Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, November 24, 2013

Hadith: kisi musalman ko agar ek kaanta bhi lagey to uskey liye ek Darja badega aur ek gunah kam hoga


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: kisi musalman ko agar ek kaanta lagey ya us sey jiyada koi takleef pahunchey to uskey liye ek Darja badega aur ek gunah uska mit jayega

Aswad Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Quraish ke kuch jawan log Aayesha radi allahu anha ke ke paas gaye wo Mina mein thi wo log hans rahey they Hazrat aayesha radi allahu anha ne kaha kyun hanstey ho unhoney kaha ki falah shaksh khemey ki rassi par gira aur uski gardan ya aankh jaatey jaatey bachi Hazrat aayesha radi allahu anha ne kaha ki mat hanso isliye ke Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya kisi musalman ko agar ek kaanta lagey ya us sey jiyada koi takleef pahunchey to uskey liye ek Darja badeyga aur ek gunaah uska mit jayega.
Sahih Muslim, Vol 6, 6561
---------------------------------
Aswad Radi Allahu Anhu reported that some young men from the Quraish visited Aisha Radi allahu anha as she was in Mina and they were laughing. She said: What makes you laugh? They said: Such and such person stumbled against the rope of the tent and he was about to break his neck or lose his eyes. She said: Don't laugh for I heard Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: If a Muslim runs a thorn or (gets into trouble) severe than this, there is assured for him (a higher) rank and his sins are obliterated.
Sahih Muslim Book 032, Number 6237:
 —

No comments:

Post a Comment