❗ Only-Quran-Hadith Quiz - 1429 ❗
Sawal 1429 : Ek Sahabi Dushman ki Jasusi karte huye Shaheed ho gaye to unki walida ko RasoolAllah Sallalalahu Alaihi Wasallam ne ye khushkhabri di ki wo jannat ke Afzal darje par hain wo kaunse sahabi they ?
A. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu
B. Abdullah Bin Zubair Radi Allahu anhu
C. Musaib bin umer Radi Allahu anhu
D. Haritha bin Suraqa Radi Allahu anhu
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahi Jawab D. Haritha bin Suraqa Radi Allahu anhu* 💐
-------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Haritha bin Suraqah Radi Allahu Anhu jasusi ke liye nikle achanak Ek Teer laga aur wo Shaheed ho gaye unki Maa ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam
Aap jaante hain ki Haritha ka Mere yahan kya muqam tha, agar wo Jannat mein hai to Main Sabr karti hu warna Aap dekhenge ke Main (uski Judayee par) kya karti hu
to Aap Sallallahu alaihi Wasallam ne farmaya Umme Haritha Jannat Ek nahi balki kayi Jannatein hai aur tumhara beta Haritha Jannat ke Afzal hisse mein ya Jannatul Firdaus mein hai
Al Silsila tus Sahiha : 1519 | 3953
No comments:
Post a Comment