Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: kisi se kuch maangna apne munh par zakhm lagane ke barabar hai
Hadith: kisi se kuch maangna apne munh par zakhm lagane ke barabar hai
Abdullah ibn Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaks maaldar hone ki halat mein bhi sawal kare ( maange) to wo Qayamat ke din is tarah aayega ki uska munh kharocha hua ya kata ya phata hoga Sahaba Radi Allahu Anhuma ne pucha aadmi kitne maal se maaldar kahlata hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 50 dirham ya uskee qeemat ka sona (rakhne wala)
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1613-Sahih
Hazrat Samurah bin jundub Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kisi se kuch maangna apne munh par zakhm lagane ke barabar hai , ab jo chahe apne munh (chehre) ko sahi rakhe aur jo chahe aisa hi chhodh de , haan us shaksh ke liye maangna jayaz hai jo behad majbur ho ya jo hakim e waqt se mangta ho
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1626-Sahih
-------------------
سمرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” سوال کرنا آدمی کا اپنے چہرے کو زخم لگانا ہے تو جس کا جی چاہے اپنے چہرے پر ( نشان زخم ) باقی رکھے اور جس کا جی چاہے اسے ( مانگنا ) ترک کر دے ، سوائے اس کے کہ آدمی حاکم سے مانگے یا کسی ایسے مسئلہ میں مانگے جس میں کوئی اور چارہ کار نہ ہو “ ۔
-------------
English Translation:
Narrated Abdullah ibn Masud Radi Allahu Anhu
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: He who begs (from people) when he is affluent will come on the Day of Resurrection with scrapes, scratchings, or lacerations on his face. He was asked: What constitutes affluence, Messenger of Allah? He Sallallahu Alaihi Wasallam replied:It is fifty dirhams or its value in gold.
Sunan Abu Dawud, Book 9, 1622-Sahih
Narrated Samurah ibn Jundub Radi Allahu Anhu
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Acts of begging are lacerations with which a man disfigures his face,
so he who wishes may preserve his self-respect, and he who wishes may abandon it; but this does not apply to one who begs from a ruler, or in a situation which makes it necessary.
Sunan Abu Dawud, Book 9, Hadith 1635-Sahih
No comments:
Post a Comment