Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, November 24, 2013

Hadith: kisi musalman ko agar ek kaanta bhi lagey to uskey liye ek Darja badega aur ek gunah kam hoga


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: kisi musalman ko agar ek kaanta lagey ya us sey jiyada koi takleef pahunchey to uskey liye ek Darja badega aur ek gunah uska mit jayega

Aswad Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Quraish ke kuch jawan log Aayesha radi allahu anha ke ke paas gaye wo Mina mein thi wo log hans rahey they Hazrat aayesha radi allahu anha ne kaha kyun hanstey ho unhoney kaha ki falah shaksh khemey ki rassi par gira aur uski gardan ya aankh jaatey jaatey bachi Hazrat aayesha radi allahu anha ne kaha ki mat hanso isliye ke Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya kisi musalman ko agar ek kaanta lagey ya us sey jiyada koi takleef pahunchey to uskey liye ek Darja badeyga aur ek gunaah uska mit jayega.
Sahih Muslim, Vol 6, 6561
---------------------------------
Aswad Radi Allahu Anhu reported that some young men from the Quraish visited Aisha Radi allahu anha as she was in Mina and they were laughing. She said: What makes you laugh? They said: Such and such person stumbled against the rope of the tent and he was about to break his neck or lose his eyes. She said: Don't laugh for I heard Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: If a Muslim runs a thorn or (gets into trouble) severe than this, there is assured for him (a higher) rank and his sins are obliterated.
Sahih Muslim Book 032, Number 6237:
 —

Hadith: Anqareeb aisey fitney barpa hongey jis waqt baithney wala khadey honey waley se behtar hoga

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Anqareeb aisey fitney barpa hongey jis waqt baithney wala khadey honey waley se behtar hoga

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Anqareeb aisey fitney barpa hongey jis waqt baithney wala khadey honey waley se behtar hoga aur khada honey wala unmein se chalney waley se behtar hoga aur chalney wala unmein dodney waley se behtar hoga jo dur se unmein jhaank kar bhi dekhega to wo unko bhi samet lengey us waqt jis kisi ko koi panah ki jagah mil jaye ya bachne ka muqam mil jaye to usmein chala jaye
Sahih Bukhari, Vol8, 7081
----------------------------------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”عنقریب ایسے فتنے برپا ہوں گے جن میں بیٹھنے والا کھڑے ہونے والے سے بہتر ہو گا اور کھڑا ہونے والا ان میں چلنے والے سے بہتر ہو گا اور چلنے والا ان میں دوڑنے والے سے بہتر ہو گا، جو دور سے ان کی طرف جھانک کر بھی دیکھے گا تو وہ ان کو بھی سمیٹ لیں گے۔ اس وقت جس کسی کو کوئی پناہ کی جگہ مل جائے یا بچاؤ کا مقام مل سکے وہ اس میں چلا جائے۔“
----------------------

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There will be afflictions (in the near future) during which a sitting person will be better than a standing one, and the standing one will be better than the walking one, and the walking one will be better than the running one, and whoever will expose himself to these afflictions, they will destroy him. So whoever can find a place of protection or refuge from them, should take shelter in it." 
Sahih Bukhari, Book 88, #202:

Hadith: Qatil aur maqtul (qatl honey wala) dono dozakhi



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Qatil aur maqtul (qatl honey wala) dono dozakhi

Al-Ahnaf bin Qais Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Do musalman apni apni Talwarein lekar aapas mein ladney lagey jaye to Qatil aur Maqtul(Qatl honey wala) dono jahannami hain mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Qatil to khair ( jaruri jahannam mein hona chahiye) magar Maqtul (qatl honey wala) kyun ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo bhi apney saathi ko maar daalney ki hirs (tamanna) rakhta tha
Sahih Bukhari, Vol 1, 30 
---------------------------------------

Narrated Al-Ahnaf bin Qais Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said , 'When two Muslims fight (meet) each other with their swords, both the murderer as well as the murdered will go to the Hell-fire.' I said, 'O Allah's Apostle! It is all right for the murderer but what about the murdered one?' Allah's Apostle replied, "He surely had the intention to kill his companion."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, Number 31

Mafhum-e-hadith: Jisne kisi Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachaya to ALLAH subhanahu ..


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: jisney kisi musalman par tohmat lagayee to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega …..

Hazrat Muaaz bin anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jisne kisi Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachaya to ALLAH subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega jo uskey gosht ko jahanamma ki aag se bachayega
aur jisney kisi musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad us musalman ki burayee ho to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega yahan tak ki wo us tohmat ke gunaah se paak hokar nikal jaye
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1453-Hasan

------------------------------------------------------------
Narrated Mu'adh ibn Anas Radiallahu anhu :
The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone guards a believer from a hypocrite, Allah will send an angel who will guard his flesh on the Day of Resurrection from the fire of Jahannam
if anyone attacks a Muslim saying something by which he wishes to disgrace him, he will be restrained by Allah on the bridge over Jahannam till he is acquitted of what he said.
Sunan Abu Dawud, Book 41, 4865- Hasan


Mafhum-e-Hadith: jisney kisi musalman par tohmat lagayee to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega …..


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: jisney kisi musalman par tohmat lagayee to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega …..

Hazrat Muaaz bin anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jisne kisi Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachaya to ALLAH subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega jo uskey gosht ko jahanamma ki aag se bachayega
aur jisney kisi musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad us musalman ki burayee ho to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega yahan tak ki wo us tohmat ke gunaah se paak hokar nikal jaye
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1453-Hasan

------------------------------------------------------------
Narrated Mu'adh ibn Anas Radiallahu anhu :
The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone guards a believer from a hypocrite, Allah will send an angel who will guard his flesh on the Day of Resurrection from the fire of Jahannam
if anyone attacks a Muslim saying something by which he wishes to disgrace him, he will be restrained by Allah on the bridge over Jahannam till he is acquitted of what he said.
Sunan Abu Dawud, Book 41, 4865- Hasan


Monday, November 18, 2013

Al Quran : Bhala wo tumhara kaunsa lashkar hai jo Rahman (Allah) ke Muqabley mein tumhari madad karega


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Al Quran : Bhala wo tumhara kaunsa  lashkar hai jo  Rahman (Allah) ke Muqabley mein tumhari madad karega , kuch nahi kaafir to dhokey mein parhey huye hain.
---------------------------------------------------------
Al Quran : Who is he besides the Most Gracious (Allah) that can be an army to you to help you? The disbelievers are in nothing but delusion. 
Surah Al-Mulk, Chapter #67, Verse #20


Al Quran : Wohi ( Allah) to hai jisney apney Rasool ko hidayat aur sahi deen dekar bheja


Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Wohi  ( Allah) to hai jisney apney Rasool ko hidayat aur sahi deen dekar bheja taki usko sab deeno par ghalib karey agarchey mushriko ko bura lagey
Al Quran , Surah As Saaf (61) , verse 9
 --------------------------------------------------------
 Al Quran : He it is Who has sent His Messenger (Muhammad peace be upon him) with guidance and the religion of truth to make it victorious over all (other) religions even though the Mushrikun (those who associate others with Allah) hate (it).
Al Quran , Surah As Saaf (61), verse 9

Al Quran : Beshaq Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna Allah hi ke liye hai


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Kaho, Beshaq Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna Allah hi ke liye hai jo saarey jahan ka paalney wala hai
Al- Quran, Surah Al-Anaam (6)  verse 162
--------------------------------------------------
Al Quran : Say , Verily my prayer, and my sacrifices, and my living and my dying are all for Allah Who is the Lord of all the worlds
Al- Quran, Surah Al-Anaam (6)  verse 162


Al Quran : jis cheez par Allah ka naam nahi liya gaya usmein se na khao


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Aur jis cheez par Allah ka naam nahi liya gaya usmein se na khao aur beshaq ye  khana  gunaah hai
Al Quran , Al Anaam , 121
------------------------------------------
تم اس ( جانور کے گوشت ) سے نہ کھایا کرو جس پر ( ذبح کے وقت ) اﷲ کا نام نہ لیا گیا ہو اور بیشک وہ ( گوشت کھانا ) گناہ ہے ،
سورة الانعام (۶) آیت ۱۲۱
____________

Eat not of that on which Allah's Name has not been pronounced , for sure it is Fisq (a sin and disobedience of Allah)
Al Quran , Al Anaam , 121




Al Quran : Kya wajah hai ki tum wo cheez nahi khatey jin par Allah ka naam liya gaya ho


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Allah Subhahau ne farmaya

Kya wajah hai ki tum wo cheez nahi khatey jin par Allah ka naam liya gaya ho  halanki wo wazeh ( clear) kar chuka hai jo kuch usney tum par haram kiya hai
Al Quran , Surah Al Anaam , #119

___________________________

تمہیں کیا ہے کہ تم اس ( ذبیحہ ) سے نہیں کھاتے جس پر ( ذبح کے وقت ) اﷲ کا نام لیا گیا ہے ( تم ان حلال جانوروں کو بلاوجہ حرام ٹھہراتے ہو ) ؟ حالانکہ اس نے تمہارے لئے ان ( تمام ) چیزوں کو تفصیلاً بیان کر دیا ہے جو اس نے تم پر حرام کی ہیں
سورة الانعام (۶) آیت (۱۱۹)
_______________
why should you not eat of that upon which the name of Allah has been mentioned while He has explained in detail to you what He has forbidden you
Al Quran , Surah Al Anaam , #119

Al Quran : Gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  


Al Quran : Gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo
Neki aur parhaizgaari ke kaamo mein ek dusrey ki madad kiya karo aur gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo, aur allah se daro beshaq Allah ka azab sakht hai
Al Quran: Surah Al-Maeda (5), verse  2

Help you one another in Al-Birr and At-Taqwa (virtue, righteousness and piety); but do not help one another in sin and transgression. And fear Allah. Verily, Allah is Severe in punishment.
Al Quran: Surah Al-Maeda (5), verse  2

Al Quran : Allah ko pukaro uskey liye ibadat ko khalis (pure) kartey huye chahey kaafir bura maney


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim 

Allah Subhanahu  says :

Al Quran : Allah ko pukaro uskey liye ibadat ko khalis (pure) kartey huye chahey kaafir bura maney
Al Quran , Surah Ghafir (40), Verse 14

---------------------------------------------------------------
So Call you upon (or invoke) Allah with sincere devotion to Him, even though the disbelievers dislike it.
Al Quran , Surah Ghafir (40), Verse 14

Al Quran: Agar tum Badey badey Gunaahon se bachogey to hum tumhare (chotey) gunaah maaf kar dengey


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim

Al Quran: Agar tum Un Badey badey Gunaahon se bachogey jinse tumhey mana kiya gaya to hum tumharey (chotey) gunaah maaf kar dengey aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karengey
Al Quran, Surah Nisa (4) Aayah 31 
------------------------------
If you avoid the great sins which you are forbidden to do, We shall expiate from you your (small) sins, and admit you to a Noble Entrance

Al Quran, Surah Nisa (4) Aayah 31



Al Quran : unki zubanein aur unkey hatah paanw gawahi dengey jo kuch wo kiya kartey they



Allah Subhanahu ne farmaya :
Al Quran : Aaj hum unkey munhon par muhar laga dengey aur hamarey saath unkey haath bolnegey aur unkey paanw gawahi dengey us par jo wo kiya kartey they
Al Quran , Surah Yaseen (36) verse 65

Jis din un par unki zubanein aur unkey hatah paanw gawahi dengey jo kuch wo kiya kartey they 
Al Quran , Surah An-Noor (24), 24
-----------------------------------------------------
On the Day when their tongues, their hands, and their legs (or feet) will bear witness against them as to what they used to do.
Al Quran , Surah An-Noor (24), 24

This Day, We shall seal up their mouths, and their hands will speak to Us, and their legs will bear witness to what they used to earn. 
Al Quran , Surah Yaseen (36) verse 65

Dua:

اللَّهُمَّ قِنِي عَذَابَكَ يَوْمَ تَجْمَعُ عِبَادَكَ  
 "O Allah, save me from the punishment on the Day when You will gather Your servants".
( Ya Allah mujhe us din ke Azab  se bacha lena jis Din tu apney bando ko jama karega.) 


Al Quran : Wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain aur na zameen mein



Al Quran : Kah do Allah ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain aur na zameen mein aur na unka unmein kuch hissa hai aur na unme se koi Allah ka madadgar hai
Al Quran, Saba (34) Verse 22
------------------------------------
अल क़ुरान : कह दो अल्लाह के सिवा जिनका तुम्हे घमंड है उन्हे पुकारो, वो ना तो आसमान ही में ज़ररा  भर इख्तियार  रखते हैं और ना ज़मीन में और ना उनका उनमें कुछ हिस्सा है और ना उनमे से कोई अल्लाह का मददगार है

अल क़ुरान, सुरह सबा (34) आयत  22
----------------------------------
Say, "Invoke those you claim [as deities] besides Allah." They do not possess an atom's weight [of ability] in the heavens or on the earth, and they do not have therein any partnership [with Him], nor is there for Him from among them any assistant.
Al Quran, Saba (34) Verse 22

Al Quran : Beshaq Allah aur uskey Farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par Durud bhejtey hain




Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Beshaq Allah aur uskey Farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par Durud bhejtey hain, Eh Momeeno tum bhi un par Durud aur salam bheja karo.
Al Quran,  Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56
 ------------------------------------------
English Translation: 
Allah and His angels send blessings on the Prophet ( Sallallahu Alaihi Wasallam):
O you who believe! Send your  blessings on him, and salute him with all respect.
Al Quran,  Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

Thursday, November 7, 2013

Hadith: Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai

Abu Jafar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Suwaid bin Muqarrin Radi Allahu Anhu  ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  hai ki jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai
Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih
--------------------------------------------
It was narrated that Abu Jafar Radi Allahu Anhu said: I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: Whoever is killed defending himself against injustice, he is a martyr.
Sunan Nasaii , Vol. 5, Book 37, Hadith 4101-Sahih


-Qurabni ke jaanwaro ko haar pahnana sunnat hai-

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Qurabni ke jaanwaro ko haar  pahnana sunnat hai

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  
Madiney se Qurbani rawana kartey they aur main un (Qurbani ke jaanworo) ke gale mein haar pahna diya karti thi
Sahih Muslim, Vol 3, 3194 


Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek baar ghar ki taraf  (Qurbani ki) kuch bakriya rawana ki aur unhey haar pahnaya
Sahih Muslim, Vol 3, 3203

Mafhum-e-Hadith: Qurabni ke jaanwaro ko haar pahnana sunnat hai


Bismillahirrahmanirrahim 

-Qurabni ke jaanwaro ko haar  pahnana sunnat hai-

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  
Madiney se Qurbani rawana kartey they aur main un (Qurbani ke jaanworo) ke gale mein haar pahna diya karti thi
Sahih Muslim, Vol 3, 3194 

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek baar ghar ki taraf  (Qurbani ki) kuch bakriya rawana ki aur unhey haar pahnaya
Sahih Muslim, Vol 3, 3203


حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا نے کہا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم مدینہ سے قر بانی کے جا نوروں کا ہدیہ بھیجا کرتے تھے اور میں آپ کے ہدیے ( کے جانوروں ) کے لیے ہار پہنا دیا کرتی  تھی 
صحیح مسلم ۳ ۳۱۹۴

حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا سے روایت کی انھوں نے کہا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ایک بار بیت اللہ کی طرف ہدی ( قر بانی ) کی بکریاں بھیجیں تو آپ نے انھیں ہار ڈالے ۔ 
صحیح مسلم جلد ۳ ۳۲۰۳

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain








Bismillah irrahman irrahim

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain

Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se ek oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se ek gaay (cow) ki Qurabani ki
Sahih Muslim, Vol 3,  3185
--------------------

حضرت  جابر بن عبد اللہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی ، انھوں نے کہا حدیبیہ کے سال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی معیت میں ہم نے ساتھ افراد کی طرف سے ایک اونٹ ساتھ کی طرف سے ایک گا ئے کی قربانیاں دیں ۔
صحیح مسلم جلد ۳ ۳۱۸۵
-----------------------

Jabir bin Abdullah (Allah be pleased with him) reported:
In the year of Hudaibiya (6 H ), we, along with Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam
sacrificed a camel for seven persons and a cow for seven persons.

Sahih Muslim , book 7, Hadith 3024


Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai


 Bismillahirrahmanirrahim 



✦ Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain

------------------

✦ Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai 


Sahih Muslim , Vol 3, 2755 


✦ Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek sahib Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz karney lage ki Ramadhan ke baad sabse ziyada fazilat kaunse rozo ki hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ka mahina jise tum Muharram kahte ho. 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 - Sahih

------------------

حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی ۔ کہا : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فر ما یا : " رمضا ن کے بعد سب سے افضل روزے اللہ کے مہینے " محرم " کے ہیں اور فرض نماز کے بعد سب سے افضل نماز رات کی نماز ہے ۔
صحیح مسلم جلد ۳ ۲۷۵۵

حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے  ایک آدمی نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور کہا: رمضان کے روزوں کے بعد سب سے افضل روزہ کون سا ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ کے مہینے کا جسے تم لوگ محرم کہتے ہو ۔

سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۱۷۴۲
------------------------



✦ अबू हुरैरह रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया सब रोज़ो में अफ़ज़ल रमज़ान के बाद मुहर्रम के रोज़े हैं जो अल्लाह का महीना है और बाद नमाज़ फ़र्ज़ के तहज्जूद की नमाज़ है 

सही मुस्लिम , जिल्द 3, 2755 


✦ अबू हुरैरा रदी-अल्लाहू-अन्हु से रिवायत है की एक साहिब रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की खिदमत में हाज़िर होकर अर्ज़ करने लगे की रमज़ान के बाद सबसे ज़ियादा फ़ज़ीलत कौनसे रोज़ो की है तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह का महीना जिसे तुम मुहर्रम कहते हो. 

सुनन इब्न माजा , जिल्द 1 , # 1742 - सही

------------------


English Translation:

✦ Abu Hurairah Allah be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: The most excellent fast after Ramadan is God's month. Al-muharram, and the most excellent prayer after what is prescribed is prayer during the night. 

Sahih Muslim, Book 6, Hadith 2611 


✦ It was narrated that Abu Hurairah may Allah be pleased with him said: A man came to the Prophe Peace be upon him and said: Which fasting is best after the month of Ramadan? He Peace be upon him said: The month of Allah which is called Muharram. 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 (Sahih)
 



Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega


 Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 1883
-----------------------------------------

حضرت ابو درداء رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس ( مسلمان ) نے سورہ کہف کی پہلی دس آیات حفظ کرلیں، اسے دجال کے فتنے سے محفوظ کرلیا گیا۔

صحیح مسلم جلد ۱ ۱۸۸۳
________________
Abu Darda Radi Allahu Anhu reported The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam Said
If anyone learns by heart the first ten verses of the Surah al-Kahf, he will be protected from the Dajjal.
Sahih Muslim, Book 6, Hadith 311

Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi


Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi

Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye) 
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009

Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apney gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota 
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 784-Sahih 
-----------------------------------------
Narrated Abu Masud Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night, that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530

Narrated Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited. 
Jamia Tirmidhi , Vol. 1, Book 42, Hadith 2877-Sahih


Mafhum-e-Hadith: Fatima (Radi allahu anha) ka darja


Bismillah-irahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Fatima (Radi allahu  anha)  ka darja

Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Fatima mere Jism ka ek tukda hai jisney usey naraz kiya usney mujhe naraz kiya.
Sahih Bukhari, Vol 5, 3767
---------------------
अल-मीस्वा  बिन मखरमा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया फ़ातिमा मेरे जिस्म का एक टुकड़ा है जिसने उसे नाराज़ किया उसने मुझे नाराज़ किया.

सही बुखारी, जिल्द 5, 3767
---------------------
Narrated Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fatima is a part of me, and whoever makes her angry, makes me angry."
Sahih Bukhari,  Book 57, # 111

Hadith: Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain


Bismillah irrahman Nirrahim

Hadith:  Hasan  aur Hussain  Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain

Ibn Abi Nu'm se rivayat hai ki ek shaksh ne Abdullah bin umar radi allahu Anhuma se pucha ki agar koi shaksh (ehraam ki halat mein) makhkhi maar de to uska kaffara kya hoga is par Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya Iraq ke log makhkhi ke baarey mein sawal kartey hain jabki yahi log Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke nawasey ko Qatl kar chukey hain jinkey baarey mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi  ne farmaya tha ki ye dono (Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma) Duniya mein mere Do khshubudar phool hain
Sahih Bukhari,  Vol 5, 3753
-----------------------

ایک شخص نے( احرام کی حالت میں ) مکھی مار دے تو اسے کیا کفارہ دینا پڑے گا؟ اس پر عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما نے فرمایا: عراق کے لوگ مکھی کے بارے میں سوال کرتے ہیں جب کہ یہی لوگ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے نواسے کو قتل کر چکے ہیں، جن کے بارے میں نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تھا کہ دونوں ( نواسے حسن و حسین رضی اللہ عنہما ) دنیا میں میرے دو پھول ہیں۔

صحیح بخاری جلد ۵ ۳۷۵۳
-------
इब्न अबी नूम से रिवायत है की एक शख्स  ने अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से पूछा की अगर कोई शख्स  (एहराम की हालत में) मक्खी मार दे तो उसका कफ़्फ़रा क्या होगा इस पर अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहू अन्हु ने फरमाया इराक़ के लोग मक्खी के बारे में सवाल करते हैं जबकि यही लोग रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम  के नवासे को क़त्ल कर चुके हैं जिनके बारे में  रसूलअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया था की ये दोनो (हसन और हूसेन रदी अल्लाहू अन्हुमा) दुनिया में मेरे दो खुशबूदार  फूल हैं

सही बुखारी,  जिल्द 5, 3753
-----------------------

Narrated Ibn Abi Nu'm radi allahu anhu : A person asked 'Abdullah bin 'Umar radi allahu anhu whether a Muslim could kill flies. I heard him saying (in reply). "The people of Iraq are asking about the killing of flies while they themselves murdered the son of the daughter of Allah's Apostle  Peace be upon him. About whome  the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, They ( Hasan and Husain Radi Allahu Anhuma) are my two sweet basils (smelling flowers)  in this world." 
Sahih Bukhari, Book #57, Hadith #96

Hadith: Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai tu bhi in sey Muhabbat rakh




Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai  tu bhi in sey Muhabbat rakh 

Al-Bara Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ki  Hasan Radi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam key kaandhey mubarak par they aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye farma rahey they ki Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai  tu bhi in sey Muhabbat rakh 
Sahih Bukhari, vol 5 , 3749
---------------------------------------------------
Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu : I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam carrying Al-Hasan Radi Allahu Anhu on his shoulder an saying, O Allah! I love him, so please love him.
Sahih Bukhari,Book 57, Number 92: