Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, July 30, 2023

Sawal 1452 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Dozakh mein dekha tha ki wahan zyadatar Autrtein thi wo kaun thi ?

  ❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1452 ❗ 

 




 Sawal 1452 :  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne Dozakh mein dekha tha ki wahan zyadatar Autrtein thi wo kaun thi ?


A. Shohar ki Nashukri karne wali

B. Maaldar Aurtein

C. Behayee ko phailane wali

D. Rishtedaro mein ladayee lagane wali

E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)




✅ *Sahih Jawab A : Shohar ki Nashukri karne wali* 💐

------------------

RasoolAllah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Mujhe Dozakh dikhlayi gayi to usmein zyadatar Aurtein thi jo Kufr karti hain pucha gaya Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kya Wo Allah Subhanahu kesaath Kufr karti hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki wo Shohar ki Nashukri karti hain aur Ehsaan ki Nashukri karti hain agar tum Umar bhar unmein se kisi ke sath Ehsaan karte raho phir tumhari taraf se kabhi koi inke khayal mein Nagawaari ki baat ho jaye to fauran kah uthegi ki Maine kabhi bhi tujh se koi Bhalayi nahi dekhi 

Sahih Bukhari-29

No comments:

Post a Comment