Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, June 11, 2014

Hadith: Allah ki nafarmani mein kisi ki itaat nahi karni chahiye



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Allah ki nafarmani mein kisi ki itaat nahi karni chahiye 

Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek lashkar rawana farmaya aur ek shaks ko uska sardar bana diya aur logo ko uski itaat karne ki takid ki.
Us Shaks ne aag jalayee aur logo ko kaha ki aag mein kud jao, kuch logo ne uski ye baat manne se inkar kar diya aur kaha ki hum to aag se bhagkar Islam mein aaye hain aur kuch logo ne ameer ki itaat samajhkar aage mein dakhil hona chaha

ye khabar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass pahuchi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
agar wo log aag mein kud jate to hamesha usee mein rahte iske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ki nafarmani mein kisi ki itaat nahi karni chahiye , itaat to sirf us mein hai jo maruf ho (yani neik baat ho)
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 853-Sahih
------------------------------------------
Ali (Allah be pleased with him) Radi Allahu Anhu said “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam sent an army and appointed a man as a commander for them and he commanded them to listen to him and obey. He kindled fire and ordered them to jump into it. A group refused to enter into it and said “We escaped from the fire; a group intended to enter into it. When the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was informed about it, he said “Had they entered into it, they would have remained into it. There is no obedience in matters involving disobedience to Allaah. Obedience is in matters which are good and universally recognized.
Sunan Abu Dawud, Book 14, 2619-Sahih

No comments:

Post a Comment