Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 6, 2015

✦ Mafhum-e-Hadith: Anjane mein Chor, zinakar aur maaldar ko sadqa diya to bhi Qubul ho gaya




Bismillahirrahmanirrahim


✦ Mafhum-e-Hadith: Anjane mein Chor, zinakar aur maaldar ko sadqa diya to bhi Qubul ho gaya



Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki ek shakhs ne kaha ki mein aaj raat ko kuch sadqa doonga aur wo apna sadqa lekar nikla aur (anjane mein) ek ZINAKAR AURAT ke haath me de diya phir subah ko log charcha karne lage ki aaj raat ek shaksh zinakar ke haath mein sadqa de gaya,usne kaha Ya ALLAH tamam taarif tere hi liye hain , mera sadqa zinakar ke hath me chala gaya.

✦ Aur phir usne kaha aaj aur sadqa dunga phir nikla aur ek MAALDAR ko de diya aur log subah ko charcha karne lage ki aaj koi maaldar ko sadqa de gaya usne kaha Ya ALLAH tamam taarif tere hi liye hain mera sadqa maaldar ke hath me chala gaya.

✦ Teesri bar phir usne kaha ki sadqa dunga aur sadqa lekar nikla aur ek CHOR ke hath me de diya aur log subah ko charcha karne lage ki aaj koi chor ke haath me sadqa de gaya, usne kaha ki Ya ALLAH tamam taarif tere hi liye hain.

✦ Mera sadqa ( la ilmi mein) zinakar aurat, maaldar mard aur chor ke haath mein chala gaya , fir uske pass ek shakhs ( ya farishta) aaya aur usne kaha tera sab saqda qabul ho gaya, zinakar aurat ko is nazar se ki shayad wo us din zina se baaz rahi ho, raha ghani (maaldar) uska is liye qabul ki shayad use sharam aaye aur ibrat ho ki aur logo ko sadqa dete hain mein bhi dunga aur wo kharch krae Allah tala ke diye huye maal se aur chor ka sadqa Isliye Shayad is raat ko vo chori na kre .
Sahih Muslim, Vol 3, 2362 , Zakat ke Masayeel

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aamal ka daro-madar niyat par hai aur har shaksh ko uski niyat ke mutabiq phal milta 
Sahih Bukhari, Vol 4, 2529

------------------------------------------------------------

حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : " ایک آدمی نے کہا : میں آج رات ضرور کچھ صدقہ کروں گا تو وہ اپنا صدقہ لے کر نکلا اور اسےایک زانیہ کے ہاتھ میں دے دیا ، صبح کو لوگ باتیں کرنے لگے کہ آج رات ایک زانیہ پر صدقہ کیا گیا ، اس آدمی نے کہا : اے اللہ تیری حمد!زانیہ پر ( صدقہ ہوا ) میں ضرور صدقہ کروں گا ، پھر وہ صدقہ لے کر نکلا تو اسے ایک مالدار کے ہاتھ میں دے دیا ۔ صبح کو لوگ باتیں کرنے لگے : ایک مال دار پر صدقہ کیا گیا ۔ اس نے کہا : اے اللہ تیری حمد! مالدار پر ( صدقہ ہوا ) میں ضرور کچھ صدقہ کروں گا اور وہ اپنا صدقہ لے کر نکلاتو اسے ایک چور کے ہاتھ پر رکھ دیا ۔ لوگ صبح کو باتیں کرنے لگے : چور پر صدقہ کیا گیا ۔ تو اس نے کہا : اے اللہ ! سب حمد تیرے ہی لئے ہے ، زانیہ پر ، مالدار پر ، اور چور پر ( صدقہ ہوا ) ۔ اس کو ( خواب میں ) کہا گیا تمہارا صدقہ قبول ہوچکا ، جہاں تک زانیہ کا تعلق ہے تو ہوسکتا ہے کہ اس ( صدقے ) کی وجہ سے زانیہ اپنے زنا سے پاک دامنی اختیار کرلے اور شاید مال دارعبرت پکڑے اور اللہ نے جو اسے دیا ہے ( خود ) اس میں صدقہ کرے اور شاید اس کی وجہ سے چور اپنی چوری سے باز آجائے ۔ " 
صحیح مسلم جلد ۳ ۲۳۶۲

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اعمال کا مدار نیت پر ہے اور ہر شخص کو اس کی نیت کے مطابق پھل ملتا ہے۔

صحیح بخاری جلد ۴ ۲۵۲۹
------------------------

✦ Abu Huraira Radhi allahu anhu reported Allah's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam as saying: A man expressed his intention to give charity, so he came out with charity and placed it in the hand of an adulteress. In the morning, the people were talking and saying: charity was given to an adulteress last night. He (the giver of Sadaqa) said: O Allah! All the praises are for you (I had given charity ) to a adulteress
✦ He then again expressed his intention to give charity; so he went out with the charity and placed it in the hand of a rich person. In the morning the people were talking and saying: Charity was given to a rich person. He (the giver of charity) said: O Allah! All the praises are for you (I had given charity ) to a rich person

✦ He then expressed his intention to give charity, so he went out with charity and placed it in the hand of a thief. In the morning, the people were talking and saying: Charity was given to a thief.
✦ So (one of the persons) said: O Allah! All the praises are for (what a misfortune it is that charity has been given to) the adulteress, to a rich person. to a thief! There came (the angel to him) and he was told: Your charity has been accepted. As for the adulteress (the charity might become the means) whereby she might restrain herself from fornication. The rich man might perhaps learn a lesson and spend from what Allah has given him, and the thief might thereby refrain from committing theft.
Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2230

✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The (reward of) deeds depend on intentions, and every person will get the reward according to what he intends.
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 46, No. 706


No comments:

Post a Comment