtedar na ho 
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا عورتوں میں جانے سے بچتے رہو اس پر قبیلہ انصار کے ایک صحابی نے عرض کیا یا رسول اللہ ! دیور کے متعلق آپ کی کیا رائے ہے ؟
 ( وہ اپنی بھابھی کے ساتھ جا سکتا ہے یا نہیں ؟) آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ
(دیور یا ( جیٹھ ) تو موت کی طرح ہیں  ( یعنی اس کے ساتھ  جانا ہی تو ہلاکت ہے
صحیح بخاری ، ٥٢٣٢ 
----
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया औरतों में जाने से बचते रहो इस पर अंसार क़बीले के एक शख्स ने कहा की या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम देवर  (या जेठ) के 
मुताल्लिक़ आपकी क्या राय है (वो अपनी भाभी के साथ जा सकता है या नही ? तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की देवर (या जेठ) तो मौत की तरह है ( यानि उनके साथ जाना ही तो हलाक़ात है 
सही बुखारी, 5232
----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Beware of entering upon the ladies  A man from the Ansar said, Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam What about Al-Hamu the in-laws of the wife (the brothers of her husband or his nephews etc.)? The Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam replied: The in-laws of the wife are death itself ( It means wife should not be alone with him at all)
Sahi Bukhari, Book 62, Hadith 159

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1070❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1070❗

Dusre Sawal mein jawab ek se zyada hai

Sawal 1 : Jo log Allah Subhanahu aur Qayamat ke din par iman rakhte hain unki kya khasiyat hoti hai ?

A. Wo Maidan e Jung mein peeth pher kar nahi bhagte
B. Wo Allah aur Uske Rasool ke dushmano se dosti nahi karte
C. Wo Neki ki dawat dete aur burayee se rokte hain
D. Wo chupke se aur sabke samne Sadqa diya karte hain
E. Wo Apna maal Allah ki raah mein behisab kharch karte hain
F. Unki Zubane Allah ke zikr se hamesha tar rahti hain
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Jinmein wo khasiyat hoti hai aise logo ke liye kya khuhskhabri hai ?

A. Unko Behisab Rizq diya jayega
B. Unka Hisab aasan liya jayega
C. Unko jannat mein dakhil kiya jayega
D. Allah Subhanahu unse Razi ho jayega 
E. Wo Allah se Razi ho jayenge
F. Unko Muqarrab farishto mein shamil kiya jayega
G. Unke Liye Noor ke Mimbar honge
H. Sahi jawab ka intezar hai




❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1070*❗

*Second Question has more than one answer*

*Quiz 1 : What is the specialty of those people who believe in Allah and the Last Day ?*

A. They don't run away from the battle field
B. They don't make friendship with those who oppose Allah and His Messenger
C. They Invite people towards good and stop from doing bad
D. They give charity secretly and Openly
E.  They Spend unlimited money in the way of Allah
F. Their Tongue always moist with the  Remembrance of Allah
G. None of the above
H. I want to know

*Quiz 2 : What are the rewards for those who have that specialty  ?*

A. He will get unlimited sustenance
B. Their account will be easy
C. He will admit them to Gardens (Paradise) 
D. Allah will be pleased with them
E. They will be pleased with Allah
F. heir Name will be written with the most exalted angel
G. Their will be pulpit of Noor (light) for them
H.  I want to know

Sahi jawab B / CDE
-----
Al Quran : Jo Log Allah par aur roz e Qayamat par Imaan rakhte hain tum unko Allah aur uske Rasool ke Dushmanoun se Dosti karte huye na dekhoge chahe wo unke baap ya bete ya bhai ya kunbe ke log hi kyun na ho yahi wo log hain jinke dilon mein Allah ne Imaan likh diya hai aur unko apne faiz se Quwwat di hai aur wo unhein Jannato me dakhil karega jinke neeche nehrein beh rahi hongi wo unmein hamesha rahenge. Allah unse raazi aur wo Allah se raazi huye yahi Allah ka giroh hai khabardaar Beshak Allah ka Giroh hi Kamyab hone wala hai
Surah Mujadila (58), Aayat 22


Answer B / CDE
-----
Al Quran : You  will not find any people who believe in Allah and the Last Day, making friendship with those who oppose Allah and His Messenger , even though they were their fathers or their sons or their brothers or their kindred (people). For such He has written Faith in their hearts, and strengthened them with Ruh (proofs, light and true guidance) from Himself. And He will admit them to Gardens (Paradise) under which rivers flow to dwell therein (forever). Allah is pleased with them, and they are pleased with Him. They are the Party of Allah. Verily, it is the Party of Allah that will be the successful.
Surah Mujadila (57), Aayat 22

✦ Allah Subhanahu ki Muhabbat Hasil karne ki Dua







Bismillahirrhamnirraheem

✦  Allah Subhanahu ki Muhabbat Hasil karne ki Dua
------
اللَّهُمَّ إِنِّي  أَسْأَلُكَ  حُبَّكَ وَحُبَّ مَنْ يُحِبُّكَ  وَحُبَّ عَمَلٍ يُقَرِّبُ  إِلَى حُبِّكَ
✦ Allahumma inni AsAluka Hubbak, Wa Hubba mann Yuhibbuk, Wa Hubba Amalin Yuqarribu ila Hubbik.

✦ Eh Allah main tujhse sawal karta hu teri muhabbat ka aur us shaksh ki muhabbat ka jo tujhse muhabbat 
karta hai aur tujhse aise kaam karne ki taufiq chahta hu jo teri muhabbat ke qareeb kar de
Jamia Tirmizi, Jild 2 , 1159-Hasan
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس طرح دعا  فرمایئ   
 اے اللہ  میں تجھ سے سوال کرتا ہو تیری محبّت کا اور اس شخص کی محبّت کا جو تجھ سے محبّت کرتا ہے 
اور تجھ سے ایسے کام کرنے کی توفیق چاہتا ہوں جو تیری محبّت کے قریب کر دے 
جامع ترمیزی ، جلد ٢، ١١٥٩-حسن 
----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम इस तरह दुआ फ़रमाया करते थे
✦ अल्लाहुम्मा इन्नी असअलुका  हुब्बक, वा हुब्बा मन युहिब्बुक, वा हुब्बा अमलिन यूक़र्रिबू इला हुब्बीक.
✦ एह अल्लाह में तुझसे सवाल करता हूँ तेरी मुहब्बत का और उस शख्स की मुहब्बत का जो तुझसे मुहब्बत करता है और तुझसे ऐसे काम करने की तौफ़ीक़ चाहता हूँ  जो तेरी मुहब्बत के क़रीब कर दे 
जामिया टिर्मीज़ी, जिल्द 2 , 1159-हसन
----
✦ RasoolAllah SallAllahu Alahi Wasallam supplicated like this 
اللَّهُمَّ إِنِّي  أَسْأَلُكَ  حُبَّكَ وَحُبَّ مَنْ يُحِبُّكَ  وَحُبَّ عَمَلٍ يُقَرِّبُ  إِلَى حُبِّكَ
✦ Allahumma inni AsAluka Hubbak, Wa Hubba mann Yuhibbuk, Wa Hubba Amalin Yuqarribu ila Hubbik.
O Allah  I ask You for Your love and the love of whomever You love, and the of the deeds that bring one nearer to Your love.
Jamia Tirmizi, Book 44, 3235-Hasan


✦ Hadith : Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye









Bismillahirrahmanirraheem

✦ Hadith : Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye 
Al Silsila As Sahiha, 2913
-----
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا اس وقت تک دعا قبول نہیں ہوتی جب تک نبی  صلی اللہ علیہ وسلم پر درود نہ بھیجا جائے 
السلسلہ صحیحہ ، ٢٩١٣ 
-----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया उस वक़्त तक दुआ क़ुबूल नही होती जब तक नबी सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  पर दुरुद ना भेजा जाए 
अल सिलसिला अस साहिहा, 2913
-----
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said The Supplication (dua) is not be accepted untill you send blessings upon Prophet Sallallahu Alaihi wasallam
Al Silsilla As sahiha,  2913


✦ Har Nuqsan pahuchane wali makhluqat aur zahreele jaanwaro se bachne ki dua









Bismillahirrahmanirraheem

✦ Har Nuqsan pahuchane wali makhluqat aur zahreele jaanwaro se bachne ki dua
-----------
✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jo shakhs sham ko 3 martaba ye dua padhega to usko us raat koi bhi zahreeli cheez nuqsan nahi pahuchayegi
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
Panah mangta hu main Allah ki,Pure kaimat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai 
Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih

Note : Aksar ulmao ka kahna hai ki agar koi is dua ko subah bhi 3 baar padh lega to sham tak usko koi zahreeli cheez nahi pahuchayegi

--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص شام کو تین مرتبہ یہ دعا پڑھے گا تو اسے اس رات کوئی زہریلی چیز نقصان نہیں پہنچائے گی
أَعُوذُ بِکَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ 
میں اللہ ( سے اس ) کے مکمل ترین کلمات کی پناہ طلب کرتا ہوں ہر اس چیز کے شر سے جو اس نے پیدا کی 
جامع ترمیزی جلد ٢ حدیث ١٥٢٨
---
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स शाम को 3 मर्तबा ये दुआ पढ़ेगा तो उसको उस रात कोई भी ज़हरीली चीज़ नुक़सान नही पहुचायेगी

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
आऊज़ु बी कालिमातिल्लाहित-त़ाम्माती मीन शर्री मा खलक़
पनाह मांगता हूँ मैं अल्लाह की, पुरे कालीमात के जरिये , हर उस चीज़ की बुराई से जो उसने पैदा की है
जामिया तीरीमीज़ी, जिल्द 2, 1528-सही
-------
✦ RasoolAlllah ﷺ said Whoever says 3 times these words when he reaches the evening  no poisonous sting will harm him that night.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq 

I seek protection in the perfect words of Allah from every evil that He has created

Note : Scholars says even if somebody recite this dua 3 times in the morning ,no poisonous sting will harm him till evening.
Jamia Tirmizi, Book 46, 3604-Sahih


Thursday, January 23, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1069❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1069❗

Sawal  : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne kiske liye farmaya ki mere ghar ke logo mein se jab kisi ki wafat hogi to main usko bhi inke paas hi dafan karunga

A. Hamza ibn Abdul-Muttalib 
B. Uthman bin Mazun
C. Saad bin waqas
D. Musaib Bin Umair
E. Hanzala Bin Abi Amir
F. Jabir ibn Abu talib
*Radi Allahu Anhuma*
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1069❗

Quiz  : For whom Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said that I shall bury beside him those of my family members who die ?

A. Hamza ibn Abdul-Muttalib 
B. Uthman bin Mazun
C. Saad bin waqas
D. Musaib Bin Umair
E. Hanzala Bin Abi Amir
F. Jabir ibn Abu talib
*Radi Allahu Anhuma*
G. None of the above
H. I want to know


 ✅ *Sahi Jawab B* 💐
-------------
Al-Muttalib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab uthman bin Mazun radi Allahu anhu ka inteqal hua to unka janaza ( jannatul baqi) mein laya gaya aur wohi unko dafan kiya gaya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne ek shaksh ko paththar lane ka hukm farmaya (taki qabr par nishani ke liye nasab farmaye) to wo usko utha na saka to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khud hi usko uthane ke liye khade huye aur aapne apni dono Aasteene upar chada li aur us paththar ko utha kar uthman bin Mazun radi Allahu anhu ke sarhaney rakh diya aur farmaya ki main isko apne bhai ki qabr ki pahchan ke liye laga raha hu, aur mere ghar walon mein se jab kisi ka inteqal hoga to main usko bhi iske paas hi dafan karunga
*Sunan Abu Dawud, Jild 2 ,1429-Hasan*


 ✅ *Answer B* 💐
-------------
Narrated Al-Muttalib When Uthman ibn Maz'un died, he was brought out on his bier and buried ( in jannat Al baqi) . The Prophet (ﷺ) ordered a man to bring him a stone, but he was unable to carry it. The Messenger of Allah (ﷺ) got up and going over to it rolled up his sleeves The narrator Kathir told that al-Muttalib remarked: The one who told me about the Messenger of Allah (ﷺ) said: I still seem to see the whiteness of the forearms of the Messenger of Allah (ﷺ) when he rolled up his sleeves. He then carried it and placed it at his head saying: I am marking my brother's grave with it (so that It may identify easily) , and I shall bury beside him those of my family who die.
*Sunan Abu Dawud,Book 20, 3200-Hasan*


(Ya Allah) Hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad maangte hain









Bismillahirrahmanirraheem
----
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
----
✦ (Ya Allah) Hum teri hi ibadat karte hain
Aur 
Hum tujh hi se madad maangte hain
----
یا الله) ہم تیری ہی عبادت کرتے ہیں )
اور ہم  تجھ ہی سے مدد مانگتے ہیں
------
(या अल्लाह )  हम तेरी ही इबादत करते हैं और
हम तुझ ही से मदद मांगते हैं 
-----
✦  (Oh Allah) You (Alone) we worship,
and You (Alone) we ask for help
--------
Surah Fatiha, Verse 5

Al Quran : (Ya Allah) Humko seedhe raaste par chala











*Bismillahirrahmanirraheem*
----
*اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ*
----
*(یا الله)  ہم کو سیدھے رستے پر چلا*
----
*✦ (Ya Allah) Humko seedhe raaste par chala*
----
*(या अल्लाह) हमको सीधे रास्ते पर चला*
---
*✦  (Oh Allah) Guide us to the Straight Way*
----
*Al Quran Surah Al-Fatiha 1 :  6*



Wednesday, January 22, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1068❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1068❗

Sawal : Inmein se wo kaun hai jisne Iman ka maza hasil kar liya ?

A. Jo Allah ke RABB hone, Muhammed ﷺ ke Nabee hone aur islam ke Deen hone par Razi ho
B. Jo Paanch waqt ki Namaz padhe aur Ramzan ke roze rakhe aur zakat de
C. Jo Apni Zuban aur haath se musalmano ko mehfooz rakhe
D. Jo Maidan e Jihad se Ghazi ban kar wapas aaye
E. Jo Allah ke Deen ke liye ek jagah se dusri jagah hijarat kare
F. Jiska dil Subah shaam masjid mein laga rahe
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1068❗

Sawal : Who has tasted the sweetness of faith. ?

A. Jo Allah ke RABB hone, Muhammed ﷺ ke Nabee hone aur islam ke Deen hone par Razi ho
B. Jo Paanch waqt ki Namaz padhe aur Ramzan ke roze rakhe aur zakat de
C. Jo Apni Zuban aur haath se musalmano ko mehfooz rakhe
D. Jo Maidan e Jihad se Ghazi ban kar wapas aaye
E. Jo Allah ke Deen ke liye ek jagah se dusri jagah hijarat kare
F. Jiska dil Subah shaam masjid mein laga rahe
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


Sahih Jawab A
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  us shaks ne imaan ka maza chakh liya  jo Allah ke RABB hone,  islam ke deen hone aur Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ke Nabi hone par razi ho

Jamia Tirmizi, Jild 2,  517-Sahih


Answer A
--------
Narrated Al-Abbas bin Abdul-Muttalib Radi Allahu ANhu that he heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: "Whoever is pleased with Allah as (his) Lord, and Islam as (his) religion, and Muhammad as (his) Prophet, then he has tasted the sweetness of faith.
Jamia Tirmizi,Book 38, 2623-Sahih

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1067*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1067*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Inmein se wo kaun log hain jinki Dua Qubul nahi hoti  ?*

A. Jiski biwi bure Akhlaq wali ho aur wo usko talaq na de
B. Jisne kisi Yateem ka maal najayaz tareeqe se le liya ho
C. Jiske Waldein budhe ho aur wo uski khidmat na kare
D. Jisne kisi bewakuf ko maal de diya ho
E. Jinka Dil beparwah aur ghafil ho
F. Jis Aurat ka shohar us se naraz ho
G. Jo Dua ke baad Dudurd na padhe
H. Sahi jawab ka intezar hai

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1067*❗

*Answers are more than one*

*Quiz  : Whose Supplications (dua) will not be accepted ?*

A. The one who had a bad character wife and don't divorce her
B. The one who took the property of Orphan in illegal way
C. The one who has old parents and does not look after them
D. The one who gave his property to the foolish person
E. The one whose heart is careless and not concentrate 
F. The woman whose husband is annoyed with her
G. The one who doesn't send durud after Dua
H. I want to know

*Sahi Jawab: ADEG ✅*
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  teen adme aise hain jo Dua karte hain lakin unki Dua qubul nahi ki jati wo shaks jiske paas bad akhlaq biwi thi lakin usne us aurat ko talaq nahi di wo shaks jiska kisi dusre shaks ke zimme kuch maal tha lakin usne gawa nahi banaya aur wo shaks jisne apna maal kisi bewakuf  ko diya jabke Allah Subhanahu  ne farmaya bewakufo ko apna maal na do (Surah An-Nisa :5)
Al-Silsila Sahiha # 1947

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye 
Al Silsila As Sahiha, 2913

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Allah Subhanahu  se Qubuliyat ke yaqeen ke sath Dua karo aur jaan lo ke Allah Subhanahu la parwah dil ,  gafil dil ki dua qubul nahi karta 
Al-Silsila Sahiha  # 2738


*Answer ADEG ✅*
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said there are three type of person who supplicates but their supplication will not be 
accepted 
1. The one who is having characterless wife and he does not divorce him.
2. The one who has given some amount to other (as a debt) but he did not make any witness over it.
3. The one who has given his property to a foolish person even Allah says  in Quran (Do not give your property to the foolish, 
which Allah has made a means of sustenance for you Al Quran 4:5)
Al-Silsila Sahiha # 1947

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said The dua is not be accepted untill you send blessings upon Prophet Sallallahu Alaihi wasallam
Al Silsilla As sahiha,  2913

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said while you are supplicaiting to to Allah put your full trust of accptence in it , and be informed that Allah does not accpt the supplicaiton of  one whose heart is careless and not concetrate (on dua)
Al-Silsila Sahiha  # 2738

Tuesday, January 21, 2020

Raat ko Wudhu karke sona Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki Sunnat hai




Bismillahirrahmanirraheem

✦ Raat ko Wudhu karke sona Rasool-Allah ﷺ ki Sunnat hai 
----
✦ Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab sone ka irada karte to Namaz wala Wudhu karte aur phir so jate
---
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  جب سونے کا ارادہ کرتے تو نماز والا وضو کرتے اور پھر سو جاتے
مسند احمد - ٥٥١٢-صحیح 
---
✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा  से रिवायत है रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम  जब सोने का इरादा करते तो नमाज़ वाला वुज़ू करते और फिर सो जाते
---
✦ Narrated Aisha Radi Allahu Anha Whenever the Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  intended to sleep he used to perform ablution like that for the prayer
Musnad Ahmed-5512-Sahih

Hadith : Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye




Bismillahirrahmanirraheem

✦ Hadith : Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye 
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Us waqt tak Dua Qubul nahi hoti Jab tak Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye 
Al Silsila As Sahiha, 2913
-----
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا اس وقت تک دعا قبول نہیں ہوتی جب تک نبی  صلی اللہ علیہ وسلم پر درود نہ بھیجا جائے 
السلسلہ صحیحہ ، ٢٩١٣ 
-----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया उस वक़्त तक दुआ क़ुबूल नही होती जब तक नबी सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  पर दुरुद ना भेजा जाए 
अल सिलसिला अस साहिहा, 2913
-----
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said The Supplication (dua) is not be accepted untill you send blessings upon Prophet Sallallahu Alaihi wasallam
Al Silsilla As sahiha,  2913

Monday, January 20, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1066❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1066❗

Sawal 1 : Quran mein wo kaunsi Surah hai jiski pahli aayat Allah ke naam se shuru hoti hai aur aur uski akhri aayat Allah ke naam par khatam hoti hai  ?

A. Surah As-Saff
B. Surah Muhammed
C. Surah Ankaboot
D. Surah Mujadila
E. Surah Az-Zariyat
F. Surah Mumtahana
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Wo Surah ki Aakhri Aayat Allah ke kaunse naam par khatam hoti hai ?

A. Al-Hameed
B. Al-Aleem
C. Al-Qayyoom
D. As-Saboor
E. AL-Baseer
F. Ash-Shakoor
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai



❗Only-Quran-Hadith Quiz 1066❗

Quiz 1  : Name the Surah of the Quran,  which first verse begin with the name of Allah and last verse end with the name of Allah  ?

A. Surah As-Saff
B. Surah Muhammed
C. Surah Ankaboot
D. As-Saboor
E. Surah Az-Zariyat
F. Surah Mumtahana
G. None of the Above
H. I want to know

Quiz 2 : The Last verse of that Surah fnish with which name of Allah ?

A. Al-Hameed
B. Al-Aleem
C. Al-Qayyoom
D. As-Salam
E. AL-Baseer
F. Ash-Shakoor
G. None of the Above
H. I want to know



✅ *Sahi jawab GG : Surah Ar-Rahman (55)*💐
----
Ye Ar-Rahman (الرَّحْمَـٰنُ) Se shuru hoti hai 
Aur Dhil-Jalali-Wal-Ikram (ذِي الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ) par khatam hoti hai
Aur ye Dono Allah Subhanahu ke Asma ul husna mein se hain

Answer GG : Surah Ar-Rahman (55)
----
It Begins with Ar-Rahman (الرَّحْمَـٰنُ) 
and end with Dhil-Jalali-Wal-Ikram (ذِي الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ) 
And both are Asma ul Husna (Allah's name)


✦ Hadith : Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo



Bismillahirrahmanirraheem

✦ Hadith : Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo
----
✦ Madina mein ek ghar raat ke waqt gharwalo ke saath jal gaya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se iss ke mutalliq kaha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Aag tumahari dushman hai isliye jab sone lago to usko bujha diya karo
Sahih Bukhari, 6294
----
مدینہ منورہ میں ایک گھر رات کے وقت گھروالوں کے ساتھ  جل گیا۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے اس کے متعلق کہا گیا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ آگ تمہاری دشمن ہے اس لیے جب سونے لگو تو اسے بجھا دیا کرو۔ 
صحیح بخاری ، ٦٢٩٤ 
---
✦ मदीना में एक घर रात के वक़्त घर वालों के साथ जल गया रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम से इस के मुताल्लिक़ कहा गया तो आप सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया ये आग तुम्हारी दुश्मन है इसलिए जब सोने लगो तो उसको बुझा दिया करो
सही बुखारी, 6294
---
✦ One night a house in Medina was burnt with its occupants. Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam spoke about them, saying, This fire is indeed your enemy, so whenever you go to bed, put it out to protect yourselves. 
Sahih Bukhari, Book 79, 66

Sunday, January 19, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1065❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1065❗

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat tak ek yahudi ke pass unki ek cheez girwi thi 

Sawal 1 : Wo kya cheez thi ?

A. Talwar
B. Teer Kaman
C. Zirah
D. Khajur ka baag
E. Dhaal
F. Chandi ki Anguthi
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Us cheez ke badle Aapne kya liya tha ?

A. Khajur (Date)
B. Jau (Barley)
C. Chawal (Rice)
D. Gehu (Wheat)
E. Daal( Pulse)
F. Chana (chickpeas)
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai





❗Only-Quran-Hadith Quiz 1065❗

When Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam died thre was something was mortgaged to a jew

Sawal 1 : What was that  ?

A. Armor 
B. Bow & Arrow
C. Sword
D. Garden of Date
E. Shield
F. Silver Ring
G. None of the Above
H. I want to know


Sawal 2 : Whats Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam took after the mortgage that thing?

A. Date
B. Pulse 
C. Rice
D. Wheat
E. Barley
F. chickpeas
G. None of the Above
H. I want to know



✅ Sahi Jawab : CB
----
Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wafat huye toh Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki zirah ek yahudi ke paas tees saa jau ke badle mein girwi rakhi huye thi 
Sahih Bukhari  # 4467


Answer CB 
-----
Narrated Aisha Radi Allahu Anha  when Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam died his armor was mortgaged to a Jew for thirty Sa's of barley
Sahih Bukhari,Book 64, Hadith 482

Saturday, January 18, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1064❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1064❗

*Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam sabse zyada kaunse Nabee ke mushabah they ?*

A. Musa alaihi salam
B. Adam alaihi salam
C. Ibrahim alaihi salam
D. Eesa alaihi salam
E. Idris alaihi salam
F. Yusuf Alaihi salam
G. inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1064❗

Quiz : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam resemblance to which prophet ?

A. Musa alaihi salam
B. Adam alaihi salam
C. Ibrahim alaihi salam
D. Eesa alaihi salam
E. Idris alaihi salam
F. Yusuf Alaihi salam
G. None of the Above
H. I want to know


Sahi Jawab C
------
Hazrat Jabir (Radi'Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ke Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne Farmaya: Mere samne Ambiya-E-Kareem laye gaye , to Musa alaihi salam aise they jaise shanwa (qabile ke) log hote hain Aur maine Isa Bin Mariam (Alaihi Salaam) Ko Dekha Jo Ke Urwah Ibn Masud (Radi Allahu Anhu) ki tarah they,Aur Mein Ne Ibrahim (Alaihi Salaam) Ko Dekha Aur Un Se Sab Se zyada Main Milta Hoon (Yani Huzoor Sall'Allahu Alaihi Wasallam Khud) Aur Mein Ne Jibril (Alaihi Salaam) Ko Dekha. Woh Dihyah Ibn Khalifah (Radi Allahu Anhu) ki tarah dikhte they
Sahih Muslim, Jild 1, 423

Answer C
------
It is narrated on the authority of Jabir that the Messenger of Allah (ﷺ) said: There appeared before me the apostles, 
Moses was among men as if he was one of the people of Shanu'a, I saw Jesus son of Mary (peace be upon him) and I saw nearest in resemblance with him was 'Urwa b. Mas'ud,I saw Ibrahim Alaihi salam, and the closest of the people in resemblance to him from those I have seen is your companion meaning himself, and I saw Gabriel (peace be upon him) and I saw Dihya nearest in resemblance to him; but in the narration of Ibn Rumh it is Dihya b. Khalifa.
Sahih Muslim, Book 1, 321

Thursday, January 16, 2020

Hadith Qudsi : Allah Subhanahu farmata hai tum meri ibadat ke liye farig ho jao main tumhare dil ko beniyaz kar dunga




Bismillahirrahmanirraheem

✦ Hadith Qudsi : Allah Subhanahu farmata hai tum meri ibadat ke liye farig ho jao main tumhare dil ko beniyaz kar dunga
----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu farmata hai Eh Adam ke bete tu meri ibadat ke liye farig ho jaa mein tere seene ko beniyaz kar dunga aur teri faqeeri ko dur kar dunga aur agar tune aise na kiya toh tere seene ko masrufiyat se bhar dunga aur teri faqeeri ko dur nahi karunga
Masnad Ahmed 8946-Hasan
----
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا  ‌اللہ سبحانه فرماتا ہے اے آدم کے بیٹے تو میری عبادت کے لیے فارغ ہو جا، میں تیرے سینے کو بے نیاز کر دوں گا اور تیری فقیری  دور  کر دوں گا  اور اگر تو نے ایسے نہ کیا تو تیرے سینے کو مصروفیات سے بھر دوں گا اور تیری فقیری کو دور  نہیں کروں گا۔ 
 مسند احمد ٨٩٤٦ - حسن 
----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहान्हु फरमाता है एह आदम के बेटे तू मेरी इबादत के लिए फारिग हो जा मैं  तेरे सीने को बे नियाज़ कर दूंगा और तेरी फ़क़ीरी को दूर 
कर दूँगा और अगर तूने ऐसे ना किया तो तेरे सीने को मसरूफ़ियात से भर दूँगा और तेरी फ़क़ीरी को भी  दूर नही करूँगा
मसनद अहमद-8946 हसन 
----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said Indeed Allah, Most High said: O son of Adam! Devote yourself to My worship, I will fill your chest with riches and remove your poverty. And if you do not do so, then I will fill your hands with problems and not remove your poverty
Masnad Ahmed 8946-Hasan

Jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai









Bismillahirrahmanirraheem

Jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai
Sahih Ibn Hibban , 834-Hasan
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو شخص: «سبحان الله العظيم وبحمده» کہے گا اس کے لیے جنت میں کھجور کا ایک درخت لگایا جائے گا“۔ 
صحیح ابن حبان ٨٣٤-حسن
---
 ✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स सुबहान अल्लाहिल अज़ीम वा बिहम्दिही  कहता है उसके लिए जन्नत में खजूर का एक दरख़्त लगा दिया जाता है
सही इब्न हिब्बान , 834
---
✦ Rasool Allah  Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever says Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi A date-palm tree is planted for him in Paradise.
Sahih Ibn Hiban , 834-Hasan




❗Only-Quran-Hadith Quiz 1063❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1063❗

Sawal 1 : Quran ki Kaunsi Surah ko Al-Saba Al Mathani kaha jata hai ?

A. Surah Al-Fatiha
B. Surah Al-Falaq
C. Surah An-Nas
D. Surah Al-Ikhlas
E. Surah Al Fath
F. Surah Muhammed
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Quran ki kaunsi surah mein Al Sabah Al Mathani ka zikr hai ?


A. Surah Al-Hajj
B. Surah An-Nahal
C. Surah Al-Baqarah
D. Surah Anaam
E. Surah Aaraf
F. Surah Muhammed
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗Only-Quran-Hadith Quiz 1063❗

Quiz 1 : Which Surah of Quran is called Sabah Al Mathani ?

A. Surah Al-Fatiha
B. Surah Al-Falaq
C. Surah An-Nas
D. Surah Al-Ikhlas
E. Surah Al Fath
F. Surah Muhammed
G. None of the Above
H. I want to know


Quiz 2 : In which Surah of Quran The Verse about Sabah Al Mathani has mentioned ?

A. Surah Al-Hajj
B. Surah An-Nahal
C. Surah Al-Baqarah
D. Surah Anaam
E. Surah Aaraf
F. Surah Muhammed
G. None of the Above
H. I want to know



*Bismillahirrahmanirraheem*

✅ *Sahi Jawab AG* 💐
----
*وَلَقَدْ آتَيْنَاكَ سَبْعًا مِّنَ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنَ الْعَظِيمَ*
Aur humne aapko saat (Ayaten) jo (namaz mein) Dohra kar padhi jati hain (Yani Surah fatiha) aur Azmat wala Quran ata farmaya 
hai
Surah Al-Hijr(15):87 
----
Hadith : Abu Saeed Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam mere paas se guzre main us waqt namaz padh raha tha Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne mujhe bulaya mein namaz se farig hone ke baad khidmat main hazir hua Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne pucha ke fauran hi kyu nahi aaye? arz kiya ke namaz padh raha tha us par Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya Allah Subhanahu ne tum logo ko hukm nahi diya hai ke Eh imaan walo jab Allah aur uske Rasool ( Sallallahu Alahih Wasallam)  tumhein bulaye toh labbayk kaho phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kyu na aaj mein tumhein masjid se nikalne se pahle Quran majid ki sabse azeem surat bataoo phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam (batane se pehle)  masjid se bahr tashreef le jaane ke liye uthey toh mein ne baat yaad dilaye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmya ke wo Surat Alhamdulillah Rabbil Alamin (yani Surah Fatiha) hai  yahi  Sabah Al Mathani hai aur yahi Quran e azeem hai jo mujhe diya gaya hai
Sahih Bukhari, 4703


*Bismillahirrahmanirraheem*

✅ *Answer AG* 💐
----
*وَلَقَدْ آتَيْنَاكَ سَبْعًا مِّنَ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنَ الْعَظِيمَ*
----
And indeed, We have bestowed upon you seven of Al-Mathani (seven repeatedly recited Verses), (Surat Al-Fatihah) and the Grand Qur'an.
Surah Al-Hijr(15):87 

Narrated Abu Sa`id Radi Allahu Anhu While I was praying, the Prophet (ﷺ) passed by and called me, but I did not go to him till I had finished my prayer. When I went to him, he said, "What prevented you from coming?" I said, "I was praying." He said, "Didn't Allah say" "O you who believes Give your response to Allah (by obeying Him) and to His Apostle." (8.24) Then he added, "Shall I tell you the most superior Sura in the Qur'an before I go out of the mosque?" When the Prophet (ﷺ) intended to go out (of the Mosque), I reminded him and he said, "That is: "Al hamdu-li l-lahi Rabbil-`alamin (Surat-al-fatiha)' which is the seven oft repeated verses (Al-Mathani) and the Grand Qur'an which has been given to me.
Sahih Bukhari, Book 60, 226

Wednesday, January 15, 2020

✦ Mere RABB ne mujhe ezzat bakshi





Bismillahirahmanirraheem

رَبِّیۡۤ اَکۡرَمَنِ
---
✦ Mere RABB ne mujhe ezzat bakshi
---
میرے رب نے مجھے عزت بخشی
--
My Lord has honored me
Al-Quran  (89) : 15