Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, May 18, 2015

Mafhum-e-Hadith : Mairaj ki Raat Musa alaihi salam , Eesa alaihi salam aur Ibrahinm Alaihi salam se mulaqat




Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Mafhum-e-Hadith : Mairaj ki Raat Musa alaihi salam , Eesa alaihi salam aur Ibrahinm Alaihi salam se mulaqat

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki jis raat meri mairaj huyee maine Musa Alaihi salam se mulaqat ki thi phir aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unka huliya bayan kiya ki wo daraz qamat aur seedhe
balo wale they jaise shinwa Qabeela ke log hote hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne bayan kiya ki maine Eeesa Alaihi salam se bhi mulaqat ki jinka qad darmiyana aur surkh tha jaise abhi abhi gusal khane se (gusal karke) bahar aaye ho, aur maine ibrahim alaihi salam se bhi mulaqat ki aur main unki aulad mein se sabse zyada mushabeh hu ( yani unke jaisa hu).

Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki mere pass do bartan laye gaye ek main doodh tha aur dusre mein sharab thi, mujhse kaha gaya ki jo aapka jee chahe le lo maine doodh ka bartan le liya aur pee liya is par mujhe kaha gaya ki aapne sahi raah pa li ya aapne fitrat ko paa liya , agar iske bajaye aap sharab ka bartan lete to Aapki ummat gumrah ho jati
Sahih Bukhari, Vol 4, 3437


✦ Note : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko Masjid-Al-haram se Masjid-Al-Aqsa tak jo safar karwaya gaya usko Isra kahte hain aur Masjid Al Aqsa se aasmano tak ka safar Mairaj kaha jata hai

--------------------------------------------


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس رات میری معراج ہوئی، میں نے موسیٰ علیہ السلام سے ملاقات کی تھی۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے ان کا حلیہ بیان کیا وہ.... دراز قامت اور سیدھے بالوں والے تھے جیسے قبیلہ شنوہ کے لوگ ہوتے ہیں۔ آپ نے بیان کیا کہ میں نے عیسیٰ علیہ السلام سے بھی ملاقات کی۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے ان کا بھی حلیہ بیان فرمایا کہ درمیانہ قد اور سرخ و سپید تھے، جیسے ابھی ابھی غسل خانے سے باہر آئے ہوں اور میں نے ابراہیم علیہ السلام سے بھی ملاقات کی تھی اور میں ان کی اولاد میں ان سے سب سے زیادہ مشابہ ہوں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میرے پاس دو برتن لائے گئے، ایک میں دودھ تھا اور دوسرے میں شراب۔ مجھ سے کہا گیا کہ جو آپ کا جی چاہے لے لو۔ میں نے دودھ کا برتن لے لیا اور پی لیا۔ اس پر مجھ سے کہا گیا کہ فطرت کی آپ نے راہ پا لی، یا فطرت کو آپ نے پا لیا۔ اس کے بجائے اگر آپ شراب کا برتن لیتے تو آپ کی امت گمراہ ہو جاتی۔
--------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi allahu anhu
The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) said, "I met Moses on the night of my Ascension to heaven." The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) then described him saying, as I think, "He was a tall person with lank hair as if he belonged to the people of the tribe of Shanu's.' The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) further said, "I met Jesus." The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) described him saying, "He was one of moderate height and was red-faced as if he had just come out of a bathroom. I saw Abraham whom I resembled more than any of his children did." The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) further said, "(That night) I was given two cups; one full of milk and the other full of wine. I was asked to take either of them which I liked, and I took the milk and drank it. On that it was said to me, 'You have taken the right path (religion). If you had taken the wine, your (Muslim) nation would have gone astray."
Sahih Bukhari, Vol. 4, Book 55, Hadith 646

No comments:

Post a Comment